A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Sunday, 27 July 2014

Brought Up Children

Brought up Children

Children are the blessings of ALLAH. Every parents want to nourish their children in a loving, caring and islamic rules. The parents would want to give proper care and attention to the little ones, especially during their initial stages of development. How to bring up your children it is main problem for each parents. For this you have to do following:
  • If your child does something wrong so doesn’t punish but also to understand them politely their fault.
  • Pray offer Namaz, recite holly Quran and educate them about Islam.
  • Keep gap between two children so that mother take care her children properly and grown up them as Islamic rules.
  • Don’t quarrel husband and wife because children effect very much.
  • To avoid divorce because children effect this situation very much.
    So pay attention your children. You Can read in this page bachon ki parswarish, aulad ki parwarish, bachon ke dekh bhal
     
DeeniRaah.blogspot.com

Bachon Ki Parwarish:

Bachon ki Parwarish kaise kia jaye. yeh aik ahum masla hai. Mulki aur ghair mulki school aur college ke mukhtalif bachon ke research se yeh baat malum huya hai keh kisi bachey ke bar bar nakam (fail) hone, school se absent hone mein bhi, gum sum rahne, khail kud(play) mein hissah na lene aur ustaad key puchne par answer maloom hone aur lesson yaad hone ke bawajood zuban se kuch na keh sakne ki asal wajah wahi khof, khud aitmadi se mahroomi aur ahsaas kamtari hoti hai. Jo Maan Baap ki taraf se ghar ki fiza kharab kar dene ki wajah se in mein paida hota hai. Lehaza bachon ki parwarish mein mandarja zel baton ka kheyal rakain.
Brought up Child
Bachon Ko Narmi Se Samjhayain:

Allah Aap ko awlad se nawaza hai to iss ka shukuryeh bhi hai keh in bachon par tawjjah dain, in maasum pholon ki qadar karain, in ki maamuli maamuli ya bila aikhtiar bari bari ghaltiyon par aapey se bahir na hon, na in maasum bachon ko marain balkeh khud ahtiyat karain keh apni choti choti ahum ashya aisi jagah na rakhin jahan bachon ke hath puhanch sakain. Agar bachey se khata ho jaye to isey piyar se samjayain aur iss ke liye duya karain.

Gharon Mein Dini Fiza Qayem Karein:

Gharon mein dini fiza qayem na hone se bachon ke ikhlaqi maiyar aur tor tareeqon ki taraf se la parwahi barti gayi aur in ki tarbiyat mein kotahi ki gayi. To iss ka lazmi natija jismani bimaariyon, aur ghair zumah dari, bad tameezi, kahili, nakami aur be dini ki shakal mein nikley ga. Bachey ki shakhsiyat masakh ho kar rah jaye gi. Maan Baap bhi pareshan rahain ge aur khaandan ki saakh bhi kharab hogi. Lehaza Apne gharon mein dini fiza paida karne ki koshish karain.

Bachon Ke Darmian Munasib Waqfa Rakhain:

Baaz gharanon mein bachon ki paidaish mein munasib waqfa na honey aur musalsal bachon ki paidaish se maan laghar aur kamzor ho jati hai. Ghar key kaam kaaj alag aur bachon ko sambhalna alag. Gharon mein degar pareshaniyon ki wajah se na farz namazon ka ahtemaam na telawat-o-zikar ki fikar, na dini books ka mutala ka waqt milta hai. Maayon ko chahiye keh tamam zummadari ke sath sath kuch waqt nikaal kar in ki dini tarbiyat karain. Rozana unhain baitha kar ahadees nabwi sunayain, Allah ki azmat aur muhabbat aur fikar aakhrat in ke dilon mein baithane ki koshish karain.

Mian Biwi Apas Mein Na Larein:

Bachey ko deen se dur karne aur iss ko jahil aur nafsiati mareez banane ka aik ahum sabab Maan Baap ke darmian larayi jhagra aur bahmi nazaa-o-ikhtelaaf hai. Chunancha jab bacha ghar mein aankhain kholta hai aur apni aankhon ke samne larayi jhagra dekhta hai to ghair shauri tor par vo ghar ki iss tareek fiza se dur hona chahta hai. Chunan cha aafat zadah khandan ke daire se nikal kar apne man pasand doston ke sath apna waqt guzarta hai, aur faraghat ke awqaat in ki rafaqat mein basar karta hai. Yeh dost agar gandey ikhlaaq wale, ghatya qisam ke log hon to yeh bacha bhi in ke sath kharab hota chala jata hai aur buri aadatain aur gandey ikhlaaq ikhteyar kar leta hai. Balkeh baaz awqaat vo aadi mujrim aur mulk-o-qom ke liye khatra ki nishani ban jata hai.

Talaq Ke Bure Nataij Se Bachain:

Talaq aur iss ke nateeje mein paida hone wale halat. Talaq ke baad iss pareshani ko Maan ki ghurbat mazeed pechida bana deti hai. Iss liye aisi surat haal mein mutalqah aurat job ke liye ghar se nikalne par majboor hoti hai. Lehaza vo ghar ko chor kar kaam karne chali jati hai aur chote chote bachey be yar-o-madad gar idhar udhar phirte hain. Na koyi in ki daikh bhaal karne wala hota hai, na nigahdasht karne wala. Yeh surat hal iss waqt aur ziada kharab ho jati hai jab mutalqa aurat dusri shadi kar leti hai. To iss ke natije mein aam tor se awlaad kharab aur zaya ho jati hai. Allah ne apne bunyadi ahkamat mein miyan biwi mein se har aik ko yeh hokum diya hai keh wo apne apne faraiz-o-wajbaat ko pura karne aur aik dusre ke haquq ada kare takeh aisi surat hal paida na ho jis ka anjam aakhir kar bura ho.

Mandarja bala baton ke natije mein bachon ki zindagi to bar bad hogi hi, lekin aap khud bhi umer bhar pareshan rahain gey. Lehaza in sab baton ka kheyal rakhte huye aap apne Bachon ki tarbiyat karain takeh aap ke bachey Aap aur Mulk-o-Qom key liye sahi sabit ho sake.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts