A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Friday 19 August 2016

Mangni Ke Baad Shadi Mein Rukawat

Mangni Ke Baad Shadi Mein Rukawat

Assalam o alaikum nazreen jaisa k aap jantey hain aajkal 1 masla bohat ho gya hai k engagement k baad masail aa jatey tou aap k agar mangni k baad Shadi mein Rukawat hai tou uss ka behtareen azmooda Rohani ilaaj hum laye hain.

aksar hum log yeh dekhte hain aur suntey bhi hain k mangni ho jaati hai but uss ke baad achanak toot jaati hai. ya uss mein masail family disturbance, Rishtedaron ki larai ya deegar kai wajoohat ki binaa par shadi mein rukawat aa jati hai or kai masle aa rahe hotey hain.

aksar aisa bhi hota hai k yeh jo Rukawatein hon yeh Qudrati hon or aksar yeh kisi Hasid insaan ne Hasad mein mubtila ho kar bhi peida ki hoti hain.

Or Aksar aisa bhi ho jata ke Hamari shadi kisi or se Rab ta'alla ne Likhi hoti aur Engagement galat bandey se ho jaati hai. behar haal aisa bohat hi kamm hota hai. 

yeh jo amal aaj hum aapko btaein gey na yeh amal mujarrab hai aur Shadi ki Bandish or Rishtey ki Bandish wagera ke liye tou yeh bohat hi mufeed hai.

Acha Woh Larka ya Larki jis ki Shadi mein Rukawatein aa rahi hain ussey yeh karna hai k 11 Din tak Rozana Namaz e Asar ke baad 33 martaba Darood e Taaj shareef parh kar 1 glass pani par dam karna hai. Aur woh paani pee lena hai.

Iss ke baad apni mushkilaat or masail k hal hone ke liye ALLAH pak se Dua bhi karein.

ALLAH ke Hukam se aap ke tamam masley or woh Rukawatein door ho jayein gi. or Shadi Assaani se takmeel paye gi.

Hamara kaam aap ko Wazifa btana hota hai uss ko karna aap kaa kaam hota hai. or haan jese hum aap ke sath yeh share kartey issi tarha aap ka bhi yeh farz banta hai ke aap bhi iss post ka dusron ko btaein.

ho sakta aap ki waja se kisi ki bohat barri mushkil asaan ho jaye issi liye tou kaha jaata ke Achi baat ka Phelana Sadqa e jariya hai.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts