A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Showing posts with label Benefits of Surah. Show all posts
Showing posts with label Benefits of Surah. Show all posts

Friday, 12 February 2016

Surah Al Maeda Ki Fazilat

Surah Al Maeda Ki Fazilat


Aslam o alaikum yahan Surah Al Maeda Ki Fazilat ka tazkara kiya janey laga hai. Qehat ke dino mein iss Surat ko rozana parhna bohat hi zyada mufeed hai.
* iss Surat Al Maeda ka taweez likh kar apne paas rakhna Rizq ke liye faida mand aur dho kar marz istaska ke wastey naafa hai.
* jis ke kisi hissa mein koi takleef ya ranj o alam ho nihayat mufeed aur tajarba shuda bazurgaan e deen hai.


Surah Al Maeda Ki Fazilat


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Surah Al Nisa Ki Fazeelat

Surah Al Nisa Ki Fazeelat


aaj hum aap sub ko Surah Al Nisa Ki Fazeelat ke barey mein btaaein gey aur iss ke wazaif ka zikar bhi karein gey. Agar Aurat, khawand ( miya'n, biwi ) ke darmayan narazgi ho jae tou dono mein se jo raazi karna chahey woh Rozana 7 baar 1 hafta tak iss Surah ko parhey. in'sha'ALLAH naraz raazhi ho jaye ga.

* Agar iss Surat ka Naksh likh kar makaan ki diwaar par latkaya jaye woh har museebat se mehfooz rahey ga.


Surah Al Nisa Ki Fazeelat

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Surah Al imran Ki Fazeelat aur Wazaif

Surah Al imran Ki Fazeelat aur Wazaif


Asslam o alaikum Surah Al imran Ki Fazeelat aur Wazaif ka hum yahan ziker karne lagey hain. aap sub ki madad k liye hum ne iss ke fawaid neechey aapki apni urdu zubaan mein bhi diye hain aap wahan se bhi parh saktey hain.

* Jo Shaks Qarzdaar ho aur uss qarz ko adaa karne ki Quwwat na rakhta ho ya Qarz khwa tang kartey hoon tou uss muqaddas Surat ko 13 dafa parhey ALLAH ke fazal o karam se uss Shaks ko Qarz se nijaat miley gi Aur Rizq mein izaafey ke liye iss ka taweez likh kar paas rakhna nihayat mufeed hai.

* Surah Al imraan mein se nichey di gai Ayat jummah ke din tak Sabz kagaz par mushko zafraan se likh kar Nehar ke paani se dho kar nehaar munh aftaab nikalne se pehle 7 jummah peena aur gosht, payaaz aur badbu daar cheez parheiz rakhna hai phir dekhna har muraad puri ho gi hafza aur zehan teiz ho ga.



Surah Al imran Ki Fazeelat aur Wazaif


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Monday, 28 December 2015

Surah Al Baqarah Ki Fazilat Aur Wazaif

Surah Al Baqarah Ki Fazilat Aur Wazaif



Asslam o alaikum Muslims hum aaj Surah Al Baqarah Ki Fazilat Aur Wazaif ko bayan kar rahe hain. agar kisi ko Dushman ka khoaf ho tou iss Surat ko Raat ke 12 baje awal se aakhir tak parhey aur dil mein apne dushman ka tasawwur rakhey ALLAH uss ki barkat se uss ke dushman ki burai dafa kar dey ga aur uss ka heela isss par na chal sakey ga.
* Jis ghar mein yeh Surat Parhi jaye iss mein shaitan ka dakhl ni hota.
* jis mosam mein bacho'n ko cheechak nikalti hai uss mein jis larkey k ruba'ru nihar munh Surah Al Baqarah nihayat khush awaz aur sahih parh kar damm kiya jaye uss ko ALLAH ke fazal se chichak nahi nikalti agar nikley tou khatar'naak nahi hoti magar shart yeh hai k Parhne wala aur larka dono nihaar munh hoon aur dhai pao chawal paka kar dahi aur Cheeni un par daal kar kisi mohtaaj ko sadqa dey iss ka naqsh marz jin, mirgi, aur asaib ke liye mujarib hai.

Surah Al Baqarah Ki Fazilat Aur Wazaif


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Surah Al Fatiha Ki Fazilat aur wazaif

Surah Al Fatiha Ki Fazilat



Asslam o alaikum aaj hum Surah Al Fatiha Ki Fazilat aur wazaif ka hum yahan Urdu zubaan mein tazqara karne ja rahe hain. aap bhi iss Surah ki fazilat aur iss ke wazaif ke barey janiye iss ke fawaid ko parhiye aur dosto'n ke sath share karna na bhooliye. 
Q k har achi baat ko phailana sadqa e jariya hai.

Surah Al Fatiha Ki Fazilat aur wazaif
Surah Al Fatiha Ki Fazilat aur wazaif


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Followers

Popular Posts