A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Thursday 28 August 2014

SAWARI KI DUA

SAWARI KI DUA ka Bayaan

Sawari ki dua :

(Surah Az-Zukhruf Aayat 13-14)

Subhanallazee sakhkhar-lana haaza wa ma kunna lahoo muqrineen.
Wa inna ilaa rabbina la-munqaliboon.
Tarjuma :
Paak hai wo zaat jisne is ko hamare taabe kar diya halanke ham ise qaboo me nahi la sakte the.
Aur beshak hame apne rab ki tarafzaroor laut kar jana hai.
Maujooda daur me jab ham kisi bhi suwari par safar karte hain to har waqt hadse (accident) ka khatra rehta hai.
Is liye Sawari (Safar) ki dua yaad kar le aur jab bhi kisi bhi sawari par (Cycle, Scooter, Bike, Car, Bus, Train, Aeroplane ya phir Ghoda, Oont ya aur koi jaanwar par) kahi bhi safar karna ho (aap khud driving kar rahe ho ya sawari par bethe ho) to ye dua zaroor padh le.
Sawari me bethte waqt pehle ‘Bismillah’ aur bethne ke baad ‘Alhamdulillah’ padhe aur phir jab safar shuru ho tab ye Dua padhe.
Agar shuru me dua padhna bhool jaae to jab yaad aae tab ye dua zaroor padh le.
Is dua ko padhne se insha allah pure safar ke dauran ALLAH ta’ala ki hifazat me rahenge.
Agar koi ek shakhs bhi yakeen ke saath safar me ye dua padh le to Allah ta’ala us sawari me safar karne wale sab ki hifazat karega.
Agar dua yaad na ho to apne mobile me ye Photo rakhe ya ye Dua likhkar apne paas rake aur safar shuru hote hi padh le.
Aap jab sawari (vehicle) chala rahe ho tab mobile par baat na kare.
Agar baat karni ho to sawari ko rok de.
Aapki zindagi aur sehat aapke gharwale, rishtedaro aur dosto ke liye zaroori hai.
Apni la-parwahi ki wajah se doosro ko taklif me na dale.
Aap sab khud bhi ye sab yaad rakhe aur apne dosto aur rishtedaro ko bhi ye sab baate batakar is par amal karne ke liye kahe.
Neki ki baat sikhane wala bhi nekikarne wale jaisa hai.
Neki karne wale ko bhi utna hi sawab milta hai aur sikhane wale ko bhi iska sawab milta hai.
Allah ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me sab ko in baato ko yaad karke us par amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ki hifazat farmae.
Aameen.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts