A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Friday 15 August 2014

Islam Mein Kapda Pahanne Ka Tarika

Islam Mein Kapda Pahanne Ka Tarika

Islam Mein Kapda Pahanne Ka Tarika

=============== ==========

Dosto, insan kapda pahanta hai aur kapda kesa
hona chahiye, kese pahanna chahiye, ye bhi
islam mein sikhaya gaya hai. Hum roz kapde
pahante hain, lekin agar hum in kapdo ko sunnat
tarike se pahan lege to hamara kapde pahanna
jesa chhota kaam bhi sawab ban jaayega.
Aajkal bahut se log kapde pahanne mein apne
man-pasand actor-actress ki copy karte hain,
chahe wo kapda kesa bhi ho ya kitna bhi
mehnga ho. Agar kisi man-pasand actor ne fate
hue kapde pahane to log aesa bhi karne lagte
hain, Aur jo aesa karta hai usko kuch log
bahutaccha aur modern samajhte hain, dar-asal
aese logo apni ki koi soch hi nahihoti, bhed-
chaal ki tarah chalne lagte hain, lekin islam insan
ko kapde pahannehi nahi balki puri zindagi jeene
ka tarika batata hai, magar kya humne kabhi ye
sikhne ki koshish ki hai ki is baare mein islam
kya kehta hai ya kapde pahanne kasunnat tarika
kya hai.
Humko kisi actor-actress ki copy karne mein
nahi balki hamare pyare hazrat Muhammad
(sallalhau alyhiwasallam) ko copy karne mein
fakr mehsus karna chahiye. Hum muh se to
bahut mohabbatka daawa karte hain lekin kaam
saare unke (sallallahu alyhiwasallam) ke khilaf
karte hain.
Aaiye dekhte hain ki kapde ke baare mein kya
sunant hai aur islam kya sikhata hai -
(1) Hazrat mohammad (sallallahu alaihi wasallam ) Ko safed [white) Rang Ka Kapda
Pasand Tha [Tirmizi]
Islam mein mard ke liye halke rang ko zyada
pasand kiya gaya hai, jese safed (white), kyonki
isme saadgi hoti hai. Laal(red), Orange is tarah
ke bhadkeele aur chamak wale kapdo ko pasand
nahi kiya gaya. Isi tarah jis tarah ke kapde aurat
pahanati hai wo mard na pahne aur jo mard
pahante hain wese kapde aurate na pahne. Isko
islam mein sakht mana kiya gaya hai. Aajak
ladke kaano mein baali, haath mein kade, gale
mein locket pahan kar ghoomte hain jo ki ek
gunah hai, aurat bhi aesi cheeze aur kapde na
pahane jo mard pahante hain.
(2) Kapde Pahanne se pahle unko jhatak lijiye,
kahi usmein koi jaanwar ya kachrana ho.
(3) Kapda pahanne mein Pahle Daya (right)
Haath Aastin Me Daale Fir Baaya Haath isi Tarha
Paijama Aur Shalwar Ke Liye Pahle Dahina
(right) Paao Fir Baya Paao>>[Tirmizi]
aur kapde utaarne mein iska thik ulta karenge, ki
kurta utaarne mein sabse pahle ulta haath
nikalenge phir sidha aurpajama mein bhi aesa hi
karenge.
(4) Kapda Pahnte Aur Utarte Wakt Bismillah
Padhe aur Kapda Pahnne aur utaarne ki dua
padhe. Kapde utaarne se pahle bismillah aur dua
padh len, barhana haalat mein dua na padhe.
(5) Kapde Hamesha beth kar badaliye. Khade ho
kar na badaliye.
(6) Aurat ho ya mard kapde tight na pahne,
kyonki tight kapdo mein badan ka shape aur
utaar chadao (curve) dikhta hai, isliye thode
dhile kapde pahaniye jisse badan ka shape na
dikhe.
Isi tarah ye bhi dhyan rakhiye ki kapda itna patla
na ho ki badan dikhe, aurato ko iska khaas khyal
rakhna chahiye, kyonki aajkal kapde bhi bahut
patle aa rahe hain, agar kapde patle ho to andar
astar lagaiye.
(7) Kapde aese ho jo kam se kam satar ko dhak
hi de. Aadmi ka satar pet ki naafse lekar ghutne
tak hota hai lekin aajkal dekhne mein aya ki log
shorts (chhoti nekar), burmunda mein hi
ghoomte hain,jo ki islam ke khilaaf hai.
Aurat ka pura badan hi uska satar hai, lekin
aajkal dekhne mein aata hai ki aurat bade-bade
gale, badi peeth, half aastin, short aur tight
kapde, legin pahanleti hain, jisse unka pura
badan ka shape dikhta hai, aese kapde pahanna
gunah ka kaam hai, isliye aese kapde na
pahaniye, balki aese kapde pahaniye jisse badan
chhupta ho, kyonki kapde pahanne ka maksad
badan ko dhaakna aur chhupana hi hai, dikhana
nahi. Aur upar se sar ke pure baal bhi dikhte
rahte hain, aurat ke sar ke baal bhi uske satar
mein shaamil hain, isliye burqa ya scarf
pahaniye taaki baal kisi paraye mard ko na
dikhe.
Hazrat mohammad (sallallahu alaihi wasallam ) ne
farmaya jiska matlab ye hai ki aurat khushbu na
lagaye (kyonki iski wajah se wo jaha se niklegi
paraye mard ka dhyan khichegi), aur apne per
bhi patak-patak kar na chale jisse uski payal ki
awaz hoti hao (ye bhi paraye mard ka dhyan
khichegi)

Plz share

DeeniRaah.blogspot.com 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts