A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Saturday 23 August 2014

Imaam Jaafar as-Saadiq rehmatullahi alaihi

Imaam Jaafar as-Saadiq rehmatullahi alaihi :
*************** **
Alqab : Saadiq (Truthful), Faazil (Virtuous), Taahir (Pure).

*************** **
Aap ki wiladat 17 Rabi ul Awwal 83 Hijri (20 April 702 A.D.) ko Madina me hui.

Aap ke waalid ka naam Imaam Muhammad al-Baaqir bin Imaam Zainul aabedin Ali al-awsat rehmatullahi alaihi aur waalida ka naam Umme Farwah Fatima bint Hazrat Qaasim bin Muhammad bin Abu Bakr Siddiq rehmatullahi alaihi hai.
Aap Husaini saadat hain.
*************** ***
Aap ne apne dada Imaam Zainul aabedin aur waalid Imaam Muhammad al- Baaqir ke paas Qur’an aur Hadees aur Tafseer ki taaleem haasil ki.
Aur Fiqh (Islamic jurisprudence), Falsafa (philosophy), Ilme kalaam (Theology), Ilme riyaazi (mathematics), Ilme hai’at wa falak (astronomy), Ilm-E-Tashreeh (anatomy), Ilme keemiya (alchemy) aur dusre uloom me maahir hue.

Aap Masjide Nabawi me logo ko ilme deen ki taaleem dete the.
Aap ne Tijarat (commerce), Wirasat (inheritance) aur Zakaat aur dusre bahut saare masa’il ke baare me hal bataye.

*************** ***
114 Hijri (733 A.D.) me aap ke waalid ke inteqal ke baad 31 baras ki umr me aap Imaam bane.
Aap Aaimma e ahle bait ke chhathe (6) Imaam hain.

*************** ***
Aap Siddiqiya silsila ke Shaikh hain.
Aap Hazrat Qaasim bin Muhammad bin Abu Bakr Siddiq rehmatullahi alaihi ke khalifa hain.
Aap ke khalifa Khwaja Baayazeed Bustami rehmatullahi alaihi hain.

*************** ***
Aap ke shagirdo me Imaam Abu Haneefa Numaan ibn Saabit, Imaam Maalik ibn Anas, Sufyan Sauri, Jaabir ibn Hayyaan, Qaazi Sukuni aur Qaazi Abul Bakhtari mashhoor hain.

*************** ***
Aap ki 2 biwiya aur 5 bete aur 3 betiya hain.

(1) Bibi Fatima bint Husain Asram bin Hasan Musanna se
2 bete – Ismaa’il aur Abdullah al-Aftah.

(2) Hameeda Khaatoon se
3 bete – Moosa al-Kaazeem, Muhammad al-Dibaj aur Ali al-Uraizi.
3 betiya – Fatima, Umme Farwah, Asma.

*************** ***
Aap ka ilm, husne akhlaq, sakhawat aur ibadat mashhoor hai.

Ek din kisi shaksh ki dinar ki thaili kho gai to usne Imaam Jaafar Saadiq radiallahu ta’ala anhu par shak karke iljaam lagate hue kaha ‘Meri thaili tumhi ne churai hai.’
Aap ne us se puchha ke ‘Us me kitni rakam thi?’
Us ne kaha ‘2000 Dinar!’
Aap ne ghar me jaakar usko 2000 dinar de diye.

Baad me jab us shakhs ko uski khoi hui thaili kisi dusri jagah se mil gai.
To us ne aakar pura qissa bayan karke muafi maangi aur Aap se apni rakam wapas lene ki darkhwast ki.
Magar aap ne farmaya ke ‘Hum kisi ko dekar wapas nahi lete.’

Phir jab us ko logo se aap ka naam mubarak maaloom huwa to us ne behad nadamat ka izhar kiya.
*************** ***
Ek baar aap ne apne khaadim ko kisi kaam se bheja. Us ko wapas aane me bahut zyada der ho gai to aap usko talash karne ke liye nikle. Thodi door jaane par aap ne dekha ke wo khaadim ek maqam par so raha hai aur use paseena ho raha hai. Aap use pankhe se hawa karne lage. Kuchh der baad jab wo jaaga aur Imaam ko pankha karte dekhkar sharminda hua. Aap ne us se kaha ‘Ghabhrao nahi. Magar ek baat yaad rakhna ki din ke waqt me kaam karna chahiye aur raat ke waqt me sona chahiye.’

*************** ***
Ek baar aap ne besh qeemati libaas pehna to ye dekhkar ek shakhs ne aap se kaha ‘Aye aale Rasool, Itna qeemati libaas Ahle bait ko zeba nahi. Aap ne uska haath pakadkar aastin ke andar me rakha to us ne dekha ki aap ne niche taat jaisa khurdara libaas pehna tha.
Aap ne farmaya ‘Ye khalq ke liye hai aur wo khaliq ke liye hai.’

*************** ***
Ek baar ek shakhs ne aap se puchha ‘Kya aap mujhe Rabb ka deedar kara sakte hain?’ Aap ne farmaya ‘Tum suraj ke saamne lagatar dekhte raho.’
Wo kehne laga ‘Ye kaise mumkin hai?’ Aap ne farmaya ‘Jab Rabb ta’ala ki makhlooq Suraj ko dekh nahi sakte to phir sab ke khaliq ka deedar kaise kar sakoge.’

*************** ***
Aap farmate hain
‘Agar namaz padhne se hum gunah aur bure kaamo se baaz aa jaayen to ye samjho ki hamari namaz qubool ho rahi hai.’

*************** ***
Umayya khalif Haashim ki hukoomat ke dauran zulm ke khilaf jab logo ne bagawat karne ka faisla kiya to aap ne unko samjhaya ki jang ke ilawa dusra raasta ho to pehle wo aajmana chahiye.
Logo ne khilafa banane ke liye kaha to aap ne farmaya ‘Mujhe hukoomat ki zaroorat nahi. Ye tamam mulk ALLAH ta’ala ka hai aur mere liye ye kaafi hai ki ALLAH ta’ala ne mujhe izzat aur logo ke dilo par hukoomat ata farmai.’

Umayya hukoomat ke khilaf awam ki jang me aap ke chacha Hazrate Zaid, Yahya ibne Zaid aur dusre kai rishtedar aur azeez shaheed hue aur ba’az ko giraftar karke saza di gai.
Is ke baad Haashim ne Imaam ko giraftar karke Damishk me rakha.
132 Hijri (750 A.D.) ne as-Saffah ne Marwan Himar ko harakar Abbasi hukoomat shuru ki.
as-Saffah Imaam ko giraftar karke nazar qaid karke rakha.

136 Hijri (754 A.D.) me al-Mansur baadshah bana to us ne Saadat se bugz ki wajah se aap ki mehfil aur takreer par nazar rakhna shuru kiya aur logo ko aap se milne se rokne laga.
Phir Imaam ko giraftar karke Samarra (Iraq) me nazar qaid karke rakha.
Phir kuchh arse baad aap ko Madina laaya gaya.
Aakhir me al-Mansur ke hukm se aap ko zeher diya gaya.

*************** ***
Aap ka wisal 15 Rajab 148 Hijri (14 December 765 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Jannatul baqee, Madina me hai.
*************** ***

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts