A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Showing posts with label islamic Wazeefa. Show all posts
Showing posts with label islamic Wazeefa. Show all posts

Sunday, 11 September 2016

Kala Jadu Kya Hai Kaley Jadu Ki Pehchan


Assalam o alaikum pyaare sathiyo hum mein se aksar ke zehan
Kala Jadu Kya Hai, Kala Jadu,
mein kabhi na kabhi yeh sawal aatey hain ke Kala Jadu Kya Hai Kaley Jadu Ki Pehchan kya hai ya iss jese or bohat se sawal roz hamein bohat kuch Sochne par majboor kar dete hain . Kaley jadu ki Pehchan kese ho. iss ki alaamat or iss se hone wale Nuqsanaat kya kya hain.

iss Post mein hum ne koshish ki hai ke aap ke Sab Sawalaat k tafseelan jawab diye jaayein. specially iss barey k Kala jadu ki Pehchan Kya hai ? or Kaley jadu ki alaamat kya hain ? 

Kala Jadu Kya Hai ?

yahan hum aapko 1 baat btaa dein k Kala jaadu hamesha burai / burey kaam ya maqsad k tehat kiya jaata hai. iss ko Shetaani taqato'n ki madad se kiya jaata hai. or iss ko sirf or sirf dusrey ko nuqsan pohanchaney k liye kiya jaata hai.

ab aaj hum yahan Kala Jadu ki alamaat btaein gey jin se aap ko ptaa chal jaye ga k kyaa aap iss se mutasir hain ya nahi.

Kaley Jadu Ki Pehchan / Alamaat Kon Kon si hain ?

1) 
ager kisi ne khawab main pakhana dekha ho ya pishab dekha ho ya apne app ko ghusal khana main dekha hoo ya pakhana us ka jisam main laga dekha garaz yeh k najis ko dekha ho khawab main.
2) 
sir main darad rehna ( yeh Dard aadhey yaa poorey sir ka bhi ho sakta hai.
3)
porey jisam (Body) main dard rehna . Yeh Dard Halka ya phir bohat Shadeed bhi ho sakta hai.
4) 
sex ki khawahish barrhna yani sex ki talab main zayatee hona . yaa Gunah ki talab ka shadeed barh jana
5) 
kamar aur gurdo'n (Kidney) main dard rehna .

6) 
galeez galeez paad ana . yaani bohat Bad'bu daar aur zehrili Hawa ka jism se Kharij hona
7) 
jisam main aag mehsoos hona. yaani jism ka jalna ya uss mein tapish peda hona
8) 
poora jism garam rehna aur naak aur mu se garam hawa nikalna .
9) 
Ankhein jalna aur lal rehna. ( Aankho'n mein be waja jalan rehna )

10)
pishab aur pkhana bar bar ana . ( baar baar Toilet jana )
11) 
dil taiz taiz Darakna. mean Dil ki Darkan ka bagair kisi waja k taiz ho jaanaa
12 ) 
sans mushkil se aana aur seena main dard rehna .

13) 
chir chira ho jana . yaani mizaaj mein rukha pan. ghussa wagaira ka aa jana

14) 
face jo hai kala ho jana jitna saket jado ho ga otna he face kala ho ga .
15) pet main darad rehna aur dast jesa pkhana karna yani bad hazme walay .
16) 
face per danay nikalna. chehre Ki Khoobsurati mein kami aana yaani bagair kisi waja k chehrey pe kasrat se daano ka nikalna
17) 
face beronak ho jana ( chehra murjha jana, gori rangaat kaa maand parh jaana ) .

18) 
dil main ghabrahat hona mean Dil ghabrana aur be-chaini si mehsoos karna.
19 ) 
Be-sakooni mehsoos karna bagair kisi waja ke ( bager kisi bemaari ya dawai k asar k ghabrahat hona.
20 ) 
Sab kuch honey k ba-wajood na khush hona. yaa na umeed hona yaani ALLAH ka Shukar adaa na karna.

21) 
Pait ka khaya piya gaeyab ho jaana yaani jo khaya tha woh aada yah 1 ghanta mein gaeyab phir bhook lagney lag jaati hai yaani khana bar bar khana mean waqfe waqfey se din mein kai baar khana khana
22) 
Namaz se door ho jaana aur ALLAH se nafrat karna aur bura bhala kehna Dil main yeh was wasa hota hai. aksar aisa Namaz yaa kisi bhi ibadat mein bhi ho jaataa hai.
23)
Gala kharab rehna aur voice quality bhi yaani bagair kisi wajah k awaaz ka kharab ho jaana or galey ka beth jaana.
24) 
Khawab mein darrna or ajeeb ajeeb dara'una khawab dekhna kabhi makrri, kabhi Saanp, kabhi chipkali aur laal baigh. yaani ajeeb tarha k burey Khawab ( Dreams ) aana.

25)
Dil mein ajeeb se khoaf hona aur darr bhi. ( without any reason Darr or Khoaf ka Dil mein ghar kar lena )
26) 
jisam mein suiyaa'n chubna. yaa pins / needles ka jism mein Chubna mehsoos hona.
27)
meida mein Dard rehna aur matli ki shikayat rehna.

28) 
Kaahili aur Susti ho jana yaani nikamma ho jana or khoob sona dair dair tak. ( jisam mein Susti ka har waqt rehna or koi kaam karne ka Dil na chahna )
29) 
Dimaag ka theek kaam nahi karna ( zehan ka kamzor ho jana ) kisi cheez ka jaga per rakha kar bhool jana aur phir baad main doondte rehna. yadasht ka kamzoor ho jana, paisa ke len dein main paisa zyada de dena
30) 
apne ap se Nafrat karna ( Khud ko har waqt kostey rehna, khud ko maarney ka Dil chahna ).

31)  
Aankho'n ke samney Blue ya pink color ke  dabbey Nazar aana ya phir lines nazar ana ajeeb se.
32) 
Bila-waja ki zyada thakan hona mean kisi kam k kiye bina hi Thak jaana.
33) 
Quran parrney se ya sun'ney se jisam mein dard ya takleef hona mean wese tou theek rehna par jab Tilawat e Quran karne lago ya suno tou jism ka dukhna, jism mein Dard hona.

 34) 
seena main jalan or taizabiyat hona yeh kisi Beemari ki waja se bhi ho sakti hai kiun k Jadoo ki Waja se Yeh bohat kam hoti.
35) 
baar baar ehtalaam hona mard ko yaani roz Kapro'n ka Na-pak ho jaana.
36) 
jism ki ragein khichna ya jism ka pharakna ya tarrapna.
37) 
Haath pair sunn ho jaana mean Haath paao'n ka So jaana.

38) 
Sir mein daaney Nikalna. garmiyo'n mein yeh Garmi ki waja se bhi nikal saktey but aisa bohat kamm hota.
39) 
Peshab mein bohat taiz bad-boo aana yaani k Peshab mein se bohat buri smell aana.
40) 
Paa-khana bohat ziada bad-buu daar ana
41) jism main sardi lagna ( jab k Sardi ka mosam na bhi ho phir bhi Sardi lagna )

42)
pairo'n main dard rehna woh bhi bila waja.
43) khawab main kutta dekhna aur murdey dekhna or bichho. yaa dusrey muzi janwar.
44) 
Din ba din sookhtey jaana, wazn mein kami aana aur Rang ka maand parr jana.

45) 
Medicine asar na karna yaa phir kabhi kabhi start main medicine asar kartey hain aur uss ke baad wohi medicine nuksan pohanchatey hain yaa phir shuru mein faida hota hai uss ke baad nahi hota. mean baad mein Medicine asar hi nahi karti.
46) 
Zinah dekhna khawab mein khawab mein larki or larka ko s3x kartey huwey dekhna yaa nanga dekhna
47)
jism bhaari hona ya sir bhaara ya kandha bhari hona. Her jadoo ki takleef ki pehchan alag hoti hai jaisa jaadu kiya hota hai uss ki waisi hi pehchan hoti hai lekin yeah alaamat bhi hoti hain jo meine uper likhi hain .

ab yeh jaadu'gar ke ooper hai ke woh bandey ko kon si takleef dena chahta hai. 

For Example: maan lein ke aap ko woh Sakhat Beemar karna chahey ya yeh chahey k aap ka Shadeed Accident ho jaye ya aap ko kisi kism ka maali Nuqsaan ( financial crisis ) hoon ya aap ki tang ya Bazu toot jaye yeh Sub uss ki Soch per munhasir hai 

Q k yeh woh jesa chahey ga karey ga. 

Kaley Jadu Ka Torr  

* 40 Din aap apne Ghar mein roz Subha Surah Al-baqarah ki tilawat download kar k rakh lein and woh roz aap subha ghar mein chalaya karein.

inshaALLAH iss amal ki barkat se aap jadu etc se mehfooz raho gey.

Umeed hai hum ne iss mazmoon mein aap ki bohat rehnumai ki hai or aap ko iss ke baad bhi kisi qisam ka koi sawal zehan mein ho tou aap hum se rabta kar k hum se pooch saktey hain.

yeh post aap doosron ko zaroor bhej dena.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Saturday, 20 August 2016

Har Maqsad mein Kamyabi Ka Wazifa

Har Maqsad mein Kamyabi Ka Wazifa


Assalam o alaikum dosto jesa k aap jantey hain iss duniya mein mojood har insan ki koi na koi khawahish zaroor hoti hai issil iye aaj hum aap ko Har Maqsad mein Kamyabi Ka Wazifa bataein gey.

Dunya mein har shaks ka koi na koi maqsad zaroor hai. koi Dolat kamana chahta hai tou koi achi Sehat chahta hai. koi Pasand ki Shadi karna chahta tou kisi ko Be'shumar khushiyan chahiye hain.

hum sub ki khawahishen bohat si hain aur un ke pura karna k liye hum ALLAH pak se bohat si duaein and struggle bhi kartey hain.

1000 martaba " Surah Al-ikhlas " Namaz e isha k baad 3 se 7 din tak Parhein. inshaALLAH aapki mushkilaat chahey koi bhi ho kitni bhi barri ho hall ho jaye gi.

1 or amal bazurgo'n aur Ulma se manqool hai jo intehai mujjarab yaani Azmooda bhi hai woh yeh ke kul 12000 baar " Bismillah Ar-rahman ir-raheem " rozana parhein.

magar har 1000 dafa " Bismillah " poora honey par 2 Nawafil parhein aur Dua mangein. uss ke baad baqi amal karein. aur kul 12000 dafa 1 hi nishasat mein parha jaye. yeh amal 3 din tak kar saktey hain.

aap ki sub Pareshaniya'an, Gham, aur har tarha ka maqsad poora ho jaye ga..

iss Video ko doosro'n ke sath Share zaroor karein. 



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Friday, 19 August 2016

Mangni Ke Baad Shadi Mein Rukawat

Mangni Ke Baad Shadi Mein Rukawat



Assalam o alaikum nazreen jaisa k aap jantey hain aajkal 1 masla bohat ho gya hai k engagement k baad masail aa jatey tou aap k agar mangni k baad Shadi mein Rukawat hai tou uss ka behtareen azmooda Rohani ilaaj hum laye hain.

aksar hum log yeh dekhte hain aur suntey bhi hain k mangni ho jaati hai but uss ke baad achanak toot jaati hai. ya uss mein masail family disturbance, Rishtedaron ki larai ya deegar kai wajoohat ki binaa par shadi mein rukawat aa jati hai or kai masle aa rahe hotey hain.

aksar aisa bhi hota hai k yeh jo Rukawatein hon yeh Qudrati hon or aksar yeh kisi Hasid insaan ne Hasad mein mubtila ho kar bhi peida ki hoti hain.

Or Aksar aisa bhi ho jata ke Hamari shadi kisi or se Rab ta'alla ne Likhi hoti aur Engagement galat bandey se ho jaati hai. behar haal aisa bohat hi kamm hota hai. 

yeh jo amal aaj hum aapko btaein gey na yeh amal mujarrab hai aur Shadi ki Bandish or Rishtey ki Bandish wagera ke liye tou yeh bohat hi mufeed hai.

Acha Woh Larka ya Larki jis ki Shadi mein Rukawatein aa rahi hain ussey yeh karna hai k 11 Din tak Rozana Namaz e Asar ke baad 33 martaba Darood e Taaj shareef parh kar 1 glass pani par dam karna hai. Aur woh paani pee lena hai.

Iss ke baad apni mushkilaat or masail k hal hone ke liye ALLAH pak se Dua bhi karein.

ALLAH ke Hukam se aap ke tamam masley or woh Rukawatein door ho jayein gi. or Shadi Assaani se takmeel paye gi.

Hamara kaam aap ko Wazifa btana hota hai uss ko karna aap kaa kaam hota hai. or haan jese hum aap ke sath yeh share kartey issi tarha aap ka bhi yeh farz banta hai ke aap bhi iss post ka dusron ko btaein.

ho sakta aap ki waja se kisi ki bohat barri mushkil asaan ho jaye issi liye tou kaha jaata ke Achi baat ka Phelana Sadqa e jariya hai.


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

imtihan mein Kamyabi Ke Liye Wazifa

imtihan mein Kamyabi Ke Liye Wazifa


Assalam o alaikum dosto jesa k aap sub jantey hain yeh exams ka season hai kuch arse baad results aaney shuru ho jayein gey tou issi liye aaj hum aap ko imtihan mein Kamyabi Ke Liye Wazifa btaein gey. jis k karne se in'sha'ALLAH aap pas ho jayein gey our aap ke number bhi achey aayein gey

jo koi kisi imtihan mein Kamyabi ka khawahish mand ho tou uss ko chahiye ke woh har Namaz ke baad 21 martaba yeh parhey. jo ayat neechey tasveer mein btai gai hai.

Sub se Pehle 3 dafa Darood shareef parhein uss ke baad woh ayat 21 dafa parhein or aakhir mein  phir 3 dafa Darood parh lein

aap logon ki Help ke liye hum ne Darood shareef bhi picture mein diya hua hai aap iss ko zaroor karein.

iss ke sath sath aap agar koi bhi iss waja se Pareshan hai tou uss ke sath yeh post share karein and uss ko yeh amal karne ka kahein

iss amal k karne k 2 fawaid hain 1 tou aap ko Kamyabi miley gi aur uss ke sath sath aap ko Sawab bhi miley ga.


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Thursday, 3 March 2016

Pasand Ki Shadi Ka Wazifa

Pasand Ki Shadi Ka Wazifa


Asslam O Alaikum Pyare Islami Bhaiyo. jo koi apni khawahish ki shadi karna chahta ho aur agar ap ko mann chahiye shadi karne me masail ka samna ho tou Pasand Ki Shadi Ka Wazifa aap ke liye hi hai. jaisa k aajkal masroofiyat ka doar hai. aur Nikah aaj ki iss doar k insaan ne bohat mushkil bana diya hai.

jo koi Larka ya Larki apni Hesiyat aur apni Qabliyat ke hisaab se mohabbat ki Shadi karna chahey tou woh in Quran ki ayaat ko " Subha ki Namaz ke baad 61 baar, 
Zohar ke baad 71 baar, 
Asar ki namaz parhne ke baad 81 baar,
Magrib namaz ke baad 91 baar,
aur isha ki Namaz k baad 101 baar parhey.

in'sha'ALLAH uss ki Shadi uss ki Pasand ke mutabiq ho gi and kuch hi waqt mein uss ko result miley ga.

Wazeefa iss Niyat se karein k Aye mere RAB mere Haqq mein jo bhi behtar ho tu woh kar


Pasand Ki Shadi ka Wazifa


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Friday, 19 February 2016

Takabbur Ka Rohani ilaaj

Takabbur Ka Rohani ilaaj


Asslam o Alaikum Takabbur Ka Rohani ilaaj hum Hadees ki Roshni mein bayaan karne lagey hain. jo ke yeh hai. Farman E Habib e Parwardigaar Sallallahu alaihi wa-alihi wasallam hai k

 " Yaani salam mein pehal karne wala takabbur se door ho jata hai "

iss se murad yeh hai k agar hum har waqt safar mein ya kaam mein ya kisi bhi jagah Salam mein Pehal karein ( yaani Pehle Salam karein ) tou hum takabbur se paak ho saktey hain. Q k insan mitti ka bna hua hai jis par garoor wagaira nahi jachta.

Takabbur Ka Rohani ilaaj

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Wednesday, 16 December 2015

Azaab E Qabar Se Nijaat Ka Wazifa

Azaab E Qabar Se Nijaat Ka Wazifa


Asslam o alaikum Azaab E Qabar Se Nijaat Ka Wazifa yeh hai k " Yaa - Muhsiy " 1000 baar jo koi har Shab e jummah ( jumerat aur jummah ki Darmiyani Shab ) Parh liya karey in'sha'ALLAH woh Qabr o Qayamat ke Azaab se Mehfooz rahey ga.


Azaab E Qabar Se Nijaat Ka Wazifa


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Museebaton se Hifazat Ka Wazifa

Museebaton se Hifazat Ka Wazifa


Asslam o alaikum afato'n se Hifazat aur Museebaton se Hifazat Ka Wazifa yeh hai k " Ya Wakeelu " 7 baar Rozana Asar ke waqt parh liya karey in'sha'ALLAH woh tamam afato'n aur Pareshaniyo aur museebato'n se

Museebaton se Hifazat Ka Wazifa


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Aulaad Farma bardaar baney

Aulaad Farma bardaar baney


Asslam o alaikum jo shakhs chahey k usski Aulaad Farma bardaar baney tou woh Shakhs " Ya-Shaheedu " 21 baar Subha (Taluey aftaab se Pehle Pehle) Na-farman Bachey ya Bachi ki Peshani par Haath rakh kar Asmaan ki taraf munh kar key jo Parhey in'sha'ALLAH uss ka woh Bacha ya Bachi naik aur farma bardaar ho jaye gi.

Aulaad Farma bardaar baney

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Gham se Nijaat Ka Wazifa

Gham se Nijaat Ka Wazifa


Asslam o alaikum Gham se Nijaat Ka Wazifa un tamam logo'n ke liye jo kisi na kisi wajah ki bina par Pareshan rehtey hain. jo koi Gham'zada Shakhs " Yaa - Muheeminu " 29 baar rozana parh ley ALLAH ke Hukam se uss ka Gham door ho jaye ga.
 

Gham se Nijaat Ka Wazifa


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Aulad E Saleha Ke Liye Wazifa

Aulad E Saleha Ke Liye Wazifa


Asslam o alaikum Aulad E Saleha Ke Liye Wazifa yeh hai ke 
Zojja se milaap se pehle 10 baar " Yaa - mutakabbiru " parh lein. in'sha'ALLAH Naik Bete ka Baap baney ga.
.
Wazifa apne Dosto'n, Rishte'daro ko bhi share karna bhoolein.

Aulad E Saleha Ke Liye Wazifa

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Monday, 14 December 2015

Afsar Meharbaan Ho Jaye

Afsar Meharbaan Ho Jaye


Asslam o alaikum agar koi Shakhs Chahey k Uss ka Afsar Meharbaan Ho Jaye tou woh Shakhs 41 baar " Ya - Azeezu " parh k afsar k paas jaye in'sha'ALLAH  woh Haakim ya afsar Meharban ho jaye ga.
.
iss wazifa ko tamam hazraat ko bataein aur apne Social sites k profiles par bhi share karein.

Afsar Meharbaan Ho Jaye


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Emaan Ki Hifazat Ka Wazifa

Emaan Ki Hifazat Ka Wazifa


Asslam o alaikum aaj hum Emaan Ki Hifazat Ka Wazifa share karne jaa rahe hain. jo Shaks har Namaz ke baad 7 baar Yeh ayat parh liya karey ga. in'sha'ALLAH Shaitan ke shar se bachaa rahey ga aur Uss ka Khatma emaan par ho ga.
.
yeh wazifa bhi apne dosto'n, bhaiyo'n k sath share karna na bhoolein.

Emaan Ki Hifazat Ka Wazifa


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Har Muraad Puri Ho gi

Har Muraad Puri Ho gi


Asslam o alaikum Har Muraad Puri Ho gi agar koi 20 dafa rozana " Yaa - Raafiyu " parha karey ga tou in'sha'ALLAH ALLAH uss ki Har Muraad Puri karey ga.
.
iss Wazifa ko tamam Dost ehbaab ko btana na bhoolein.

Har Muraad Puri Ho gi


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Aulad E Nareena Ka Wazifa

Aulad E Nareena Ka Wazifa


Asslam o alaikum Aulad E Nareena Ka Wazifa jo shakhs " Yaa- Baariyu " iss ko 10 baar har jummah ko parh liya karey in'sha'ALLAH uss ko ALLAH beta dey ga.
iss wazifa ko apnee dosto or tamam Dukhi or Be'aulaad hazraat ke sath bhi zaroor share kijiye ALLAH aap ko iss ka ajar de ga.


Aulad E Nareena Ka Wazifa


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Thursday, 19 November 2015

Dosti Karne Ka Wazifa

Dosti Karne Ka Wazifa


Asslam o alaikum agar koi shakhs kisi se dosti ki arzoo rakhta ho tou Dosti Karne Ka Wazifa uss ke liye hai. jumeraat o Jummah ke Roz Ghusal kar k Naik iraade se 2 Rakaat Namaz parhey. har Rakaat mein Surah Fateha k baad Surah Ya-seen 1 martaba aur Surah Al-shams 1 martaba parhey. Phir namaz se farigh ho kar sajdey mein sar rakh kar ALLAH pak ki Bargaah mein DUA farmaye. 

Dosti Karne Ka Wazifa

Iss Wazifa ko apne tamam friends & family members k saath zaroor share karein.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Tuesday, 17 November 2015

Aakhrat Ko Dunia Par Tarjeeh Ka Wazifa

Aakhrat Ko Dunia Par Tarjeeh Ka Wazifa


Asslam o alaikum Aakhrat Ko Dunia Par Tarjeeh Ka Wazifa agar koi Shaks issm mubarik ka kasrat se wird karey ga tou ALLAH Paak apne fazal o qaram se usse un logon ke zamrey mein shamil farmaye ga jo Dunia par akhirat ko tarjeeh daitey hain. Aur Uss ke Dil mein iss Duniya aur iss ki fana hone wali cheezo se door ho jaye ga.

Aakhrat Ko Dunia Par Tarjeeh Ka Wazifa


Baraye Mehrbaani ! iss Wazifa ko apne tamam dosto or Relatives k sath share karna na bhoolein.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Friday, 13 November 2015

Izzat Ka Muqaam Hasil Karne Ke Liye

Izzat Ka Muqaam Hasil Karne Ke Liye


Ass-lam o Alaikum Izzat Ka Muqaam Hasil Karne Ke Liye yeh amal bohat mufeed hai. iss amal ki Barkat se Zaalimo'n ke zulm se bhi hifazat rehti hai. Bawuzu Baad Namaz e Isha Awwal 3 baar Darood Shareef Parhein or " 313 baar " neeche tasveer mein diye Kalmaat Parhein or aakhir mein 3 baar Darood Shareef Parh kar Dua karein in'sha'ALLAH zindagi mein izzat o azmat ka muqaam Hasil ho ga. 


Izzat Ka Muqaam Hasil Karne Ke Liye


iss post ko apne dosto aur apni Social media Wall par Share karna na bhoolein ho sakta aap ki waja se kisi ki mushkil asaan ho jaye. 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Rizq Ka Anmol Wazifa

Rizq Ka Anmol Wazifa


Asslam o alaikum Rizq Ka Anmol Wazifa un tamam logo'n ke liye jo Rizq ki tangii se Pareshan hain. Taluey Fajr k Saath Nichey Tasveer mein di gai ayat ko " 100 baar parhein " gaib se madad ho gi aur rozi k darwaze khul jaye gey Awwal o aakhir 11, 11 martba Darood Shareef parhein. Or hamari Pichli post Shaadi Ke Liye Surah Al-Quresh ka amal un tamam Bhaiyo'n ke liye jinh ki shadi nahi ho rahi ya jo Baap ban'ney ke khawahish'mand.


Rizq Ka Anmol Wazifa


Iss Post ko apne Dosto n social media wall pe zaroor share karein Shayad aap ki waja se kisi ki mushkil hall ho jaye.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Shaadi Ke Liye Surah Al-Quresh ka Amal

Shaadi Ke Liye Surah Al-Quresh ka Amal


Asslam o alaikum Shaadi Ke Liye Surah Al-Quresh ka Amal un tamam nojwano'n ke liye jin ki Shaadi nahi hoti aur Shaadi shuda log Baap ban'ney ke liye bhi yeh wazifa jaari rakh saktey hain.
iss amal ko doston ke sath bhi share karein. hamari Last post Wazifa to Cure Hair Falling tamam logon ke liye hai jinhey Hair falling ki problem rehti hai. woh Hair falling se bachne ke liye woh wazifa bhi try kar saktey.


Shaadi Ke Liye Surah Al-Quresh ka Amal


Baraye Meharbani iss Amal ko apne tamam Dosto / Rishte'daaro ke saath zaroor share kijiye ga. jazak'ALLAH.


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Followers

Popular Posts