A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Friday 15 August 2014

BHEEK MANGNA KAISA HAI

BHEEK MANGNA KAISA HAI   Bhikari


BHEEK MANGNA KAISA HAI


Hadees*

Hazrat Abdullah Bin UMAR
(radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai
Nabi-e-Paak
Sallallahu Alaihi Wasallam
ne
farmaya
k admi hamesha logo se bheek
mangta rehta hai yahan tak
ki Qayamat k din wo is halat
me ayega k uske munh
par gosht ki boti na hogi
yani
nihayat be’abroo hokar ayega
>BUKHARI SHARIF
jild-1 page-199
>MUSLIM SHARIF jild-1 page-333



Hadees*
Hazrat JUBAIR bin AWWAM
(radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai
Nabi-e-Paak
Sallallahu Alaihi Wasallam
ne
farmaya
tum mese jo shakhs apni
rassi le
aur ek lakdiyo ka ek gattha
peeth par laad kar laye aur
unko beche aur ALLAH bheek
mangne ki zillat se uske chehre
ko bachaye to ye behtar hai
us baat se k logo se bheek mange
aur wo usko de ya na de
>BUKHARI SHARIF jild-1 page-199



Hadees*
Hazrat IBNE UMAR
(radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai
Nabi-e-Paak
Sallallahu Alaihi Wasallam
Mimber par tashrif
farma the
sadqa aur bheek mangne
se
bachne ka zikr karte hue
farmaya
k upar wala hath niche wale
hath se behtar hai upar wala hath
kharch karne wala hai
aur
niche wala hath mangne wala
>MUSLIM SHARIF
jild-1 page-332



Hadees*
Hazrat SAMRAH Bin JUNDABE
(radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai
Nabi-e-Paak
Sallallahu Alaihi Wasallam
ne
farmaya
bheek mangna ek Qism ki kharash hai k admi bheek
mangn kar
apne munh ko nochta hai
to
jo chahe apne munh
par is kharash ko numaya kare
aur jo chahe us se apna
chehra
mahfuz rakhe han agar
admi
sahibe Saltanat se apna haq
mange ya aise amr se sawal
kare k usse charah karna ho to jaiz hai
>ABU DAUD jild-1 page-231



Hadees*
Hazrat Abu Hurairah
(radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai
Nabi-e-Paak
Sallallahu Alaihi Wasallam
ne
farmaya
jo shakhs maal badhane k lie
logon se bheek mangta hai
wo goya angarah mangta hai
to usko ikhtyar hai k bohat mange
ya kam mange
>MUSLIM SHARIF
jild-1 page-333



INTEBAH:
Aaj kal bohat se logon ne bheek mangna
apna paisha banalia hai
ghar me
hazaro rupye hai achhe khate pite hai
magar bheek mangna nahi
chhodte halanki aise logo ko
bheek mangna haraam hai
aur unko bheek dene wala
gunahgar hote hai
(para 6 ruku 5)

dhol,harmoniyam
Sarangi,aur dusri music ki chize
Bajane walo aur gaane walo ko
Bheek dena manaa hai
>Ash’atul lamat jild-2 page-30

Aaj kal aksar log andhe,lule,langde,apahij
Ko bheek nahi dete
Aur Gaane wali
Jawan Na’mehram Auraton
Se Gaane sunte aur unhe bheek dete hai,
Ye sakht najaiz aur haraam hai

Allah Har bure Amal se mahfuz Farmaye
Aur
Sahi jo iske mustahik hai
Unhe hi bheek dene ki toufiq
Ataa farmaye
Aameen

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
BHEEK MANGNA KAISA HAI   Bhikari


BHEEK MANGNA KAISA HAI


Hadees*

Hazrat Abdullah Bin UMAR
(radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai
Nabi-e-Paak
Sallallahu Alaihi Wasallam
ne
farmaya
k admi hamesha logo se bheek
mangta rehta hai yahan tak
ki Qayamat k din wo is halat
me ayega k uske munh
par gosht ki boti na hogi
yani
nihayat be’abroo hokar ayega
>BUKHARI SHARIF
jild-1 page-199
>MUSLIM SHARIF jild-1 page-333



Hadees*
Hazrat JUBAIR bin AWWAM
(radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai
Nabi-e-Paak
Sallallahu Alaihi Wasallam
ne
farmaya
tum mese jo shakhs apni
rassi le
aur ek lakdiyo ka ek gattha
peeth par laad kar laye aur
unko beche aur ALLAH bheek
mangne ki zillat se uske chehre
ko bachaye to ye behtar hai
us baat se k logo se bheek mange
aur wo usko de ya na de
>BUKHARI SHARIF jild-1 page-199



Hadees*
Hazrat IBNE UMAR
(radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai
Nabi-e-Paak
Sallallahu Alaihi Wasallam
Mimber par tashrif
farma the
sadqa aur bheek mangne
se
bachne ka zikr karte hue
farmaya
k upar wala hath niche wale
hath se behtar hai upar wala hath
kharch karne wala hai
aur
niche wala hath mangne wala
>MUSLIM SHARIF
jild-1 page-332



Hadees*
Hazrat SAMRAH Bin JUNDABE
(radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai
Nabi-e-Paak
Sallallahu Alaihi Wasallam
ne
farmaya
bheek mangna ek Qism ki kharash hai k admi bheek
mangn kar
apne munh ko nochta hai
to
jo chahe apne munh
par is kharash ko numaya kare
aur jo chahe us se apna
chehra
mahfuz rakhe han agar
admi
sahibe Saltanat se apna haq
mange ya aise amr se sawal
kare k usse charah karna ho to jaiz hai
>ABU DAUD jild-1 page-231



Hadees*
Hazrat Abu Hurairah
(radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai
Nabi-e-Paak
Sallallahu Alaihi Wasallam
ne
farmaya
jo shakhs maal badhane k lie
logon se bheek mangta hai
wo goya angarah mangta hai
to usko ikhtyar hai k bohat mange
ya kam mange
>MUSLIM SHARIF
jild-1 page-333



INTEBAH:
Aaj kal bohat se logon ne bheek mangna
apna paisha banalia hai
ghar me
hazaro rupye hai achhe khate pite hai
magar bheek mangna nahi
chhodte halanki aise logo ko
bheek mangna haraam hai
aur unko bheek dene wala
gunahgar hote hai
(para 6 ruku 5)

dhol,harmoniyam
Sarangi,aur dusri music ki chize
Bajane walo aur gaane walo ko
Bheek dena manaa hai
>Ash’atul lamat jild-2 page-30

Aaj kal aksar log andhe,lule,langde,apahij
Ko bheek nahi dete
Aur Gaane wali
Jawan Na’mehram Auraton
Se Gaane sunte aur unhe bheek dete hai,
Ye sakht najaiz aur haraam hai

Allah Har bure Amal se mahfuz Farmaye
Aur
Sahi jo iske mustahik hai
Unhe hi bheek dene ki toufiq
Ataa farmaye
Aameen

0 comments:

Followers

Popular Posts