A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Sunday 27 July 2014

Faithful Wife God's Blessing

Faithful Wife God's Blessing

If you have a good wife then life becomes the way of flowers. Only a woman can make a house a home who is the mother, sister, daughter and wife. Your journey to become involved with what life gives. Your wife is with you in happiness and sorrow. Play with it until the last breath of life. It is said that for loyalty, good and faithful wife, loving God's blessing. Read the article below in detail Roman Urdu.
 
DeeniRaah.blogspot.com

Wafadar Biwi Allah ki Neamat Hai:

Makan ko ghar sirf aurat hi bana sakti hai, jo maan, behan, beti aur biwi bhi hai, jo shareek-e-safar ban kar aap ka umer bhar sath deti hai. Har dukh sukh mein aap ke shanah ba shanah hoti hai aur zindagi ki aakhri sans tak sath nibhati hai. Isi liye to kaha jata hai keh mukhlis, nek sirat aur ba wafa biwi Allah ki nemat hai. Agar biwi apne shohar ki behtareen dost, hum dard, mons-o-gham khuar hogi to is ka apne shohar ke sath rishtah bhi paaidar, gehra aur mazbut hoga.
Azdawaji zindagi ki kaamyabi ke liye wafa bunyadi shart hai. Wafa aur aitmaad ka choli daman ka sath hai. Azdawaji zindagi ki emarat bhi aitmaad ki bunyad hi par istewar hoti hai. Mian, biwi donon ka farz hai keh who aik dusre ke darmian aitmaad ki faza qaim rakhain.
Faithful Wife
Shareek-e-safar acha ho to shah rah-e-heyat phoolo'n ki rah guzar ban jati hai.

Azdawaji zindagi ki khub surti ka raz aik dusre ki izzat-o-ahteram mein bhi poshidah hai. Gharilu zindagi mein sakun, aman-o-aashti ki fiza isi waqt qaaim hogi, jab afrad-e-khanah aik dusre se izzat se pesh ayain.

Gharilu masrufyat mein ulajh kar aksar biwiyan, shoharon ko nazar andaz kar deti hai. Biwi ko chahiye keh masrufyat chahe kitni ziadah hon, awwal tajeeh apne shohar ko de aur apni behtareen kawishon aur rawaiye se shohar ko khush rakhay, kiun keh is ka sara jiwan to is ke shohar hi se munsalik hai.

Is madiyat parasti ke dor mein har koi aik dusre par sabqat le jane ki koshish mein laga huwa hai. So baaz aisi bhi biwiyan hain, jo shoharon se hamah waqt shikwah kanan rahti hain keh in ka maiyar-e-zindagi in ke kisi azeez ya saheli jaisa nahi hai. Is tarah ke shikwe, shikayat sun sun kar amuman shohar kafi be zar ho jate hain. Ghar ke mahol aur bachon par bhi is ka gehra asar parta hai. baaz shohar be zar ho kar aur aaye din ki behas-o-mubahise se bachne ke liye aur baaz mahaz apni biwiyon ki khushnudi ke liye bhi rozi ke najaiz zaraya apnane par majbur ho jate hain aur phir muaashre mein burayi ka aik na khatam hone wala silsilah shoro ho jata hai.

Aik achi biwi to wahi hoti hai, jo apne shohar ki aamdani hi mein ghar ko saliqah shuari se chalaye. Is ki ghair mojoodgi mein bachon ki ghar ki aur shohar ke maal-o-asbaab ki nigarn-o-mahafiz ho. Bachon ki achi taleem-o-tarbiyat par tawajjah de aur jitni chadar, utne hi payon phailayain, ke kulye par amal pera rahe, to jab hi ghar jannat ka namunah ban sakta hai. isi liye to kaha jata hai keh ghar piyara ghar mukhlis shareek safar ke beghair adhura hai.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts