A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Saturday, 20 December 2014

MO’MIN AUR MUSLIM ME KYA FARQ HAI?

MO’MIN AUR MUSLIM ME KYA FARQ HAI?

************
2 Surah al-Baqarah, Aayat -8 :
Aur insano me se bahut se wo hain jo kehte hain ham ALLAH par aur yaume qayamat par Eimaan laaye, Halanke wo Mo’min nahi hain.
Is aayat se ye pata chalta hai ke jo kehte hain ke ham ALLAH par, Yaume qayamat par eimaan rakhte hain un me se sab log Mo’min nahi hote. Haan, ye alag baat hai ke wo ba-zaahir musalman dikhte hain.
To Mo’min kaun hai ye bhi jaanna zaroori hai.

************
 
Hadeese Nabawi :
Hubbur Rasooli sallallaahu alaihi wasallama minal Eimaan.
(Sahih Bukhari, Jild -2, Safa -111, Hadees -8)

Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam ki mohabbat Eimaan ki bunyad hai.
Hadeese Nabawi :
Tum me se koi us waqt tak mukammal eimaan wala nahi ho sakta jab tak ke main uske nazdeek uske maa-baap aur aulad aur tamam logo se zyada mehboob na ban jaaun.
(Bukhari shareef)
In ahadees se pata chalta hai ke Huzoore akram Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam se sachi aur pakki mohabbat karne wala Mo’min hai.
Ya’ni Mo’min hone ke liye Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam ki mohabbat tamam rishtedaro aur tamam chizo se zyada (badhkar) honi chahiye.

Ab ye janna chahiye ke Huzoor akram Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam ki mohabbat ki daleel kya hai aur sacha Aashiqe rasool kaun hai?
************

Ishqe rasool ke 3 hisse (components) hain :

(1) Eimaan bir Rasool
(2) Ta’azeeme Rasool
(3) Itteba e Rasool.

48 Surah Fath, Aayat 9 :
Take tum ALLAH aur uske Rasool par Eimaan laao aur unke deen ki madad karo aur unki ta’azeem aur tawqeer karo aur subh aur shaam ALLAH ki tasbeeh karo.
************
(1) EIMAAN BIR RASOOL (Faith on Holy Prophet sallallaahu alaihi wasallam) :
Huzoore akram Rasoolallah Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam ko Khaatimul Ambiya, Nabi e aakhiruz zamaan aur Rasoole kaainat tasleem karna.
Aur Huzoore akram Rasoolallah Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam ki batai hui har baat ko tasdeeq karna (sahi manna), uska zaban se (ya likhkar) ikraar karna aur apne amal se uska izhaar karna.
7 Surah al-Aaraf, Aayat 158 :
Aap farma den, Aye logo main tum sab ki taraf us ALLAH ka Rasool bankar aaya hu jis ke liye tamam aasmano aur zameeno ki baadshahat hai, uske siwa koi ma’abood nahi, wo jilata aur maarta hai, so tum ALLAH aur uske Rasool par eimaan laao, jo nabiyyil ummi hai (jise sidha ALLAH ne sikhaya hai), Jo ALLAH par uske kalaamat par eimaa rakhta hai aur tum unhi ki pairwi karo take tum hidayat paa sako.
Surah al-Baqarah, Aayat 177 :
Jo ALLAH par, Qayamat ke din (aur aakhirat) par, Farishton par, (Allah ki) Kitaab par aur Nabiyon par Eimaan laaye.
(2) TA’AZEEME RASOOL (To Respect & Honor of Holy Prophet sallallaahu alaihi wasallam) :
Ta’azeeme Rasool me bahut saari baaten saamil hain.
[1] Ta’azeeme wa tauqeer:
Sahi Aqeeda ke saath Huzoore akram Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam se ta’alluq rakhne wali har chiz ki ta’azeem aur adabo-ehtaram aur takreem karna.
 
 Ya’ni Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ki zaate muqaddas, sirate mubaraka, Aap ke asma e muqaddas (Sifaati naam), Qur’an majeed, Hadeeso sunnat, Aap ka Roza Mubarak (Madina) aur Wiladatgaah (Makka) aur tamam muqaddas mubarak maqamaat,
Aap ke Ahle bait aur saadate kiraam, Ashaba, Khulfa e rashideen, Aaimma e islam, Auliya Allah aur Buzurgane deen, Peere tareeqat sab ki ta’azeem aur adabo-ehtaram karna.

[2] Madah (To praise) :
Huzoore akram Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam ko Afzalul Bashar, Khaire Khalqillah, Asharaful Ambiya aur Sayyedul Ambiya aur Sarware Kaunain, Saahibe laulak, Saahibe Me’araj aur Mustafa, Mujtaba, Mukhtar aur Shafi’manna.
Aur Apne kalaam (taqreer) se ya kitaab (tehreer) me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ka Zikr karna, aap ki khoobiyo aur moazeezat ko bayan karna, aap ki ta’areef karna.
Aap par Duroodo salaam padhte rehna.

[3] Ita’ate Rasool (To obey) :
Huzoore akram Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam ko Aāmir (Hukm karne wala / Commander), Naahi (Mana karne wala / Preventer), Muhallil (Halaal karne wala / Who makes permissible) aur Muharrim (Haraam karne wala / Who makes forbidden) tasleem karna.
Aur aap ka har hukm aur farman par amal karna.
Aap ne jis chiz ka hukm diya ho use karna aur jis se mana kiya ho ya roka ho us se door rehna.
Jis chiz ko halaal kaha ho use Halaal aur jise haraam kaha ho use Haraam manna aur Tamam faraiz aur waajibat ko ada karna.

33 Surah al-Ahzab, Aayat 71 :
ALLAH tumhare a’amal ko durust kar dega aur tumhare gunah bakhsh dega Aur jo ALLAH aur uske Rasool ki farman bardari karega to wo bila shuba apni murad ko pahunch jaayega.
[4] Ziyarat (To visit) :
Adab wa mohabbat ke saath aap sallallahu alaihi wasallam ke Roza mubarak ki ziyarat karna.

Hadeese Nabawi :
Jis ne Hajj kiya aur meri qabr ki ziyarat ki wo shakhs aisa hai jis ne meri zaahiri zindagi me ziyarat ki.
(3) ITTEBA E RASOOL (To follow the path of Holy prophet sallallahu alaihi wasallam) :
Huzoore akram Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam ko Aalim, Hakeem, Mahdi aur Haadee wa Rasheed maankar aap ki Pairwi karna ya’ni aap ki Sunnato Hadees ko aur Ahkame shariyat ko sahi maankar us par hamesha amal karne ki puri koshish karna.
33 Surah al-Ahzab, Aayat 21 :
Beshak ALLAH ke Rasool ki sirat tumhare liye behtareen namoona e amal hai.
Hadeese Nabawi :
Jis ne meri Sunnat se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki
Aur jis ne mujh se mohabbat ki woh Jannat me mere saath hoga.

(Tirmizi, Hadees -2678,
Ibne Asakir, Jild -9, Safa -343)

*********
‘Muslim’ wo hai jo insan kalma padhkar Islam apnaye aur ALLAH ta’ala ki ibadat kare.
‘Mo’min’ wo hai jo musalman eimaan laakar nek sahi aqeede ke saath ALLAH ta’ala ki raza ke liye Ishqe rasool ke saath ta’azeeme rasool aur Itteba e Rasool karte hue nek amal kare aur gunah se bachne ki koshish kare.
‘Mohsin’ wo hai jo mo’min har amal ko sahi niyyat ke saath sahi aur achhe tareeqe se kare.
*********
Sirf Kalma padhne se aur Ibadat karne se insan’Muslim’hone ka dikhawa kar sakta hai.
Magar wo sacha’Mo’min’ho ye zaroori nahi.

*********
‘Kaafir’ wo hai jo Islam aur Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam par Eimaan laane se inkar kare.

‘Mushrik’ wo hai jo ALLAH subhan wa ta’ala ki zaat ya sifaat me kisi aur ko sharik kare.
‘Shirk’ Kufr ki sab se badtar qism hai.

‘Munafiq’ ka ma’ana hai nifaq rakhne wala ya’ni Zaban se musalman hone ka dawa kare aur dil me Islam aur Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ke khilaf aqeeda rakhe.
Aaj ke daur me ‘Badmazhab’ munafiq hain.
Jis ne bhi Nabuwwat ka jhuta dawa kiya hai wo sab Kaafir hain.
Aur jo apne kalaam me ya kitaab me Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ki be-adabi karte hain wo tamam bad-aqeeda bad-mazhab ‘Munafiq’ hain.

‘Faasiq’ ka ma’ana hai Khule aam (jaan buzkar) gunahe kabirah karne wala.
‘Faajir’ ka ma’ana poshida rehkar gunahe kabirah karne wala.
Faasiq wa Faajir amali munafiq hain.
Ya’ni zaban se Musalman hone ka dawa karne wala magar shariate islam ke khilaf amal karne wala.

Hadeese Nabawi :
Meri ummat ke tamam logo ke gunah ALLAH bakhsh dega siwa e un logo ke jo gunah karke logo ko fakhr se bataye ke maine ye gunah kiya hai.
(Sahih Bukhari, Hadees -6069)
*********
Agar dil me ishqe rasool aur sahi aqeeda nahi to sirf a’amal dikhawa honge.
Aur agar sahi aqeede ke saath nek a’amal nahi to sirf zaban se kehna bekaar hai.
 
 Jis ka aqeeda sahi na ho wo jab tak ta’azeeme Rasool sallallahu alaihi wasallam sikh na le tab tak chahe kitne bhi amal kar le sirf a’amal ki bunyad par kaamyab nahi ho sakta.
49 Surah al- Hujurat, Aayat 2 :
Aye Eimaan walo, Apni aawazo ko buland (unchi) na karo us gaib batane wale nabi ki aawaz se aur unke huzur buland aawaz se chillaakar baat na karo jaise aapas me ek dusre ke saath buland aawaz se chillakar karte ho, (aisa na ho) ke tumhare saare aamal gaarat ho jaayen aur tumhe khabar bhi na ho.
Aur jis ka aqeeda sahi hai aur a’amal sahi nahi wo gunahgar hai lekin ta’azeeme rasool ki bunyad par mo’min hai aur agar uske a’amal sahi aur nek ho jaaye to wo in sha Allah dunya aur aakhirat me kaamyab hoga.
Hadeese Nabawi :
Huzoor sallallaahu alaihi wasallam se ek sahabi ne puchha ke ‘Ya Rasoolallah sallallaahu alaihi wasallam, Eimaan kya hai?’
To aap ne farmaya ke ‘Jab tumhe neki karke khushi ho aur Gunah karke afsos ho to tum Eimaan wale ho.’

(Mishkaat, Kitaabul Eimaan, Safa-16)
9 Surah at-Tauba, Aayat 112 :
Wo Tauba karne wale, Ibadat karne wale , (ALLAH ki) Ta’arif karne wale, Rooku’ karne wale, Sajdah karne wale, Achhi baato ka hukm karne wale aur buri baato se rokne wale aur ALLAH ke hudood ki hifazat karne wale hain aur aise Mo’mino ko (jannat ki) khushkhabari suna do.
*********
ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Ta’azeeme Rasool aur Itteba e Rasool karke sacha mo’min banne ki taufiq ata farmae.
Aameen.

.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts