A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Sunday, 24 January 2016

Aulad Ke Huqooq

Aulad Ke Huqooq

Aulad Ke Huqooq
Asslam o alaikum Aulad Ke Huqooq in islam in Urdu / Hindi mein bayaan kiye gaye hain jinh ke baarey mein hum ne tafseel'an zikar kiya aur mufeed mashwarey diye. Hum umeed kartey hain ke aap ko hamari yeh choti si deen ko samajhne aur samjhany ki Koshish Pasand aaey gi aur aap in sub baato'n par amal kar k hamein zaroor support karein gey.

Aulad Ke Huqooq: 

1). Har Maa par yeh laazim hai ke apne Bacho'n se pyaar aur mohabbat kare aur har mua'amle mein un ke sath mushfikana bartao kare aur un ki dil joyi o Dil bastagi mein lagi rahe aur un ki parwarish aur tarbiyat mein puri puri koshish kare. 

2). Agar maa ke Doodh me koi kharabi na ho tou maa apna Doodh apne bacho'n ko pilaye ke Doodh ka bacho'n par barra asar padhta hai.

3). Bacho'n ki safai suthrayi in ki Tandrusti o Salamati ka khaas toar par dehaan rakhey.

4). Bacho'n ko har kism ke ranj O gham aur takleef se bachati rahey. 

5). Be-zuban bache apni zarooriyaat bata nahi sakte iss liye maa ka farz hai ke bacho'n ke isharaat ko samajh kar un ko zaruriyaat puri karey.

6). Baaz Maa'en chilla kar ya phir Billi ki boli bol kar ya sipahi ka naam le kar ya koi dhamake kar ke chote Bacho'n ko daraya karti hain yeh bohat hi buri Baate'n hain baar baar aisa karne se bacho'n ka Dil kamzor ho jata hai aur woh barrey hone ke baad darpok ho jaya karte hain.

7). Bache jab kuch Bolne Lagein toh Maa ko chahiye ke unhe baar baar ALLAH o Rasool  Sallallahu  taala  alahi  wasallam   ka naam sunaye un ke samne baar baar kalima padhe yahan tak ke woh kalima padhna Seekh jaye.

8). jab bache bachiya taalim ke qaabil ho jayein tou sab se pehle un ko Quran Sharif aur Deenyaat ki taleem dilaye.

9). Bacho'n ko islami adaab o Akhlaaq aur Deen o Mazhab ki Baate'in sikhaye.

10). Achi Baato'n ki ragbat dilaye aur buri baato'n se nafrat dilaye.

11). Taleem o tarbiyat par Khaas toar par tawajjoh karey aur tarbiyat ka dhehan rakhe kyun ke Bachey saada warq ki Maanind hote hain saada Kagaz par jo naksha nigaar banaye jaye woh ban jaatey hai aur Bacho'n Bachiyo'n ka sab se pehla Madrasa maa ki Goad hai iss liye maa ki taalim o tarbiyat ka Bacho'n par bohat gehra asar padhta hai lihaza har Maa ka farz mansabi hai ke Bacho'n ko islami tehzeeb o tamadun ke sanchey mein dhakk kar un ki Behtareen tarbiyat karey agar Maa apne iss haq ko ada na kare gi toh gunah'gaar hogi.

12). jab Bacha ya Bachi saath (7) Baras ke hojaye tou un ko taharat aur Wuzu o Gusl ka tareeka sikhaye aur Namaz ki taalim de kar un ko Namazi banaye aur paaki o Na-Paaki aur Halal o Haram aur farz o Sunnat wagaira ke masail un ko bataye.

13). Kharab Larko'n aur Larkiyo'n ki sohbat un ke sath khelne se bacho'n ko roke'in aur khel tamasho'n ke Dekhne se naach Gaaney cinema Theatre wagaira lagwiyat se Bacho'n aur Bachiyo'n ko khas toar par bachaye.

14). Har Maa Baap ka Farz hai ke Bacho'n aur Bachiyo'n ko har bure kaam se Bachaye aur un ko ache kaamo'n ki Ragbat dilaye taa ke Bache aur Bachiya'an islami adaab o Akhlaaq ke paband aur imaandari o Deen Daari ke johar se Araasta ho jayein aur sahih mana mein Musalman ban kar Islami zindagi Basar karein.

15). yeh bhi Bacho'n ka haq hai ke un ki pedaish ke sathwe Din Maa Baap un ka sar mundwa kar Baalo'n ke wazan ke barabar chaandi kherat karein aur Bache ka koi acha Naam rakhe khabar daar Khabardaar hargiz Bacho'n Bachiyo'n ka koi bura naam na rakhein.

16). jab Bacha Paida ho tou foran hi uske Dayein Kaan ( Right ear ) mein Aazan aur Bayein Kaan ( Left ear ) mein ikamat padhe taa ke Bacha shetaan ke khalal se Mehfuz rahe aur chuhara wagaira koi meethi cheez chaba kar uss ke munh mein Daal dein taa ke Bacha siri zuban aur Ba-akhlaaq ho.

17). Naya Mewa ya Naya Phal Pehle Bacho'n ko khilaye phir khud khaaye ke Bache bhi taaza aur Phal Bhi Taza hai.
Naye phal Ko Naya phal dena acha Hai. 

18). Chand Bache Bachiyan ho tou jo cheezein dein sab ko yaksa aur barabar dein hargiz kami Beshi na karein warna Bacho'n ki Haq talfi hogi.
Bachiyo'n ko har cheez Bachey ke barabar hi dein balke Bachiyo ki Diljoyi o Dildaari ka khaas toar par khayal rakhey kyun ke Bachiyo'n ka Dil bohat nazuk hota hai.

19). Ladkiyo'n ko Libaas aur zewar se aarasta aur banao singhaar ke sath rakhe taa ke Log ragbat ke sath Nikah ka Pegaam dein Haan iss ka khayal rakhey ke woh zewraat pehan kar bahar na nikley ke choro'n daku'on se jaan ka khatra hai bachiyo'n ko bala khaano'n par na rehne dein ke iss me Be-Hayai ka khatra hai. 

20). Barah Baras ki Umr mein Bachiyo'n  ki shadi karde magar Khabardaar Hargiz kisi bad-Deen ya Bad-Mazhab ke yahan Larko'n ya larkiyo'n ki shadi na kare warna Aulad ki Bohat barri haq talfi hogi aur Maa Baap ke sar'on par bohat barrey gunah ka bojh hoga aur woh azab e jahannam ke haqdaar hongey isi tarha fasiko'n Fajiro'n, Sharabiyo'n, Badkaro, Haram Ki Kamai Khane Walo'n, sood khoro'n aur na-jaiz kaam karne walo'n ke yahan bhi Larko'n aur Larkiyo'n ki shaadiya'an na karein aur Rishta talash karne me sab se pehle aur sab se zyada Deen'daar hone ka khaas toar par Dhehan rakhey. 

ALLAH hamare haal par Reham farmaye aur hamein 1 acha Musalman ban'ny ki toufeeq de Ameen.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts