A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Wednesday, 30 July 2014

Attractive Personality

Attractive Personality

Be a beautiful and looks beautiful both are different things. In daily life that girl whose color is fair, shining hair, beautiful eyes they are beautiful but they are not attractive personality. You should take care of yourself for attractive personality. You have to satisfy on yourself. There are some tips of attractive personality are given below read in Urdu.
 
Deeniraah.blogspot.com
DeeniRaah.blogspot.com

Apni Shakhsiyat Pur Kashish Banayein:

Khobsurat hona aur khobsurat nazar aana do mukhtalif batein hain. Roz marrah ki zindagi mein har dusri larki khoobsurat nazar aaye gi, jis ka rung saaf shafaf ho, baal bhi chamak dar, aankh, naak, hont, sehat har aitbar se achi ho, magar woh khoobsurat hai magar pur kashish nahi hai. Pur kashish nazar aane ke liye zaroori hai keh aap apne aap se ba khabar hon, matlab khood aitmadi hai, aap ki harkat o sktanat mutasir kun hon, aap ka make up, Libas, khorak andaz sukhan, balon ka andaz munfarid aur khoob surat ho, mehsoos ho keh aap apni shkhsiyat se mutmain hain, zel mein hum shkhsiyat ko pur kashish banane ke chand bunyadi asool bata rahein hain jinhein apna kar aap pur kashish shkhsiyat ki malik bn skti hain.

Khood Aitmadi:

Hamare andar aitmaad ho na buhat zaroori hai agar hum mein aitmaad nahi hoga to hum baat karte waqt apne mad e muqabil par woh tasur nahi chor sakein gay jo guftagoo ka taqaza hoga. Mushkil yeh hai keh jis waqt hamein aitmaad ki sakhta zaroorat hoti hai is waqt hum is se mehroom ho jate hain aise hi mawaqa ke liye hum zel mein chand kar-aamad batein pesh kar rahein hain jis par ghor kar ke aap apni khood aitmadi mein izafah kar skte hain.

Harkat o Sknaat se Guftagoo:

Aap kamre mein dakhil hon aur kisi kursi par baithein aap ke har andaz se khood aitmadi nazar aani chahiye. Harkaat o sknat se doosron ko andazah hota hai keh aap mein kis qdar aitmaad hai. Aap ko maaloom hona chahiye keh jab bhi khari hon bilkul sidhi khari hon. Farz karein keh aap apne balon mein lage clip ya ribbon ko durust kar rahi hon to aap ka hath samne ki taraf nahi hona chahiye.

Garden jhuka kar baat na kia karein aur na hi is andaz ko logon ke samne jate waqt apnaya karein jism ki tarah pura chehra bhi numaya aur sidha hona chahiye.

Malboosat shakhsiyat aur mizaj ka andazah lebas se ba aasani lagaya ja skta hai mtlab lebas aap ki shkhassiyat ko grace full aur charming bhi bana skta hai aur aap ki shakhsiyat ka tamam charm khatam bhi kar skta hai.

Tez aur shokh rangon ko pehnne se bilkul na ghabrayein, laal rung ke shokh shed ka intekhab karein. Nila aur sabz bhi jazib e nazar hote hain. Shokh rung pehnte waqt is baat ka kheyal rakhein keh yeh lebas sar se per tak na ho, balkeh qameez shokh ho to shalwar ka rung dhima ho. Agar shokh rung ke chinte ja baja hon tb bhi aap ka mqsad pura ho jaye ga.

Khood se Pyaar Kijye:

Apne aap par tawajjah dijye apna kheyal rakhein apne sath aisa salook karein jaise aap azeez taraeen dost ke sath karti hain, agar aap khood ko ahmiyat dein gi to roz baroz aap ke aitmaad mein izafah hoga tamam din ke dabao se khood ko aazad karein , pur sakoon ho jayein. Koi psandidah film deikh lein, mosiqi se dil behlayein.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts