A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Showing posts with label Deeni Knowledge. Show all posts
Showing posts with label Deeni Knowledge. Show all posts

Tuesday, 23 February 2016

Wazu Ke Fawaid

Wazu Ke Fawaid



Wazu Ke Fawaid
Assalam o alaikum jaise k aap sub log waqif hain ke as a muslim hum sub par din mein 5 waqt namaz adaa karna farz hai. aur Namaz se pehle Wazu kiya jata hai. Wazu Ke Fawaid hum yahan byaan karne ja rahe hain jinh se aap faida le saktey hain.

Wazu ke Doran naak mein pani dalne se Insaan ko Saans lene mein asaani hoti hai.
Wazu karte hue sar ka masa karna mirgi se bachata hai. neez yeh mirgi ke mareezo'n ke liye faida man bhi hai.

Wazu Din mein 5 waqt karne se bohat si bimaariyo'n se bachaa ja sakta hai aur kai tarha ki bemaariyo'n se tou nijaat bhi mil jati hai . jis ko jadeed science bhi manti hai. 

iss post ko dusro'n tak pohanchaein khud bhi amal karein aur dosto'n ko bhi amal ki dawat dein.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Friday, 12 February 2016

Parents Ke 14 Huqooq Hain

Parents Ke 14 Huqooq Hain


Asslam o alaikum tamam muslim Dosto aaj hum aap ko btaane lage hain k Parents Ke 14 Huqooq Hain jo ke mandarja zail hain. in par khud bhi amal kariye aur sub ehbaab ko bhi amal karne ki Naseehat karein. Dusro'n ko zaroor btaaein
..
7 Huqooq doran e Hayat ( Unki Zindagi mein )

  1.  Un ka adab o ehtaraam karna
  2.  Un se Mohabbat karna
  3.  Un ke Hukam ki takmeel karna
  4.  Un ki Khidmat karna
  5.  Un ko araam Pohanchana
  6.  Un Ki Zarooratein Poori karna
  7.  Lamha ba lamha unki Ziyarat karna

7 Huqooq Baad Az Wafaat ( Unki Death ke Baad )
  1.  Un ke Liye ALLAH se muaafi mangna
  2.  Un ko isaal e Sawaab karna
  3.  Un ke Dosto'n, Rishte daaro'n ki izzat karna
  4.  Un ke Dost ehbaab etc ki madad karna
  5.  Un ka liya hua qarz ya amanat wapis lotana
  6.  Un ki jaiz Wasiyat puri karna
  7.  Un ki Qabar par jana,


Parents Ke 14 Huqooq Hain


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Sunday, 24 January 2016

Aulad Ke Huqooq

Aulad Ke Huqooq


Aulad Ke Huqooq
Asslam o alaikum Aulad Ke Huqooq in islam in Urdu / Hindi mein bayaan kiye gaye hain jinh ke baarey mein hum ne tafseel'an zikar kiya aur mufeed mashwarey diye. Hum umeed kartey hain ke aap ko hamari yeh choti si deen ko samajhne aur samjhany ki Koshish Pasand aaey gi aur aap in sub baato'n par amal kar k hamein zaroor support karein gey.

Aulad Ke Huqooq: 

1). Har Maa par yeh laazim hai ke apne Bacho'n se pyaar aur mohabbat kare aur har mua'amle mein un ke sath mushfikana bartao kare aur un ki dil joyi o Dil bastagi mein lagi rahe aur un ki parwarish aur tarbiyat mein puri puri koshish kare. 

2). Agar maa ke Doodh me koi kharabi na ho tou maa apna Doodh apne bacho'n ko pilaye ke Doodh ka bacho'n par barra asar padhta hai.

3). Bacho'n ki safai suthrayi in ki Tandrusti o Salamati ka khaas toar par dehaan rakhey.

4). Bacho'n ko har kism ke ranj O gham aur takleef se bachati rahey. 

5). Be-zuban bache apni zarooriyaat bata nahi sakte iss liye maa ka farz hai ke bacho'n ke isharaat ko samajh kar un ko zaruriyaat puri karey.

6). Baaz Maa'en chilla kar ya phir Billi ki boli bol kar ya sipahi ka naam le kar ya koi dhamake kar ke chote Bacho'n ko daraya karti hain yeh bohat hi buri Baate'n hain baar baar aisa karne se bacho'n ka Dil kamzor ho jata hai aur woh barrey hone ke baad darpok ho jaya karte hain.

7). Bache jab kuch Bolne Lagein toh Maa ko chahiye ke unhe baar baar ALLAH o Rasool  Sallallahu  taala  alahi  wasallam   ka naam sunaye un ke samne baar baar kalima padhe yahan tak ke woh kalima padhna Seekh jaye.

8). jab bache bachiya taalim ke qaabil ho jayein tou sab se pehle un ko Quran Sharif aur Deenyaat ki taleem dilaye.

9). Bacho'n ko islami adaab o Akhlaaq aur Deen o Mazhab ki Baate'in sikhaye.

10). Achi Baato'n ki ragbat dilaye aur buri baato'n se nafrat dilaye.

11). Taleem o tarbiyat par Khaas toar par tawajjoh karey aur tarbiyat ka dhehan rakhe kyun ke Bachey saada warq ki Maanind hote hain saada Kagaz par jo naksha nigaar banaye jaye woh ban jaatey hai aur Bacho'n Bachiyo'n ka sab se pehla Madrasa maa ki Goad hai iss liye maa ki taalim o tarbiyat ka Bacho'n par bohat gehra asar padhta hai lihaza har Maa ka farz mansabi hai ke Bacho'n ko islami tehzeeb o tamadun ke sanchey mein dhakk kar un ki Behtareen tarbiyat karey agar Maa apne iss haq ko ada na kare gi toh gunah'gaar hogi.

12). jab Bacha ya Bachi saath (7) Baras ke hojaye tou un ko taharat aur Wuzu o Gusl ka tareeka sikhaye aur Namaz ki taalim de kar un ko Namazi banaye aur paaki o Na-Paaki aur Halal o Haram aur farz o Sunnat wagaira ke masail un ko bataye.

13). Kharab Larko'n aur Larkiyo'n ki sohbat un ke sath khelne se bacho'n ko roke'in aur khel tamasho'n ke Dekhne se naach Gaaney cinema Theatre wagaira lagwiyat se Bacho'n aur Bachiyo'n ko khas toar par bachaye.

14). Har Maa Baap ka Farz hai ke Bacho'n aur Bachiyo'n ko har bure kaam se Bachaye aur un ko ache kaamo'n ki Ragbat dilaye taa ke Bache aur Bachiya'an islami adaab o Akhlaaq ke paband aur imaandari o Deen Daari ke johar se Araasta ho jayein aur sahih mana mein Musalman ban kar Islami zindagi Basar karein.

15). yeh bhi Bacho'n ka haq hai ke un ki pedaish ke sathwe Din Maa Baap un ka sar mundwa kar Baalo'n ke wazan ke barabar chaandi kherat karein aur Bache ka koi acha Naam rakhe khabar daar Khabardaar hargiz Bacho'n Bachiyo'n ka koi bura naam na rakhein.

16). jab Bacha Paida ho tou foran hi uske Dayein Kaan ( Right ear ) mein Aazan aur Bayein Kaan ( Left ear ) mein ikamat padhe taa ke Bacha shetaan ke khalal se Mehfuz rahe aur chuhara wagaira koi meethi cheez chaba kar uss ke munh mein Daal dein taa ke Bacha siri zuban aur Ba-akhlaaq ho.

17). Naya Mewa ya Naya Phal Pehle Bacho'n ko khilaye phir khud khaaye ke Bache bhi taaza aur Phal Bhi Taza hai.
Naye phal Ko Naya phal dena acha Hai. 

18). Chand Bache Bachiyan ho tou jo cheezein dein sab ko yaksa aur barabar dein hargiz kami Beshi na karein warna Bacho'n ki Haq talfi hogi.
Bachiyo'n ko har cheez Bachey ke barabar hi dein balke Bachiyo ki Diljoyi o Dildaari ka khaas toar par khayal rakhey kyun ke Bachiyo'n ka Dil bohat nazuk hota hai.

19). Ladkiyo'n ko Libaas aur zewar se aarasta aur banao singhaar ke sath rakhe taa ke Log ragbat ke sath Nikah ka Pegaam dein Haan iss ka khayal rakhey ke woh zewraat pehan kar bahar na nikley ke choro'n daku'on se jaan ka khatra hai bachiyo'n ko bala khaano'n par na rehne dein ke iss me Be-Hayai ka khatra hai. 

20). Barah Baras ki Umr mein Bachiyo'n  ki shadi karde magar Khabardaar Hargiz kisi bad-Deen ya Bad-Mazhab ke yahan Larko'n ya larkiyo'n ki shadi na kare warna Aulad ki Bohat barri haq talfi hogi aur Maa Baap ke sar'on par bohat barrey gunah ka bojh hoga aur woh azab e jahannam ke haqdaar hongey isi tarha fasiko'n Fajiro'n, Sharabiyo'n, Badkaro, Haram Ki Kamai Khane Walo'n, sood khoro'n aur na-jaiz kaam karne walo'n ke yahan bhi Larko'n aur Larkiyo'n ki shaadiya'an na karein aur Rishta talash karne me sab se pehle aur sab se zyada Deen'daar hone ka khaas toar par Dhehan rakhey. 

ALLAH hamare haal par Reham farmaye aur hamein 1 acha Musalman ban'ny ki toufeeq de Ameen.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

jis Biwi Se Us Ka Shohar Naraz ho

jis Biwi Se Us Ka Shohar Naraz ho



agar jis Biwi Se Us Ka Shohar Naraz ho jaye tou uss Aurat ko Shohar se kya kehna Chahiye..?
Pyare Nabi Hazrat Mohammad Sallallahu alaei Wassallam ka Farman hai :
Aaap (S.A.W) ne farmaya: 
agar kisi wajah se khawand naraz ho gya tou jannati Aurat woh hoti hai jo khawand ka haath pakar kar kahey ; ALLAH ki Qasam! mein uss waqt tak ni so'un gi jab tak k aap mujh se raazi nahi ho jaatey.

jis Biwi Se Us Ka Shohar Naraz ho

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Aurat maa Ban janey ke Baad

Aurat maa Ban janey ke Baad



Aurat maa Ban janey ke Baad
Aurat jab Sahibe aulad aur bacho ki maa ban jaye tou uss waqt Aurat maa Ban janey ke Baad iss par mazeed zimme'dariyo'n ka bojh badh jata hai kyun ki Shohar aur waliden wagaira ke hukook ke ilawa Bacho'n ke hukooq bhi Aurat ke sar par sawar ho jate jinh ko adaa karna har Maa ka farz mansabi hai jo maa apne bacho ka haqq ada na kare gi yakinan wo Shariat ke nazdeek bohat badi Gunah'gaar aur samaj ki nazro'n mein zaleel o khwar thehre gi. 

Hum Aurat ki Zindagi ke Char Doar mukammal bayan kar chukey hain taqreeban aur uss ka akhri hissa yeh post hai Umeed hai aap ko iss ke baad apni zimmedariyo'n aur faraiz baarey ilm barrhey ga.

Aulad ki Parwarish karney ka tareeqa: 

har maa Baap ko yeh jaan lena chahiye ki bachpan mein jo achi buri aadate'n bacho'n mein Pukhta ho jati hain woh umr bhar nahi chu-tti isi liye maa Baap par laazim hai ke bachpan hi mein achi aadate'n sikhaye aur buri Aadato'n se bachaye baaz log yeh keh kar abhi bachha hai barra hoga tou theek ho jaye ga.

Bacho'n ko shrarat'on aur galat aadato'n se nahi rokte woh log dar haqeeqat bacho'n ke mustakbil ko kharab karte hain aur barre hone ke baad bacho'n ke bure akhlaak aur gandi aadat'on par rote aur matam karte hain iss liye nihayat zaruri hai ke bachpan hi mein bacho'n ki koi shrarat ya buri aadat dekhey toh iss par rok tok karte rahe balky sakhti ke sath daantein aur tarha tarha se buri aadato'n ki buraiyo'n ko bacho'n  ke samne zahir kar ke bacho'n ko in kharab aadato'n se nafrat dilatey rahein.

aur bacho'n ki khubiya'an aur achi achi aadato'n par khoob khoob shabas keh kar in ka mann badhaye balkey kuch inaam dey kar unka hosla buland karein iss
se qabal ke Aulad ke huqooq ke bayan mein bacho'n ke liye bohat si mufeed baatein hum likh chuke hain ab iss se kuch zaaid baatein bhi hum likhte Hain. 

Maa Baap par yeh laazim hai aur yeh unka farz banta hai k in sub baato'n ka khaas khayal rakhein ta ke un ke Bacho'n ka mustakbil roshan ho.

ALLAH hum sub ko hidayat de aur Sub ke Bacho'n ko un ke Walidain ke haq mein achaa karein.
Ameen.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Wednesday, 9 December 2015

Aurat Shadi Ke Baad

Aurat Shadi Ke Baad



good women are for good men, and good men, for good women,
Asslam o Alaikum Aurat Shadi Ke Baad Aurat ki Zimme'daariya'n bharr jaati hain. Yeh Doar Aurat ki Zindagi Ke Char Doar mein se Bohat hi ehm doar hai kiun k yehi woh waqt hota jab Aurat ko neya Ghar 1 neya jahaan basana hota hai bohat sabar se yeh Rasta teh karna hota hai. Islam ne Aurat ko uss ki tamam tar zindagi kaise guzarni hai iss ke baarey mein Quran o Hadees mein baarha Hukam diya gaya hai. 

NIKAH : Jab Ladki Baaligh ho jaye tou Maa, Baap par laazim Hai ke jald se jald Munasib Rishta talash kar ke uss ki Shadi kar dein. Rishtey ki talash mein khaas taur se iss Baat ka dhayan rakhna behad zaruri hai ke hargiz Hargiz kisi bad-Mazhab ke sath Rishta na hone paye bal ke Deen-daar aur Naik Insan ko Rishtedari ke liye Muntakhab kare. 

Bukhari wa Muslim ki Hadees mein hai ke " Rasool Allah Salallaho Taala alaihi wassalam Ne Farmaya " Ke Aurat se Shadi karne mein Char Cheezein dekhi jaati hain... 
1). Doulat Mand 
2). Khandani Sharafat 
3). Khub surti 
4). Dindari 
Lekin Tum Deen-dari ko in sab Cheezo'n par Mukdam Samjho. 

" Aulad ki tammana aur apni zaat ko badkari se bachane ki niyyat ke liye Nikkah karna Sunnat Hai " Aur Bohat Barrey Ajr o Sawab ka kaam hai ALLAH taala ne Quran Sharif mein farmaya ke 

YANI TUM LOG BE SHOHAR WALi AURATO'N KA NIKAH KAR DO AUR APNE NEIK CHALAN GHULAMO AUR LONDIYO KA BHI NIKAH KAR DO 
  (Surah Al-Noor) 

Hadees Sharif mein hai ke Tourat Sharif mein likha hai ke : 

Jis Shakhs ki Ladki barah Baras ki Umar ko Pohanch gai aur uss ne uss Ladki ka Nikah nahi kiya aur woh Ladki badkari ke Gunah mein parr gai tou is ka Gunah Ladki Wale ke sar par bhi Hoga.. 

Dusri Hadees mein hai ke " Huzoor Salallaho Taala Alaihi Wasalam ne Farmaya ki "  

ALLAH taala ne Teen AShkhaas ki imdaad apne zimmey Karam Par li hai 
1). Woh Gulam Jo Apne Aaka se Aazad Hone Ke Liya Kisi Kadr Rakam Ada Karne Ka Ahed Kare Aur Apne Ahed Ko Pura Karne Ki Niyyat Rakhta Ho. 
2). khuda ki Rah Me Jihad Karne Wala. 
3). Woh Nikah Karne Wala Ya Nikah Karne wali Jo Nikah Ke zariye Haram Kari Se Bachna chahte ho. 

Aurat jab tak uss ki Shadi nahi hoti hai woh apne Maa, Baap ki Beti kehlati hai magar Shadi ho jaane ke baad Aurat apne Shohar ki Biwi ban jaati hai aur ab Uss ke Faraiz aur Uss ki Zimme-dariya'n pehle se bohat zyada barrh jati hain woh tamam Hukook wa Faraiz jo Aurat Baaligh Hone Ke Baad Aurat par laazim ho gaye they ab inn ke ilawa Shohar ke hukook ka bhi bohat Barra bojh Aurat ke sar par aa jaata hai jis ka adaa karna har Aurat ke liye bohat hi barra fariza hai... 

Yaad Rakho ke Shohar ke Hukook ko agar Aurat Ada nahi karegi tou Uss ki Duniyawi zindagi Tabah o barbaad ho jayegi aur aakhirat mein woh Dozakh ki bhadakti Hui Aag mein jalti rahegi aur uss ki Qabar mein saanp Bichu uss ko Dasste Rahein gey aur dono jahaa'n mein zaleel o Khuwar aur tarah tarah ke azabo'n mein Giraftaar Rahegi...

Mazeed Rehnumai ke liye aap Hamari Post Shohar Aur Biwi Ke Huqooq bhi zaroor parhein.

iss liye Shariat ke Hukam ke mutabik har Aurat par Farz hai ke woh apne Shohar ke Hukook ko ada karti rahe aur Umar Bhar apne Shohar ki Farma Bardaari wa Khidmat Guzaari karti rahe. 

Shohar ke Hukook :

ALLAH taala ne Shoharo'n ko Biwiyo'n par Haakim banaya hai aur bohat barri Buzurgi di hai iss liye har Aurat par Farz hai ke woh apne Shohar ka Hukam maaney aur Khushi Khushi apne Shohar ke har Hukam ki Taab-e-daari kare kyun ke  ALLAH taala ne Shohar ka bohat barra haq banaya hai.

Yaad Rakho ke Apne Shohar ko Raazi Wa Khush rakhna bohat badi ibadat hai aur Shohar ko Na-Khush aur Naraz rakhna bohat bada Gunah hai. 

Rasool Allah Salallho taala alaihi wassalam ne Farmaya Ke “Agar mein Khuda ke siwa kisi dusre ke liye sajda karne ka Hukam deta to mein Aurato'n ko Hukam deta ke woh apne Shoharo'n ko Sajda Kiya karein.

Iss mazmoon ko apne tamam Aziz o aqarab aur apne Social media sites k Profiles par share karna na bhoolein. jazakALLAH

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Sunday, 29 November 2015

Aurat Jab Baaligh Ho jaye

Aurat Jab Baaligh Ho jaye



Aurat Jab Baaligh Ho jaye
Asslam o Alaikum Aurat Jab Baaligh Ho jaye tou islami taleemat ki Roshni mein kya kya iqdamaat kar k uss ka tahaffuz yaqeeni bnaya ja sakta hai 

aur islami taleemat iss barey kya kehti hain yeh Aurat ki Zindagi ke Char doar mein se sub se eham or Nazuk doar hota hai.

Jab Aurat Baaligh Ho gai toh ALLAH wa Rasool Sallalaho taala alaihi wassalam ki taraf se Shariat ke tamam Ahkam ki pabandi ho gayi. Ab uss par Namaz, Roza aur Hajj wa Zakat ke tamam masail par amal karna Farz ho gya aur ALLAH taala ke Hukook aur Bando'n ke Hukkook ko adaa karne ki woh Zimmedar ho gai ab uss par Laazim hai ke woh Khuda ke tamam farzo'n ko ada kare aur chote bade tamam Gunaho'n se bachti rahe...

Aur yeh bhi uss ke liye zaruri hai ke apne Maa, Baap aur Bado'n ki taazim wa Khidmat baja laye aur apne chote Bhaiyo'n, Behno'n aur dusre Aziz o Akarib se Pyaar wa Mohabbat kare..

Padosiyo aur Rishte-daaro ke tamam choto, Bado'n ke sath un  ke Maratib wa Darjaat le lihaz se Naik sulook aur acha bartaw kare. 

achi achi Aadate'n sikhe aur tamam kharab aadato'n ko chorr de aur apni  zindagi ko purey toar par islami Dhache mein dhaal kar sachi pakki pabandi shariyat aur imaan wali Aurat ban jaye aur iss ke sath sath Mehnat Mashakat aur Sabr o Raza ki aadat daale mukhtasar yeh ke shadi ke baad apne upar aane wali tamam gharelu Zimme-dariyo'n ki malumaat haasil karti rahe ke Shohar wali Aurat ko kis tarha apne Shohar ke sath Nibah karna aur apna Ghar sambhalna chahiye.

Woh apni Maa aur barri Aurato'n se pooch pooch kar iss ka dhang aur salika sikhe aur apne Rehan Sehan aur chaal Chalan ko iss tarha Sudhare aur saware ke na Shariat mein Gunah-Gaar thehre na Baradari wa Samaaj mein koi iss ko tana maar sake.

Khane peene, pehne odhne, sone jaagne, Baat chit garz har kaam har baat mein jahan tak ho sake khud takleef uthaaye magar Ghar walo'n ko Aaram wa Rahat pohanchaye.bagair Maa, Baap ki ijazat ke na koi saaman apne istemal mein laye na kisi dusre ko de na Ghar ka ek paisa ya aik Dana Maa, Baap ki ijazat ke bagair kharch kare na bagair Maa, Baap se pooche kisi ke Ghar ya idhar udhar jaye..

Garz har kaam, har Baat mein Maa ki ijazat aur Razamandi ko apne liye zaruri samjhe, khane Peene, sine Pirone apne Badan apne kapde aur Makan wa samaan ki safai Garz sab Gharelu kaam ka Dhang Seekh le aur iss ki amli aadat daal le taa ke shadi ke baad apne sasural mein Naik-naami ke sath zindagi basar kar sake aur maike walo aur sasural walo ke dono Ghar ki chahiti aur pyaari bani rahe.

Parde ka khaas tour par khayal aur dhayan rakhe. Gair Mehram Mardo'n aur Ladko'n ke samne aane jane, taak Jaank aur Hansi Mazak se intehayi Parheiz rakhe. Aashiqana ashaar, Akhlaak ko Kharab karne wali Kitabo'n aur Rasail wa akhbarat ko hargiz na dhekhe babd Kirdaar aur Be-Haya Aurato'n se bhi Parda karey aur Hargiz kabhi in se Meil jhol na rakhe khel tamasho se door rahe aur Mazhabi Kitabe'n khususan seerat e MUSTAFA wa Seerat E Rasool Arabi, aur Tamheed e Imaan Parhti rahe.


Farz ibadato'n ke sath nafli ibadate'n bhi karti rahe Maslan Tilawat e Quraan Wa Tasbih Fatima padhti Padhati rahe aur apne un aziz o aqarib aur tamam Musalman'on ko jo Foat ho chukey Fatiha parhti rahe ke in amaal se Duniya wa aakhirat ki Be shumar Barkate'n hasil hoti hain. 

Iss Paigham ko apne Dosto tamam Ladies aur apne Social media Sites ke Profiles par bhi share karna na bhoolein.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Saturday, 28 November 2015

Aurat Ki Zindagi Ke Char Doar

Aurat Ki Zindagi Ke Char Doar


Aurat Ki Zindagi Ke Char Doar

Asslam o alaikum Aurat ki zindagi mein yoon tou bohat se doar aatey hain magar Aurat Ki Zindagi Ke Char Doar Kaabil e zikar hain.

1. Aurat Ka Bachpan
2. Aurat Baaligh hone Ke Baad
3. Aurat Shadi ke baad
4. Aurat Maa Ban janey ke baad

Ab Hum Aurat ke Hukook ka Mukhtasar tazkira saaf saaf Lafzo'n mein tehreer karte hain taa ke har Aurat in Hukook wa Faraiz ko ada kar ke apni Zindagi ko Duniya mein bhi khushal banaye aur Akhirat mein bhi jannat ki la-zawal naimat'on aur Daulato'n se sarfarz ho kar mala maal ho jaye…

Aurat ki Zindagi k un Chaar Adwaar mein Aurat ke Huqooq, Uss ki Tarbiyat, Parwarish ka tareeqa aur tamam masail jan'ney k liye aap Aurat ki zindagi k Har Doar ko uper diye gaye unwaan se open kar k Study karein.

Iss Post ko tamam Dosto'n Aur apne Social media Profiles pe zaroor share karein ta k Sub islami Taleemat ki Roshni mein Samajh sakein.


ALLAH hamein Islami Taleemat ko samajhne aur un par amal karne ki toufeeq ataa farmaye. ameen


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Tuesday, 24 November 2015

Aurat Islam ke Baad

Aurat Islam ke Baad


Aurat Islam ke Baad
Asslam o alaikum hamara aaj ka topic Aurat Islam ke Baad hai. islam Bes'shak Behtreen mazhab hai jis ne iss kainat mein mojood har insan ko chahey woh Mard ho ya Aurat islam ne Sub ko unke Huqooq diye hain. Islam hi ki badolat Aurat'on ki unke Huqooq miley hain. Hamari Post Islam ne Aurat ko Kya Diya bhi islam mein Aurat k muqaam par hai.

Jab Hamare Rasool Rehmat Hazrat e Muhammed Mustafa Salallaho Taala Alaihi wassalam Khuda ki taraf se “Deen-e-Islam” le kar tashrif laye tou duniya bhar ki satayi Hui Aurato'n ki kismat ka sitara Chamak utha. 
or Islam ki Ba Doulat zalim Mardo'n ke zulmo sitam se kuchli or roundi hui Aurato'n ka darja iss kadr Buland o Bala ho gya ke iBadat Wa Muaamlaat balki zindagi aur maut ke har pehlu aur morr par Aurate'n Mardo'n ke Dosh ba Dosh khadi ho gai aur Mardo'n ki Barabari ke Darje par pohanch gaen mardo'n ki tarah Aurato'n ke bhi Hukook Mukarrar ho gaye aur in ke hukook ki hifazat ke liye khudawandi kanoon aasman se Naazil ho gaye aur in ke Hukook dilane ke liye islami Kanoon ki maa’tahti mein Adaalate'n laayim ho gaein. 

Aurato'n ko Malikana Hukook hasil ho gaye chuneche Aurate'n apne Mehar ki Rakmo, apni Tijarato'n, apni jaydado'n ki maalik bana di gaen aur apne Maa, Baap, Bhai, Behen, Aulad aur Shohar ki Miraas ki waaris karaar di gaen. 

Garz Woh Aurate'n jo Mardo'n ki Jutiyo'n se zyada Zalil o Khawar aur intihai majbur o Lachar thin woh Mardo'n ke Dilo'n ka sukoon aur in ke Gharo'n ki Malika ban Gaen chuneche Quraan E Majeed ne Saaf Saaf Lafzo'n mein Elaan Farma Diya... 

Tarjuma e Kunzul Imaan : 

ALLAH NE TUMHARE LIYE TUMHARI JINS SE BIWIYA PAIDA KAR DI TAAKI TUMHE IN SE TASKEEN HASIL HO AUR US NE TUMHARE DARMIYAN MUHABBAT WA SAFKAT PAIDA KAR DI.  (Surah -: room,Ayat:-12) 

Ab koi Mard Bila Waja na Aurato'n ko Maar-pit sakta hai na in ko Gharo'n se nikaal sakta hai aur na koi in ke Maal o Asbaab Ya jaydado'n ko Cheen sakta hai Balke har Mard Mazhabi toar par Aurato'n ke hukook ada karne par Majboor hai chuneche Khudawande Qudoos ne Quran e Majeed mein Farmaya.... 

Tarjuma e Kanzul imaan :

AURATO'N KE MARDO'N PAR AISE HI HUKOOK HE JESE MARDO'N KE AURATO'N PAR ACHE SULOOK KE SATH. (Surah-bakrah Ayat-227) 

Aur Mard Ke Liye Farman Jari Farma Diya ke 

Tarjuma e Kanzul imaan :

AUR ACHE SULOOK SE AURATO'N KE SATH ZINDAGI BASAR KARO. (Surah:- Nisaa Ayat 19) 

Tamam Duniya Dekh le k Deen e Islam ne Miya - Biwi ki ijtimayi zindagi ki sadarat agarche Mard ko ataa Farmayi hai aur Mardo'n ko Aurato'n par Haakim bana diya hai taa ke Nizame Khanadari mein agar koi Barri Mushkil aan pade tou Mard apni Khudadad Taakat wa salahiyat se is Mushkil ko hall kar de lekin iss ke sath sath jahan Mardo'n ke kuch Hukook Aurato'n par wajib kar diye hain. Wahan Aurato'n ke bhi kuch Hukook Mardo'n par lazim thehra diye haye Hain. 

Iss liye Aurat aur Mard Dono aik Dusre ke Hukook mein Jakde Huwe Hain Taa ke dono aik Dusre ke Hukook ada kar ke apni ijtimayi Zindagi ko shadmani wa Masrat ki Jannat bana de. Aur Nifak wa Sikak aur Ladai jagdo'n ke jahannam se hamesha ke liye aazad ho jayen… 


Aurto'n ko Darjaat wa Maratib ki itni Buland Manzilo'n par pohancha dena yeh Huzoor NABI E RAHMAT Sallalaho Taala Alaehi Wassallam ka wo Ehsan e Azeem hai ke Tamam Duniya Ki Aurate'n agar apni zindagi ki akhri saans tak iss ehsaan ka Shukriya ada karti rahe'n phir bhi wo iss azeem us Shaan ehsaan ki shukar Guzari ke farz Se Subook Doah Nahi Ho Sakti. 

Mazhab E Islam mein Aurat Ka Rutba aap Sub ko maloom ho gya ho ga.


Iss Paighaam ko Sub Dosto'n k Saath Share karein ta k hum Sub ko Aurat k Muqaam Aur Islami Taleemat se agaahi ho. 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Sunday, 22 November 2015

Sohbat Karne Ka Islamic Tarika

Sohbat Karne Ka Islamic Tarika



Sohbat Karne Ka Islamic Tarika
Asslam o alaikum aap Ehbaab ki farmaeish par hum Sohbat Karne Ka Islamic Tarika bayan karne jaa Rahey hain. ALLAH pak hamari Galtiyo'n ko muaaf farmaye. 


Hazrat Ibne Abbas Radiallaho Anhu Se Riwayat He Ke
Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Gawaho Ke Bagair Nikah Karnewali Aurate Zaaniya ( Zina Karnewali ) Hain. 
[ Tirmizi Sharif, Jild : 1, Safa :
563, Hadees No. 1095, Baab No. 751 ]

Gausey Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anhu Farmate Hai, Nikah Jumerat
( Thursday ) Ya Jumma ( Friday ) Ko Karna Must'hab He Aur Subah Ki Bajaye Sham Ke Waqt Nikah Behtar
Karna Hain.
[ Gunyatuttalebin, Baab No. 5, Safa : 115 ]

Jis Kisi ne Sohbat Ki Bate Logo Me Bayan Ki Uski Misal Aisi He Jaise Shaitan Aurat Shaitan Mard Se Mile Aur Logo Ke Samne Hi Khule Aam Sohbat Karne Lage.
[ Abu Dawood, Jild : 2, Hadees No. 407, Safa : 155,baab No. 127)

Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya, Allah Ki Laanat Bad Nigahi Karnewale Par Aur Jiski
Taraf Bad Nigahi Ki Jaye.
[ Bayhaqi Sharif, Mishkat Sharif, Jild : 2, Safa : 77 ]

Huzoor Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya...
"Tum me se jo koi apni Biwi ke pas jaye to Parda kar le aur Gadhe ki tarah na shuru ho jaye"
(Ibne Maja, Jild 1, Safa 538, Hadees no 1990, Bab no 616)

Ummulmomenin Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha se Riwayat he ki Huzoor Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya...
"Jo Mard apni biwi ka hath usko behlane ke liye pakadta he, Allah ta'ala uske liye 1 neki likh deta he,
Jab mard pyar se Aurat ke gale me hath dalta he uske haq me 10 nekiya likhi jati he,
Aur jab Aurat se Sohbat karta he to Duniya aur jo kuch usme he un subse behtar ho jata he"
(Gunyatuttalebin Safa 113)

Sohbat se pehle khud bechain na ho jaye apne aap par pura itminan rakhe jaldbaji na kare pehle biwi se Pyar Muhabbat ki batchit kare fir bos wa kinar (Kiss) wagaira se usko razi kare aur isi duran dil hi dil me ye dua padhe:

"Bismillahil Aliyul Azime Allaho Akbar Allaho Akbar"

Tarjuma: "Allah ke nam se Jo bujurg wa Bartar ajmatwala he. Allah bahut bada he. Allah bahut bada he.

iske bad jab mard,Aurat, Sohbat ka irada kar le to kapade jism se alag karne se pehle ek martaba "Surah ikhlas" Padhe

Surah Ikhlas:

"Kul huwallaho Ahad. Allahussamad. Lam-ya-lid. Walam yoolad walam ya kullahu kufuwan ahad."

Surah ikhlas padhne ke bad ye dua padhey.

Sohbat Karne Ki DUA

"Bismillahi Allahumma jannib nash shaitana wa janne bish shaitana ma rajak tana."

Tarjuma: "Allah ke nam se. Ae Allah door kar humse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hume ata karega"
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 473)

Hazrat ibne Abbas Radiallahu Anhu se Riwayat he ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya...

"Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi he) to Allah us padhnewale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega"

(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 557)

Shaikh Abdul Qadir Jilani wa Hazrat Muhkkike islam shaikh Abdul haq mohoddas dahalwi aur Aala hazrat imam Ahmad Raza Khan irshad farmate he

"Agar koi shakhs sohbat ke waqt dua na padhe to us shaks ki sharmgah se shaitan lipat jata he aur us mard ke sath shaitan bhi us Aurat se sohbat karne lagta he. Aur jo aulad paida hoti he woh na farman,buri aadatwali,Begairat,Bad-deen hoti he. Shaitan ki is dakhl andaji ki wajahse Aulad me Tabahkari aa jati he"
(Gunyatuttalebin Safa 116, Fatwa-E-Razviya, Jild 9, Safa 48)


Inzal (Mani nikalte waqt) ki Dua :

Jis waqt inzal ho yani mard ki Mani uske Uzoo-E-Tanasul se nikal kar Aurat ki Sharmgah me dakhil hone lage us waqt dil hi dilme ye dua padhe:

"Allahumma-La-Taja'al Lish Shaitane Fi-M-Razkatni Nasi-ba"
Tarjuma: "Aye Allah shaitan ke liye hissa na bana usme Jo(Aulad) tu hume ata kare"

(Hisne Hasin Safa 165, Fatwa-E-Razviya Jild 9, Safa 161)

Iss Post ko apne tamam Dosto'n aur Nojawano'n ke sath share karein. ALLAH hamein islam ko samajhne aur iss par amal karne ki toufeeq aata farmaye. Aameen.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Aurat Islam Se Pehle

Aurat Islam Se Pehle




Aurat Islam Se Pehle
Aurat Islam Se Pehle Aurato'n ka haal bohat bura tha duniya me Aurato'n ki koi izzat wa wukaat hi nahi thi. Mardo'n ki nazar me is se ziyada Aurato'n ki koi hesiyat hi nahi thi ke woh Mardo'n ki Nafsani Khawahish puri karne ka Khilona Thi. 

Aurat Islam Se Pehle Din Raat Mardo'n ki kism kism ki khidmat karti thi aur tarah tarah ke kaamo se yahan tak ke Dusro'n ki mehnat Mazduri kar ke jo kuch kamati thi woh bhi Mardo'n ko de diya karti thi magar zalim mard phir bhi in Aurato'n ki koi kadr nahi karte the balke janwaro'n ki tarha in ko marte pit'te the. 

zara zara si baat par Aurato'n ke kaan naak wagera aaza kaat liya karte they aur kabhi Qatal bhi kar dalte they. 

Arab ke Log Ladkiyo'n ko zinda Dafan kar diya karte they aur Baap ke marne ke baad us ke Ladke jis tarha Baap ki jaidad aur saamaan ke maalik banjaya karte they aur in Aurato'n ko zabardasti Londiya'n bana kar rakh liya karte they. 

Aurato'n ko inke Maa, Baap, Bhai, Behan, ya Shohar ki Miraas mein se koi hissa nahi milta tha na Auratei'n kisi cheez ki maalik huwa karti thin

Arab ke baaz kabeelo'n mein yeh zaalimana Dastuur tha ke Bewa ho jane ke baad Aurato'n ko ghar se bahar nikaal kar ek chote se tangg taarek jopde mein ek saal tak Qaid mein rakha jata tha. 

Woh jopde se bahar nahi nikal sakti thi na Gusal karti thi na Kapde badal sakti thi, Khana paani aur apni saari zarurate'n isi jopde mein puri karti thi. Bohat si Aurate'n to ghut ghut kar mar jati thin aur jo zinda bach bhi jati tou ek saal ke baad in ke Anchal Mein oont ki Megniya'an daal di jati thin aur in ko majboor kiya jata tha ke woh kisi jaanwar ke badan se apne badan ko ragdey phir sare Shehar mein isi gandey Libaas mein chakkar lagaye aur idhar udhar oont ki megniyaa'n phenkti hui chalti rahe yeh iss baat ka elaan hota tha ke in Aurato'n ki iddat khatam ho gai hai.

isi tarah dusri bhi Tarha Tarha ki kharab aur takleef deh rasme'n thi aur musibat ki maari Aurate'n ghut ghut kar ya ro ro kar apni zindagi guzarti thi….. 

Hindustan mein to Bewa Aurato'n ke sath aise aise dardnaak zalimana sulook kiye jate they ke jin ko soch soch kar kaleja muhn ko aa jata hai. 

Hindu Dharm mein har Aurat ke liye farz tha ke wo zindagi bhar kism kism ki khimat kar ke “ Pati Pooja ” (Shohar Ki Pooja) karti rahe aur shohar ki moat ke baad uss chita ki aag ke sholo'n par zinda leit kar satti ho jaye yani Shohar ki Laash ke sath zinda Aurat bhi jal kar raakh hojaye. 

Garz puri duniya mein be-reham aur zaalim mard Aurato'n par ese ese zulmo sitam ke pahad todte they ke in zalimo'n ki dastan sun kar ek dardmand insan ke seene mein ranjo gham se Dil tukde tukde hojata hai in mazloom aur be kash Aurato'n ki majburi wa lachari ka yeh aalam tha ke samaaj Mein na Aurato'n ke koi Hukook they na in ki mazlumiyat par dado fariyad ke liye kisi kanoon ka koi sahara tha.

Hazaro Baras tak yeh zulmo sitam ki maari dhukyari Aurate'n apno is be kasi aur lachari par roti bil bilati aur aansu bahati rahi magar duniya mein koi bhi in Aurato'n ke zakhmo par marham rakhne wala aur in ki mazlumiyat ke aansu ko poch ne wala door door tak nazar nahi aata tha na duniya mein koi bhi in ke dukh Dard ki fariyad sun'ney wala tha na kisi ke Dil mein in Aurato'n ke liye baal barabar bhi rehamo karam ka koi jazba tha.. 

Aurato'n ke iss haal-e-zaar par insaniyat ranj-o-gham se bechain aur bekarar thi magar iss ke siwa koi chara kaar nahi tha ke woh REHMAT-E-KHUDAWANDI ka intezar kare Ke ALLAH Pak gaaib se koi aisa saman paida farma de ke achanak saari duniya mein ek anokha inkilaab namudar ho jaye aur lachar aurato'n ka sara dukh-dard door ho kar in ka berra paar ho jaye aur jab Rehmat ka aaftab tulu Ho gya tou saari duniya ne Achanak yeh mehsus kiya ke…..

  Jahan tareek tha, zulmat kada tha, sakht kaala tha.
Koi Parde se kya Nikla ke Ghar Ghar mein Ujala tha

Iss Post ko apne tamam Dosto'n ke saath zaroor share karein taa k unko bhi islam se pehle k zaalimana rasm-o-riwaaj ka pta chaley.


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Saturday, 21 November 2015

Beti Ke 7 Huqooq

Beti Ke 7 Huqooq



Beti Ke 7 Huqooq

Islam ne Aurat ko Bohat se Huqooq diye hain Yahan hum islami taleemat ki Roshni mein Beti Ke 7 Huqooq byaan karne jaa rahe hain. in ko Khud bhi parein in par amal karein aur Dusro'n k Saath bhi Share karein. Beti ke Huqooq neeche Parhein.


  • * Beti ke paida hone par Gham na karein Beti ko ALLAH ki Naimat janein.
  • * Betiyo'n se Zyada Diljoi or khaatir'daari rakhein kiun k Betiyo'n ka Dil bohat thorra hota hai.
  • * Betiyo'n aur Beto'n ko koi bhi cheez braber dein. Betiyo'n ko haqeer na janein.
  • * Koi bhi cheez ho Pehle Betiyo'n ( Daughters ) ko dain phir Beto'n ko dein.

  • * 9 Bars ki Umar se Betiyo'n ko naa apne paas sulaein na hi Sagy Bhai k Paas soney dein. Unhein Alehda Bister Par Sulaein.

  • * Iss Umar mein Sakhti se Unki Dekh baal karein or kisi bhi aise Shaadi Beyah jahan par Naach, Gaana ho unhein hargiz wahan na janey dein.
  • * Beti ko kisi bhi fasiq, faajir, khaas tor pas kisi bad'mazhab k Nikah mein Na dein.


iss Paigham ko apne Dosto'n, Rishte daaro or apne Social media A/c par share karna na bhoolein. jazak'ALLAH.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Thursday, 18 June 2015

Benefits Of Surah Fatah in Ramadan

Benefits Of Surah Fatah in Ramadan

Benefits Of Surah Fatah in Ramadan

Today We are going to Share With you the  Benefits Of Surah Fatah in Ramadan

Benefits for Particular Days of Ramadan:

If recited during the 3 days preceding the month of Ramadan, it will ward off the strain of fasting for the whole month.

If recited 3 times during the 1st night of Ramadan, Allah’s protection and help will manifest for the year ahead.

These amal are authentic and tested by pious buzurgs ( saints & scholars ) and its allowed by me to recite it, there is no particular permission to reciting.

Agar Ramadaan Ki Pehli Raat Mai Agar Isko 3 Martaba Padhege To In Sha Allah Aanewala Poora Saal Allah Ki Madad Aur Hifazat Milegi.

Afar Ramdaan Ke Suroo Ke 3 Dino Mai Padhege To Poora Ramadaan Aasani Se Guzrega In Sha Allah
Yeh Amal Bade Buzurgo Ka Azmaya Hua Hai.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Thursday, 11 June 2015

Aurat Kya Hai Jannati Zevar se iqtabaas

Aurat Kya Hai Jannati Zevar se iqtabaas


Aurat Kya Hai Jannati Zevar se iqtabaas


Aurat Kya Hai Jannati Zevar se iqtabaas:

Aurat Khuda ki barri barri nemato'n me se ek bohat barri nemat he. 

Aurat-duniya ki Aabadkari aur dindari me Mardo Ke Sath Takriban Barabar Ki Sharik He. 
.

Aurat-mard Ke Dil Ka Sukoon, Rooh Ki Rahat, Zehan Ka Itminan, Badan Ka Chain He.
.

Aurat-Duniya Ke Khub Surat Chehre Ki Ek Aankh He.
Agar Aurat Na Hoti To Duniya Ki Surat Kani Hoti. 
.

Aurat-Hazrat Aadam Alahis salam Wa Hazrate Hawwa Radi Allahu Taala Anha ke Siwa Tamam Insano'n Ki “Maa” Is Liye Woh Sab Ke Liye Kabile Ahteram He. 
 .

Aurat-ka Wajood Insani Tammdun Ke liye Behad Zaruri He Agar Aurat na Hoti To Mardo'n Ki Zindagi Jangli Janwaro Se Badtar Hoti. 
 .

Aurat-Bachpan Me Bhai Behno Se Muhabbat Karti He.Shadi Ke Baad Sohar Se Muhabbat Karti He.Maa Ban Kar Apni Awlad Se Muhabbat Karti He Is Liye Aurat Duniya Me Pyar Wa Muhabbat Ka Ek “TAJ MAHAL” He.
.
Baray Meharbani iss Peigaam ko Zyada se Zyada Share kijiye Shukriyaa

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Tuesday, 9 June 2015

Nikah Kahan Karna Chahiye

 Nikah Kahan Karna Chahiye


Nikah Kahan Karna Chahiye


Nikah Kahan Karna Chahiye?


Ummul-momenin Hazrat Aayesha siddiqa Radiallahu Anha, Hazrat Anas Bin Malik, Hazrat Abdullah ibne umar radiallahu anhu se Riwayat he ke Huzoor Akram Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya

  “Apne Nutfe (Shadi ke liye) Achchi jagah talash karo. apni Biradri me Byah ho, aur Biradri se byah kar lao ki Aurate Apne hi Kunbe ke Mushaba (Milte hue Bachche) Janti he”


  (Ibne Maja Jild 1, Hadees no 2038, Safa 549, Bayhaqi Sharif wa Haaqim)

Hazrat imam Bukhari Radiallahu Anhu Riwayat karte he ki

  “Aur Must’hab (Behtar) He ke apni Nasl ke liye Behtar Aurat chune Lekin ye Wajib nahi”

  (Bukhari sharif Jild 3, Bab no 41, Safa 56)

Hazrat Abuhuraira wa Hazrat Jaabir Radiallaho Anhu se Riwayat He Ke Nabi E Rehmat Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad farmaya:

  “Aurat se 4 chizo'n ki wajahse nikah kiya jata he

 1. Uska Maal  
2. Husn wa Jamal  
3. Uska Khandan
4. Uske Deendar hone ki wajahse.

  Lekin tu Deendar Aurat Ko Hasil Kar”

  (Bukhari sharif Jild 3, Safa 59, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 555)

Pyare Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya

  “Aurato se unke Husn ke sabab shadi na karo ho sakta he uska Husn tumhe Tabah kar de, na uske Maal ki wajahse shadi karo ho sakta he ke unka Maal tumhe gunaho me Mubtela kar de,Balki Deen ki wajahse nikah kiya karo,

  Kali,Chapti,Badsurat Londi agar Deendar ho to Behtar he” (Ibne maja, Jild 1, Hadees no 1926, Safa 522)

Allah Ta’ala in saare masail ko hamen samajhne yaad rakhne aur usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye Aameen
 
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

Regards:
jUnAiD
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Friday, 5 June 2015

Nikah Karne Par Aadha Deen Mukammal Ho Jata Hai

Nikah Karne Par Aadha Deen Mukammal Ho Jata Hai

  
Nikah Karne Par Aadha Deen Mukammal Ho Jata Hai

Nikah Karne Par Aadha (50%) Deen Mukammal Ho Jata Hai…
Mehboob-E-Rehman Sarwar-E-Zishanصلل الله عليه وسلم Ne Farmaya:
”Bande Ne Jab Nikah Kar Liya To Aadha Deen Mukammal Ho Jata Hai Ab Baki Aadhe Ke Liye ALLAH Ta’ala Se Daro”(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

ZEENAT AUR AARAISH (MAKEUP):

Qudrat Ne Insaan Ko Tamam Makhlookaat Se Bahtar Shakl Aur Umdah Soorat Ata Ki Hai, Us Haseen Shakal Wa Soorat Ka Taqaaza Hai Ke Usko Saaf Wa Paak Rakha Jaaye Aur Jahan Tak Mumkin Ho Mard Aur Aurat Dono Hi Apni Paaki Wa Shakal Wa Soorat Ko Sawaaren,

Khaas Kar Azdawazi Zindagi Me (Married life) Is Ka Ehtemam Karna chahiye,Isse Dono Ke Darmiyan Qurbat Wa Muhabbat Badhti Hai Aur Nafrat Wa Karaahat Ka Jazba Paida Ni Hota
Allah Taala Ka Irshad Hai…

”Aurton Ke Liye Tumpar Waise Hi Huqooq Hain Jaise Tumhare Liye Un Par Hain”  (Surah Baqarah)

Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu Is Aayat Ki Tafseer Me Farmate Hain….

”Jis Tarah Biwi Mere Liye Aaraish (Makeup) Karte Hai, Main Bhi Uske Liye Aaraish Karta Hoon, Main Pasand Nahi Karta Ke Biwi Par Jo Mere Huqooq Hain Wah Poore Haasil Kar Loon Kyonki Uski Wajah Se Mere Uper Jo Uske Huqooq Hain Unki Mustahik Ho Jayegi Jaisa Ke Allah Taala Ne Is Aayat Me Farmaya “
Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya…

”Jab Tum Safar Se Raat Me Aao (Aur Ghar Waalon Ko Pahle Se Malum Na Ho) Toh Fauran Ghar Me Na Chale Jao, Taake Jis Aurat Ka Shauhar Ghayab Tha Wah Zer E Naaf Baal Moond Le Aur Pur’gandah Baal Waali Surmein Kanghi Kar Le, Heshyaar Heshyaar Jald Baazi Na Karna”
(Bukhari)

Yaad Rakhna chahiye Ke Asal Zeenat Wa Aaraish Ye Hai Ke Jism Wa Libaas Ko Paak Wa Saaf Rakha Jaaye Aur Hiyyat Wa soorat Ko Unki Fitri Zeenaton Se Aaraasta Kiya jaye, Jinko Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ek Hadith Me Bayan Kiya Hai,

”10 Cheezein Fitri Zeenat Hain,
  Moonchh (Maustache) Ko Khoob Taraashna, Daadhi Poori Poori Chhodhna, Miswaak Karna, Naak Me Paani Daal Kar Saaf Karna, Naakhun Kaatna, Ungalion Ke Jodon Ko Dhona, Baghal Ke Baal Ukhedhna, Zer E Naaf Baal Moondhna, Peshab Ke Baad Paani Se Istinja Karna, Kulli Karna “
(Muslim)

Ameer Ul Momineen Hazrat Umar Radiallahu Anhu Ki Khidmat Me Ek Maila Kuchaila Pur’gandah Baal Waala Ek Mard Aaya,Saath Me Uski Biwi Bhi Aayi,Kahne Lagi:-

”Aye Ameer Ul Momineen ! Mujhko Isse Chhutkaara Dilaaiyye” Hazrat Umar Radiallahu Anhu Samjh Gaye Ki Ye Apne Shauhar Se karaahat Karti Hai,

Uske Shauhar Ko Huqm Diya Ke Jaao Ghusl Karo, Sar Ke Baal Aur Naakhun Taraasho,Jab Wah In Kaamon Se Faarigh Hokar Aaya Toh Huqm Diya Ke Biwi Ke Saamne Jaao,Ab Jo Biwi Ki Nigaah Uspar Padi Toh Usko Ajnabi Mard Samjhkar Hat Gayi Lekin Kuch Der Me Pahchan Gayi Aur Apne Daawe Se Dast Bardaar Ho Kar Uske Saath Rahna Manzoor Kar Liya, Uske Baad Hazrat Umar Radiallahu Anhu Ne Aam Huqm Sunaaya…

”Logon ! Aurton ki Qurbat Wa Muhabbat Qaayem Rakhne Ke Liye Ye Sab Kaam Kiya karo, Allah Ki Qasam Tumhari Biwiyan Tumko Isi Tarah Aaraasta Dekhna chaahti Hain Jis Tarah Tum Unko Aaraasta Dekhna Chaahte Ho”

(Adab Zawaaj Page-60)
Allah Ta’ala in saare masail ko hamen samajhne yaad rakhne aur usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye Aameen

 
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

Remember me in your Prayers.... 

Regards: jUnAiD
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Wednesday, 28 January 2015

Islam ne Aurat ko Kya Diya

Islam ne Aurat ko Kya Diya 


Islam ne Aurat ko Kya Diya

>>> ISLAM ne Aurat ko kya diya ?

Assalamu Alaikum 

Dosto – PichhLe CULTURE
me AURAT ka Maqaam
 iss tarha tha

1) BEBYLONIA culture me – Ager Ek Aadmi kisi Aurat ka QateL
kar deta
to Usko – Saza Dene ke Bajaye – Uski BIVI ko Maut
ke Ghaat Utaar Diya Jata tha

2) UNANI culture me Aurto ko Saare HAQ se Mehroom Rakha
Jata tha –
Aur Unhe MARDO ke Aage Bahut HAQEER Mana
Jata tha

3) ROMAN culture me MARD ko Apni Aurat ka Jeevan
Cheenne
ka Poora HAQ tha – Unme Aurat ko HAWAS ka
Saaman Samjha Jata tha – Aur Nanga pan to Unme Aam Baat
thi

4) MISR ke Log to Aurto ko Shaitan ka Roop Maante the

5) Hamare Parosi Mulk india me Bhi Yeh Riwaaj tha – ki- Ager kisi Aurat
ka khawind (husband) Marr Jaye – to – Uski Aurat ko Bhi Apne
Pati ke Saath Jalna parta tha – Ager koi Aurat Aisa Nahi
Chahti – to bhi – Use Zabardasti “SATI” kar diya Jata tha


6) ISLAM se Pahle ARAB me Bhi Aurton ko Neech Maana
Jata tha –

Jab – kisi Larki ki Paidaish Hoti – to –
Usey Zinda Hi
Dafan kar Diya Jata tha – aur – koi ise Galat Bhi Nahi kehta
tha – Wahan per Yeh Aam Baat thi
Dosto – Baad me ISLAM ne Hi Yeh Sab GALAT RASMO ko
Band kiya

ISLAM ne Hi Aurato ko Ooper Uthaya

1400 Saal Pehle Hi Aurat ko Uska Maqaam aur IZZAT Diya
Woh ISLAM Hi Hai – Jisne > MAA ko, Baap se Bhi Kayi Guna
Bara Martaba Diya
 
Dosto – Aap Dekh Sakte Hain – ki Aaj – itni Tarakki yafta
Hone
ke
Baad Bhi – Hamare Yaha DAHEJ Jaisi Partha Hai –
Jiske Karan – kitni Masoom Aurto aur Bachchiyo ko Maar
Diya Jata Hai
Jabki – ISLAM me Dahej Naam ki Koi Cheez Nahi – ISLAM ne
to
Ulta MARD ke Ooper HAQ MAHER Rakha Hai – Aur – Uski
Bhi
koi Hadd Nahi Rakhi – Aurat Jitna Chahe Apna HAQ
MAHER Haisiyat ke Hisaab se Bandhwa Sakti
Hai

Dosto – Aaj Bhi – Log Property me Ladke ko HAQ Dete Hain –
per Larki ko Nahi – Lekin – ISLAM ne MEERAS me LARKI ka
Bhi HAQ Rakha Hai
ISLAM ne Aurat ki TALEEM per- koi
Pabandi Nahi Lagayi –
Bus- ISLAM Yeh Kahta Hai – ki Larka aur Larki ki Taaleem
Alag-Alag Hona Chaiye – Taki Uski
Asmat aur Paki Barkarar
Rahe

ISLAM ne to Aurat ko itna tak HAQ Diya Hai – ki Woh Shaadi
se Pahle Apne Hone Wale KHAWIND ko Dekh Sakti Hai – Balki
– Usse Mill Bhi Sakti Hai – Aur Usse Baat Cheet Bhi Kar Sakti
Hai – Lekin Apne kisi Mehram ki Mojudgi
me

Dosto – ISLAM ne Hi Aurat ki Hifazat ke Liye Sakht Qanoon
(Saza e Maut) Rakhkha Hai – Taki – koi Rape karke Uski
Zindagi Barbad karne se pahle 100 Baar
Soche

Dosto – ISLAM se Behter – koi Tareeka E Zindagi Nahi
isiLiye – Aaj Tarakki Yafta EUROPE bhi – ISLAM ki Bhalayi Dekh ker – ise Tezi se Apna Raha Hai
♧♧☆ SUBHAN ALLAH ☆♧♧


Allah hamein islam par poori
tarah Amal karne
Ki toufiq ataa farmaye
*Aameen*


For More Msgs Click This Link
Deeniraah.blogspot.com
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Followers

Popular Posts