A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Sunday 27 July 2014

Working Girl Can Be A Good Wife

Working Girl Can Be A Good Wife

Now a day it is very difficult boys and girls marriage. Especially for girls, they are rejected by women. The reason of reject are, there is no beautiful, very fat, short height, dark color, no good residence and now add in these that girl do job. There are lot of problem which are created by own. Every one known very well that it is very difficult to live in one person income. Living thing prices are so high, financial problem face in each family. So girl does job for solve financial problem and help their family. Now a day 70% women and girls do job in many fields. There are lots of girl who are doctor, engineer, pilot, speaker and do job in different field to their ability. They are doing job and also a wife they have to duty in their home and at job field. So it is proved that working girls can be a good wife.

DeeniRaah.blogspot.com

Job Karne Wali Larkian Achi Wife Ban Sakti Hain:

Boys ya girls key liye maiyari rishton ki talash aik gambhir muaashrati maslah hai. Aur yeh masla hamara apna paida karda hai, kiun keh hum ne iss zaman mein aik khud sakhta paimana muqarrar kar rakha hai, jis mein khoob surti, dolat-o-hashmat aala khandani pas-e-manzar waghairah sar fehrast hain. Aaj kal serut, taleem, deen dari aur ikhlaqyat to koi maine nahi rakhtey , khosusan larki ka chunaoto iss tarah kia jata hai goya mandi mein bikne wala janwar, pasan na aaya to dusrsari nazar daal key aagey barh gaye. Ghar ghar ja kar apney beton aur bhyion key liye larkian dekhna bhi mahaz waqt guzari aur faishon banta jaraha hai. Amuman jin asbaab key bina par larkion key rishtey rad kiye jatey hain, inn mein:
  • Larki khoob surat nahi.
  • Moti hai.
  • Qad chota hai.
  • Rung kam hai.
  • Rehaish elaqah acha nahi.
  • Ghar bar acha nahi waghairah Aam hain.
  • Aur ab to larkion ko rad karne ki aik aur waja bhi daryaft ho gayi hai aur wo hai mulazmat yani larki mulazmat pasha hai.
Yun to har shakhsh roshan kheyali key dawa karta nazar aata hai. Lekin mojooda sakht muashi halat ka muqabla karney wali in larkion ko roshan kheyali key zamrey se kharij kar dia jata hai. Roshan kheyali to yeh hai keh kisi tafreeq key beghair tarrqqi ki kamyabi key hosool ko mowassar bananey ki talqeen-o-tayad ki jaye, warna majboori aur halat se nazarain chura kar in key barey mein raye kharab karli jaye. Yeh kheyal qat-an ghalat hai keh mulazmat karne wali larkiyan achi khaton khana nahi hotin, wo tamam larkian jo doctor, surgeon, lawyer, judge, pilot aur speaker tak key uhdey puhanch gayi hain, to wo yaqeenan apni qabliyat aur salahiyat key bal bootey par hi yeh moqaam hasil karti hain. Aur aisi larkian yaqeenan apni gharelu zummah daryon se bhi ghafil nahi ho taeen, aurat ko to Allah ne etna lachak dar banaya hai keh wo har qisim key halat-o-mahol key mutabiq khood ko dhalne ka behtareen hunar rakhti hai. Iss waqt 70 % larkian muashi masayal se moqablah karne aur aasmaan ko choti mahngayi se nabard azma honey key liye majbooran hi job kar rahi hain keh mojooda halat ka taqaza hai keh ghar mein jitney afraad khane wale hon ,utne hi kamane wale bhi, tab hi guzara mumkin hia. Aur iss haqeeqat ka aitraaf sab hi ko hoga, phir bhi na jane kiun mulazmat pasha larkian hadaf tanqeed hin.

Ghar aur bahir ki zummah daryan puri karne key chakar mein amuman mulazmat pasha khawateen-o-larkian khood “ghan chakar” ban jati hain. Aisi surat mein khood par kabhi khaas towajjah nahi de paten, sehat ki taraf se bhi la parwa ho jati hain magar in ka yeh jazba-e-esar kisi ko bhi nazar nahi aata, so aisey mein bajaye in ki izzet-o-taazeem key in ki kirdar kasha karna shak ki nazar se dekhna aur in key rishtey yeh keh kar rad kar dena yeh mulazmat karti hain, sarasar zulm hai. Zara sonchye agar logon ki yahi soch rahi, to kia mulazmat karne wali Larkian isi tarah parents ki dahleez par baithi khushiyon key intezaar mein apni aarzuyon aur umangon ka khoon karti boorhi ho jayain gi?

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts