Father's Positive ThinkingModern life style has many changes of the domestic life and now that Europe has had or developed countries. Men and women both have responsibilities of family. They are equally fulfilling less system that is able to practice in the East. In the old days was the father earns. But fathers are more sensitive than my father's old age. In all cases, the today’s father is taking interested their children. Listens to their problems and provides solutions. It is estimate to see a beautiful picture of life that healthy change in the house of a man depends largely on a positive meaning. |
Walid ki Musbat Soch | ||||
Gharilu tarz-e-zindagi mein yeh tabdili deikh kar andaza hota hai keh aaj ka baap purane zamane ke walid se ziada hassas aur caring hai. Purane zamane mein walid ka kirdar bara mahdud tha. Woh kamata tha aur ghar mein is ka kirdar aik aisi ba rob shakhsiyat ka tha jis se bache darte the. Isi wajah se walid aur bachon ke darmian kabhi bhi who talluq nahi ban pata tha jo keh buhat zaruri hota hai. Aaj ka walid bachon tamam tar muamlaat mein puri dilchaspi leta hai. Nehlata dulata hai, khana khelata hai. School chorne aur lene jata hai in ke sath khelta hai. In ki har aik khuwahish puri karna apna farz samajhta hai. In ke sath sota bhi hai kahanyan bhi sunata hai in ke masail bhi sunta hai aur inhain hal bhi karta hai. Yun aaj ka walid aik ideal walid hai. Who walid kam dost ziadah hai. Aur walid mein isi tabdili ki hi wajah se ghar jannat ban gia hai. Jahan muhabbat hai piyar hai jazbe hain ahsas hai aur who sab kuch hai jo haqiqi mainon mein ghar lafz ki tashrih kare. Aaj walid office mein mojood hote huye bhi ghar mein hote hain in ka dimagh ghar ke muamlat mein mazeed behtarei lane bare mein soch raha ho ta hai. Who sochte hain keh aaj ghar puhanch kar kia kia kam karne hain aur agar koi bacha bimaar ho to duty karna mushkil ho jata hai. purane waqton mein auraton par bare bojh the is par sawaye mulazmat har tarah ki zummah dari thi aur yeh bojh ise raat tak thaka dete the. Is par bhi ise har waqt shohar ki dant dapat ka khof magar ab aisa nahi hai. Agar cheh thaka dene wali routine ab bhi hai magar ab yeh thakan bhi donon bant rahe hain. Chunancha thakan ka ahsas kam ho jata hai. Ab har maslah har uljhan aur har tension donon ne barabar barabar taqseem kar li hai aur yun who sabit kar rahe hain keh hum haqiqi mainon mein life partners hain. Zindagi ki yeh khubsurat tasweer deikh kar andaza hota hai keh ghar mein kisi sehat man tabdeeli ka buhat had tak inhesar mard ki masbat tabdili par hai aur khas tor par is baat par keh who biwi ko kia moqaam de raha hai aya is ka haquq tasleem karta hai aur yeh keh apne faraiz se agah hai aur agar who biwi ki mulazmat ke haq mein hai to kia is ki zummah daryan batne ke liye taiyar hai. Yun mard ka sehat mandanah rowaiyah ghar ko jannat bana sakta hai. Kiun keh fitri tor par koi bhi aurat ghar ko tutta dekhna nahi chahti is liye who jabar karti jati hai aur har bojh bardasht kar leti hai. Magar is tor ki zindagi behar haal pur lutf-o-pur sakun nahi ho sakti. Yeh tabhi mumkin hai jab mard ise sahi moqaam de aur yeh bari hi khush aaind baat hai keh kuch mardon ne zehni tor par aurat ki haisyat ko tasleem karna shoro kar dia hai. Jis ke baad hum mazeed behtari ki towaqqa kar sakte hain. |

0 comments:
Post a Comment