Hazrat Yousaf (ALaihiSallam)
.
• SAWAL :- Hazrat Yusuf (Alaihissalam) Jab Barhana Kuwe’N Me Dale Gaye To UsWaqt Aap Ko kisne Aur Kya Paihnaya Tha?
.
>> JAWAB :- Jab Aap Ke Bhaiyo’N Ne,Aap Ke Hath Pair Baandh
Kar Qameez Utar Kar Kuwen Me Daala,To Fauran Hazrat Jibraeel (Alaihissalam) Ba
Hukm Ilaahi Hazir Huwe,
Unhone Aap Ko Ek Patthar Par Bita Diya,
jo Kunwe Me Tha,aur Aap Ke Haath Pair Khol Diye,aur Aap Ke
Gale Me BaShakl Ta’aveez Bandha Huwa Ibrahimi Qameez Khol Kar Paihna Diya…
Ye Wo Jannati Qameez Tha Jisko Hazrat Jibraeel Amin Jannat Se Us Waqt Lay The,Jab
Naar Namroodi Me Hazrat Ibraheem (Alaihissalam) Ko Barhana
Daala Gaya Tha,Aur Aap Ne Unhen Paihnaya Tha…
Ye
Qameez Pusht Dar Pusht Hazrat Yaqoob (Alaihissalam) Tak
Pahuncha,Aur Aapne Waqt Rukhsat Hazrat Yusuf (Alaihissalam) ke Gale Me Ta’aveez Bana Kar Dala
tha.
{KhazaiNul Irfan-Parah-12-Ruku-12}
.
• SAWAL :- Hazrat Yusuf (Alaihissalam) Kunwe Me Kya Khate The,aur Khaana Kaun Aur Kaha Se Lata Tha?
.
>>JAWAB :- Us Dauran Ba Hukme Ilaahi,Hazrat Jibraeel Amin” Jannati Khana Peena Pesh Karte The.
{Hashiya-39-Jalaleen-Safa-No-190}
.
• SAWAL :- Hazrat Yusuf (Alaihissalam) Ke Kunwe Me Dol Dalne Wale Ka Naam Kya Tha,Aur Wo Kaha Ka Raihne Wala Tha?
.
>> JAWAB :- Dol Dalne Wale Ka Naam “Malik Bin Za’ar Khazaye’e” Tha,Ye Shakhs “Madeen” Ka Raihne Wala Tha.
.
• SAWAL :- Hazrat Yusuf (Alaihissalam) Ko,Aap ke Bhaiyon Ne Qafla Walon Ke Hath Kitni Qeemat Me Becha Tha?
.
>>JAWAB :- Hazrat Qatadah (RadiAllahu Anhu) Farmate hai ke Aap ke Bhaiyon Ne 20 Dirham Me Becha
Tha…
Jab Hazrat Yusuf (Alaihissalam) Ko AapKe Bhaiyon Ne Kuwen Me Dala To
Uske Ba’ad Wo Usi Jangal Me ke
Jisme Wo Kuwa’N Tha,Apni Bakriya’N Charate The,Aur Dekh
Bhal Rakhte The,Ek Din Jab Unho Ne Yusuf (Alaihissalam) Ko
Kuwe’n Me Na Dekha To Unhe Talash Hui,Talash Ki Justuju
Me Qafla Tak Pahunche,Waha Unhone Ne Malik Bin Za’ar Ke Pas
Hazrat Yusuf (Alaihissalam) Ko Dekha,To Wo Unse Kahne Lage Ye Gulam Hai
…
Hamare Pas Se Bhag Aaya Hai,Ye Gulam Kisi Kaam Ka Nahi Hai,
NaFarman Hai,Agar Aap Khareedo To Ham Sasta Bech Denge.
Hazrat Yusuf (Alaihissalam) Unke Khauf Se Khamosh Khade
Rahe,Aur Na Bole,Fir Ye Sauda TaiHogaya.
{KhazaiNul Irfan-Parah-12-Ruku-12}
.
• SAWAL :- Hazrat Yusuf (Alaihissalam) Ko Bazar-e Misr Me Kisne Aur Kitni Qeemat Par Khareeda Tha?
.
>> JAWAB :- Malik Bin Za’ar Apne Sathiyon Ke Sath,Hazrat Yusuf (Alaihissalam) Ko
Lekar Misr Pahunche…
Azeez-e Misr Ne Jab Gulam Haseen-o Jameel Ki Khabar Suni
To Hukm Bheja ke Use Nakhas Me Layen… Dusre Roz Malik Bin Za’az
Ne
Yusuf (Alaihissalam) Ko Arasta Karke Bazaar Me Laya To
Tamam Bazar-e Misr Me Jalwa-e Husn-o Jamal ki ShOhrat
Hogayi,Aur KhariDaro’N Ka Hujoom Aagaya,Har Shakhs Ke
Dil Me Aap Ko Khareedne Ki Talab Paida Hui,Aur Khareedaro’n
Ne Qeemat Badhana Shuru Ki,Naubat Ye Pahunchi Ke Aap Ke
Wazan Ke Barabar “Sona” Utna Hi “Chandi” Utna hi “Mushk” Aur UtnaHi “Hareer” Qeemat Muqarrar Hui…
Aur Khareed Ne Wale Ka Naam “Qatferi” Misri Tha,Tamam
Khazain Misr Usi Ke Tahat Tasarruf The,Log Use “Azeez-e Misr Kahte The.
{KhazaiNul Irfan-Parah-12-Ruku-13}.
.
Insha Allah AaNe Wali Post Me
Aage ka Zikr Hoga,Sab is Post Ko Share Karen JazakAllah.
Read More Articals & Speeches at
♥ █▓▒░ DeeniRaah.blogspot.com░▒▓█ ♥

0 comments:
Post a Comment