Aurat Jab Baaligh Ho jaye
Asslam o Alaikum Aurat Jab Baaligh Ho jaye tou islami taleemat ki Roshni mein kya kya iqdamaat kar k uss ka tahaffuz yaqeeni bnaya ja sakta hai
aur islami taleemat iss barey kya kehti hain yeh Aurat ki Zindagi ke Char doar mein se sub se eham or Nazuk doar hota hai.
Jab Aurat Baaligh Ho gai toh ALLAH wa Rasool Sallalaho taala alaihi wassalam ki taraf se Shariat ke tamam Ahkam ki pabandi ho gayi. Ab uss par Namaz, Roza aur Hajj wa Zakat ke tamam masail par amal karna Farz ho gya aur ALLAH taala ke Hukook aur Bando'n ke Hukkook ko adaa karne ki woh Zimmedar ho gai ab uss par Laazim hai ke woh Khuda ke tamam farzo'n ko ada kare aur chote bade tamam Gunaho'n se bachti rahe...
Aur yeh bhi uss ke liye zaruri hai ke apne Maa, Baap aur Bado'n ki taazim wa Khidmat baja laye aur apne chote Bhaiyo'n, Behno'n aur dusre Aziz o Akarib se Pyaar wa Mohabbat kare..
Padosiyo aur Rishte-daaro ke tamam choto, Bado'n ke sath un ke Maratib wa Darjaat le lihaz se Naik sulook aur acha bartaw kare.
achi achi Aadate'n sikhe aur tamam kharab aadato'n ko chorr de aur apni zindagi ko purey toar par islami Dhache mein dhaal kar sachi pakki pabandi shariyat aur imaan wali Aurat ban jaye aur iss ke sath sath Mehnat Mashakat aur Sabr o Raza ki aadat daale mukhtasar yeh ke shadi ke baad apne upar aane wali tamam gharelu Zimme-dariyo'n ki malumaat haasil karti rahe ke Shohar wali Aurat ko kis tarha apne Shohar ke sath Nibah karna aur apna Ghar sambhalna chahiye.
Woh apni Maa aur barri Aurato'n se pooch pooch kar iss ka dhang aur salika sikhe aur apne Rehan Sehan aur chaal Chalan ko iss tarha Sudhare aur saware ke na Shariat mein Gunah-Gaar thehre na Baradari wa Samaaj mein koi iss ko tana maar sake.
Khane peene, pehne odhne, sone jaagne, Baat chit garz har kaam har baat mein jahan tak ho sake khud takleef uthaaye magar Ghar walo'n ko Aaram wa Rahat pohanchaye.bagair Maa, Baap ki ijazat ke na koi saaman apne istemal mein laye na kisi dusre ko de na Ghar ka ek paisa ya aik Dana Maa, Baap ki ijazat ke bagair kharch kare na bagair Maa, Baap se pooche kisi ke Ghar ya idhar udhar jaye..
Garz har kaam, har Baat mein Maa ki ijazat aur Razamandi ko apne liye zaruri samjhe, khane Peene, sine Pirone apne Badan apne kapde aur Makan wa samaan ki safai Garz sab Gharelu kaam ka Dhang Seekh le aur iss ki amli aadat daal le taa ke shadi ke baad apne sasural mein Naik-naami ke sath zindagi basar kar sake aur maike walo aur sasural walo ke dono Ghar ki chahiti aur pyaari bani rahe.
Parde ka khaas tour par khayal aur dhayan rakhe. Gair Mehram Mardo'n aur Ladko'n ke samne aane jane, taak Jaank aur Hansi Mazak se intehayi Parheiz rakhe. Aashiqana ashaar, Akhlaak ko Kharab karne wali Kitabo'n aur Rasail wa akhbarat ko hargiz na dhekhe babd Kirdaar aur Be-Haya Aurato'n se bhi Parda karey aur Hargiz kabhi in se Meil jhol na rakhe khel tamasho se door rahe aur Mazhabi Kitabe'n khususan seerat e MUSTAFA wa Seerat E Rasool Arabi, aur Tamheed e Imaan Parhti rahe.
Farz ibadato'n ke sath nafli ibadate'n bhi karti rahe Maslan Tilawat e Quraan Wa Tasbih Fatima padhti Padhati rahe aur apne un aziz o aqarib aur tamam Musalman'on ko jo Foat ho chukey Fatiha parhti rahe ke in amaal se Duniya wa aakhirat ki Be shumar Barkate'n hasil hoti hain.
Iss Paigham ko apne Dosto tamam Ladies aur apne Social media Sites ke Profiles par bhi share karna na bhoolein.

1 comments:
Masha'allah❤️🌷🌷🌷
Post a Comment