A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Friday 15 August 2014

SHirk ki Haqiqat Aur Musalmano Par Shirk K Fatwe

Bad Qismati se Is UMMAT main, Aese Log bhi Pae Jate hain, Jin ka kaam apne Siwa sab MUSALMAANON ko MUSHRIK AUR BIDDATI kehna aur samjhna hai.
Zulum yeh hai, k Yeh Aawaaz Masaajid aur Madaris, donon se Suni jaati hai,
Yeh Log yeh Samajhte hain k Hum Dusrun ko MUSHRIK aur BIDDATI keh kar, TAUHEED ki Khidmat kar rahe hain.
Haalankay yeh woh log hain, Jo UMMAT-E-MUSLIMA main, Fitnah O Fasaad ka Beej Bo Rahe hain, Inhon Ne JAAN BOOJH kar SHIRK ki Itni IQSAAM (TYPES) bana lin hain, k In k Siwa koi Bhi Aadmi MUSALMAAN na Kehelwa sake.
MEHRABANI KARE KE IS POST KO PURA PARE, Share Karey AUR APNE EMAN KO PUKHTA KARE.

*************** ************* ************* ***********

TAUHEED K MEANING:

ALLAH TA’ALA ki Zaat-e- paak ko uski zaat o siffaat main shareek se Paak maanna, Yaani jesa ALLAH TA’ALA hai, wesa hum kisi ko ALLAH TA’ALA na maanen, agar koi ALLAH TA’ALA k hote huwe, kisi dusre ko ALLAH TA’ALA Tassawwur karta hai, to woh Zaat-e-Bari TA’ALA main Shirk karta hai.
SHIRK kise kehte hain: -
ALLAMA Taftaazaani (Rehmatullah) apni kitaab Sharah Aqaid-e-Nasfiya h main Shirk ki Taareef is tarah farmate hain,”Kisi ko Shareek therane se murad yeh hai k, Majoosiyon ki tarah kisi ko Khuda aur Waajib ul Wajood samjha
jae, ya But Paraston ki tarah kisi ko ALLAH k siwa Ibadat k laek samjha hae”

SHIRK ki taareef se maaloom huwa k 2 Khudaon k Maanne waale jese, Majoosi (AAG PARAST), mushrik hain, isi tarah ALLAH k siwae Ibadat k laek samajhne waala Mushrik hoga.. E.g Jese But Parast jo Buton ko Mustahik-E-ibad atsamajhte hain.

types of Shirk

SHIRK ki QISMEN (types or Kinds):

1) SHIRK-FIL-IBADA T
2) SHIRK-FIZ-ZAAT
3) SHIRK-FIS-SIFFA AT

▪▪► 1) SHIRK-FIL-IBADA T: Is se murad hai, k ALLAH TA’ALA k ilawa kisi aur zaat ko Ibadat k Laek samjha jae..

▪▪► 2) SHIRK-FIZ-ZAAT: Is se murad hai k kisi zaat ko ALLAH TA’ALA jesa maanna, jesa k Majoosi 2 khuda ko maante the..

▪▪► 3) SHIRK-FIS-SIFFA AT: Kisi Zaat o shakhsiyat wagera main ALLAH TA’ALA jesi Siffaat maanna (ALLAH TA’ALA ki Ata bager), SHIRK-FIS-SIFFA AT kehlata hai.

SHAITAAN SHIRK-FIS-SIFFA T ki haqeeqt ko samajhne se rokta hai, Aur Yahaan Ummat main wiswisay peda karta hai. Ab main aap ko QURA’AN ki Aayat k zariye SHIRK-FIS-SIFFA AT samjhata hun.. Gor se parhiya ga

●●► 1) * ALLAH TA’ALA RAOUF AUR RAHEEM HAI:
Tarjuma:”Beshak ALLAH TA’ALA Logon par RAOUF AUR RAHEEM hai”. (Surah Bakara, Aayat 143)

* SARKAR (ALEH SALAAM) BHI RAOUF AUR RAHEEM HAIN:

Tarjuma:”Beshak tumhare pas tashreef lae, tum main se woh Rasool jin par tumhara Mushkat parna, Giraan(bhari) hai, tumhari Bhalai k nihayat chahne waale, Mominon par RAOUF AUR RAHEEM hain”.
(Surah Toba, Ayat 128, Para 10)

NOTE: Pehli Aayat par Gor karen to sawaal peda hota hai k RAOUUF aur RAHEEM,ALLAH TA’ALA ki Siffat hain, phir Dusri Aayat main Huzoor (Aleh Salaam) ko RAOUFaur RAHEEM farmaya gaya, to kiya yeh SHIRK hogaya????
Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH TA’ALA haqeeqi tor par RAOUF aur RAHEEMhai, jab k Huzoor (Aleh Salaam), ALLAH TA’ALA ki Ata se RAOUF aur RAHEEM hain, Lihaza jahaan Zaati aur Ataai ka Faraq waazeh hojae, wahaan SHIRK ka Hukum nahin lagta.

●●► 2) * ILM-E-GAIB, ALLAH TA’ALA K SIWA KISI K PASS NAHIN:
Tarjuma:”Tum farmao ALLAH k siwa Gaib nahin jante, jo koi Aasmanon aur zameenon main hai”.
(Surah Namal, Aayat 65, Parah 20)

* RASOOLON KO BHI ILM-E- GAIB ATA KIYA GAYA:
Tarjuma:”Gaib ka jaanne wala, apne Gaib par sirf apne Pasandeeda RASOOLON hi ko Aagah farmata hai, har kisi ko Yeh ILM nahin deta”.
(Surah JIN, Aayat 26/27, Parah 29)

NOTE: Pehli Aayat se saabit huwa k ILM-E-GAIB ALLAH TA’ALA ki Siffat hai, magar Dusri Aayat se maaloom
huwa k ILM-E-GAIB, ALLAH TA’ALA ne apne pasandeedaRASOO LON ko bhi Ata kiya hai, to kiya yeh SHIRK hogaya??
Is ki Tatbee yun Qaem hogi k ALLAH TA’ALA ZAATI tor par AALIM-E-GAIB hai, jab kALLAH TA’ALA k tamaam
RASOOLON ko ALLAH TA’ALA ki Ata se ILM-E-GAIB par Aagahi haasil hai, Lihaza jahaan ZAATI aur ATAAI ka
faraq waazeh hojae, wahaanSHIRK ka hokum nahin lagta.

●●► 3) MADADGAAR SIRF ALLAH TA’ALA HAI :
“Yeh is liye ke Musalmaanon ka madadgaar ALLAH hai”
(Surah e Muhammad, Aayat 11, Parah 26)

JIBRAEL (ALEHI SALAAM) AUR AULIYA E KARAM BHI MADADGAAR HAIN:
“Beshak ALLAH un ka madadgaar hai, aur Jibrael, aur Naik Momineen madadgaar hain”.
(Surah e Tehreem, Aayat 4, Parah 28)

Pehli Aayat par Gor karen to yeh Sawaal peIda hoga, ke Madad karna ALLAH TA’ALA ki siffat hai, phir dusri Aayat main Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) aur AUliya-E-Karam ko madadgaar farmaya, to kiya yeh SHIRK Huwa???
Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael (Aleh Salaam), aur Aliya-E-Karam, ALLAH TA’ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA’ALA Ata farma rahi hai, us main Aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga???

Read More Articals & Speeches at 
♥ █▓▒░ DeeniRaah.blogspot.com░▒▓█ ♥
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts