A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Wednesday 29 October 2014

Mazhab E Islam Mein Aurat ka Rutba

Mazhab E Islam Mein Aurat ka Rutba

Mazhab E Islam Mein Aurat ka Rutba

AURTON (Women) Ke Baare Me Hinduon Ki Kitab”VEDON”ki Talim:
Aurat ko Juwen (Satranj/ -Chess) me Haarne aur bechne ki ijaazat hai,
Aurat dhoke baaz hai,
Aurat ka dil bhediye(Wolf) ki tarah hai,
Aurat baap ki Jaaydaad ki waaris Nahi ban sakti,
Ladkiyon ki maujoodagi me ladke paida karne ke liye pati(shauhar) apni patni (wife) ko kisi ghair mard se pregnent karwaane ka huqm de sakta hai…

●●► AURTON KE BAARE ME ISLAM KI TAALEEM:
BETI (DAUGHTERS) KI FAZEELAT:
Maa ka jo darja hai usko bayaan karne ki zarurat nahi kyonki sab jaante hain ki maa ka darja bahut buland hai,
Aurat ka ek aur kirdaar (role) beti ki soorat me hai, Ye Tareekhi (historic) haqiqat hai ke islam se pahle aur islam ke baad ghair Muslim(non muslim) muashre me ladki aur beti ke wajood ko accha nahi samjha gaya, balke unko zinda dafan kar dene, paida hote hi khatm kar dene aur unki paidaish par afsos mahsoos karne ke waaqeyaat tareekh ke panno(pages) par bikhre pade hain,

Quran majeed ne intehaai purzor andaz me betiyon ki is zinda dargori(dafan) ke khilaaf aawaaz buland ki ke , Qayamat ke din ye sawaal Zaroor hoga ke betiyon ko kis jurm me maara gaya tha,
Al Quran:
“Aur jab zinda dafan ki jaane waali ladki se poocha jaayega ke wah kis gunah ki paadaash me maari gayi”
(surah takweer ayat 5-8)

Betion ko devta’on ko bali (nazr) Par bhent chadhaaya jaata tha,
Quraan ne usko barbaadi ka Tareeqa bataaya:
“Aur isi tarah bahut se mushrikon ke liye unke shareekon ne apni aulaad ke qatal ko khushnuwa bana diya hai, taake unko halaakat me mubtala karen aur inpar unke deen ko mushtabah bana den”
(surah anaam 137)

Quran majeed ne aise logon ko Nafsiyaati bimari ka khulaasa kiya hai, jinko bachi(betiyon) ki paidaish ki khabar milti hai toh gham wa ghusse se unke chehre siyaah(black) jo jaate hain aur beti ki Paidaish ki khushkhabri par Bajaaye khushi ke kudte rahte hain, Aur unki samjh me nahi aata ke wah kiya karen, is zillat ko bardaasht karen ya phir usko zameen me dafan kar den
is bimari ke baare me allah ka irshaad hai:

“aur jab inme se kisi ko beti ki khushkhabri di jaati hai toh uska chehra siyah ho jaata hai aur ghusse ke ghoont peeta hai, wah logon se is Khuskhabri ki takleef ki wajah se chhupta firta hai,(sochta hai) ke zillat ke saath beti ko liye raheya mitti me daba de”
(Quraan)

islam ne in betiyon ko bajaaye aar wa sharm ke jannat ke hasil karne ka sabab bana diya hai:
HADEES:
JO Log Apni Ladkiyon Ko Pyar Se Parwarish Kare Wo Bachchiya Qayamat Me Unke Liye Jahannam Se Aad Banegi.
[ Tirmizi Vol:1-Pg:617 ]

Ek aur riwayat ke mutabik qayamat ke din rasoollullah sallaho alaihi wasallam(pbuh) se ek aisa shakhs intehaai qareeb hoga jisne do bacchon ki parwarish aur tarbiyat ki ho
tirmiz ki hadith me hai ke jisne 3 bahno aur betiyon ya do bahno aur betiyon ki umdah taur par parwarish ki toh jannat uski hogi..
Irshaad hai
“jisne 3 betiyon ya 3 bahno ya do bahno ya do betiyon ki parwarish ki, unko tahzeeb sikhaayi, unse accha bartaao kiya, toh uske liye jannat hai”
(tirmizi)

Apni Betiyo (Daughters) Ka Haq(Hissa) Hargiz Na Maro,
Aur apni Bahen Or Betiyo Ke Saath Naram Dil Se pesh Aavo,
Or Unki Marzi Puchh Liya Karo.
[ Tafsir Ruhul Bayan ]

BIWI KA DARJAH: (STATUS OF WIFE)
Biwi ka darja chunke muashre ki taameer wa tashkeel me sabse zyada aur aham hota hai, isliye uske mutaallik ahkaam bhi zyadah hain,
Surah baqarah, surah nisa, surah Noor, Surah talaaq me is qism ke bahut se ayaten aayi hain,
Ham inme se kuch ko naqal karte hain taake biwi ki ahmiyat uski fitrat wa salaahiyat aur uske Mutaallik huqooq wa faraiz ki Wazaahat ho sake,
biwi ka wajood baa’as taskeen hai aur ye sukoon aapas ki muhabbat aur murawwat se haasil ho sakta hai.

Allah ka farmaan hai: Al Qur’an:
Aur Uski Nisaniyon se Hai Ke Tumhare Liye Tumhari Hi Jins Se JODE (Pair) banaye ke Unse Aaraam Paao Aur Tumhare Aapas Me MOHABBAT Aur Rehmat Rakkhi.
Besak Isme Nisaniyan Hai Dhyan Karne Walon Ke Liye.
[ SURAH ROOM : 21 ]

Biwi ke saath bhalaai ke saath zindagi basar karna chahiye, biwi ki baatein nagawaar hoti hain toh ho sakta hai ke usi me khair aur bahtari chhupi ho.
Allah ka irshaad hai:
“in (biwion) ke saath acche tareeqe se zindagi basar karo, agar tum unko napasand karte ho toh ho sakta hai kisi cheez ko tum bura samjhte ho aur allah taala ne usme khair kaseer rakha ho”
[ Surah nisa 19 ]

Jitna Diya Mujhe Sarkaar Ne Utni Meri Awkaat Nahi,
Ye To Karam Hai Unka Mujh Me Koi Aisi Baat Nahi.

( Meri Baheno Ye sab Ehsaan Hai Mere Nabi Ka, Ye Nabi Naa hote To Koun Janta Aurat Ka Martaba Kya hai? Koun Janta Maa Ke Azmat Kya hai?
Magar Aaj Tum Nabi Ke Dusmanon Ke culture Ko Apnaye Huve ho !! Ma’zallah.)

Aaj Ham Fakhr Se Kehte Hai Ki Apne Shohar Baap Aur Bhai Se Jitni Musalmaan Aurtat Khus Hai, Utna Khus Koi Aur Mazhab Ki Aurat Nahi hai.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts