TAQLEED 2
Before Reading This Artical Must Read Our First PArt of This Topic... Thanks
Sub Se Pehle Taqleed Part 1 Parh lijiye taa ke aap ko Saara Samajh mein aa sakey.
Surah an-Nisa Aayat 59 :
Aye Eimaan walo, ALLAH ki ita’at karo aur Rasool ki ita’at karo aur (apno me se) saahibane amr ki aur phir kisi mas’ale par tum baham ikhtelaf karo to use Allah aur uske Rasool sallallahu alaihi wasallam ki taraf lauta do, Agar tum Allah par aur aakhirat ke din par yaqeen rakhte ho to yehi (tumhare liye) behtar aur anjam ke lihaj se bahut achha hai.
Ya’ni ALLAH ta’ala farmata hai tum me ilm walo ke upar ilm wala hoga jo tumhare liye sahibane amr hoga aur jo tumhe ALLAH aur uske Rasool sallallahu alaihi wasallam ki ita’at ka sahi tareeqa sikhaenge. Aam halaat me us Imam ki ita’at karte raho aur jab kisi mas’ale par ikhtelaf ho jae to Qur’an aur Sunnat ki taraf ruju karo.
Sahibane amr me Khulfa e rashideen aur Aaimma e islam samil hain.
Hadeese Nabawi :
(1) Ulma e ummatika ambiya e bani israeel.
Meri ummat ke ulema bani israeel ke nabio ke manind hai.
(2) Jab Qur’an aur Sunnat me kisi mas’ale ka hukm na mile to fuqha aur mujtahidin ulema ke mashware par amal (pairwi) karo.
**********
Taqleed (Imitation) ya’ni Charo Imaam me se kisi ek ke tareeqe (mazhab) par ahkame shariat ada karna.
*********
Aaimma e araba aur Unke mazahib :
”””””””’ ”””””””’ ”””””””’ ”””””””’ ””””’
(1) Imame aazam Abu Haneefa Numan ibn Sabit rehmatullahi alaihi
(Hanafi mazhab)
[Wiladat 80 Hijri (699 A.D.), Kufa, Iraq
Wisal 2 Shaaban 150 Hijri (767 A.D.), Baghdad]
(2) Imam Maalik ibn Anas rehmatullahi alaihi
(Maaliki mazhab)
[Wiladat 93 Hijri (711 A.D.), Madina
Wisal 7 Rabbi ul Aakhir 179 Hijri (795 A.D.), Madina]
(3) Imam Abdullah ibn Idris ash-Shaafi’I rehmatullahi alaihi
(Shafee mazhab)
[Wiladat 150 Hijri (767 A.D.), Gaza, Palestine me hui
Wisal 4 Rajjab 204 Hijri (820 A.D.), Fustat, Egypt]
(4) Imam Abu Abdullah Ahmad bin Muhammad bin Hambal rehmatullahi alaihi
(Hambali mazhab)
[Wiladat 164 Hijri (780 A.D.), Baghdad, Iraq
Wisal 7 Rabbi ul Aakhir 241 Hijri (855 A.D.) Baghdad]
*********
Ahkame shariat ke masa’il 4 chizo ko milakar samajh sakte hain :
(1) Kitaabullah (Qur’an Majeed)
(2) Hadees aur Sunnate Nabawi (Prophetic tradtions)
(3) Ijama e Ashaba wa Ulema (Consensus of Companions of Prophet , Followers of companions&Muslim scholars)
(4) Qiyas (Analogical Deduction by Muslim scholars).
Zyadatar masa’il ke hal Qur’an aur Hadees me se mil jaate hain, Lekin agar kisi mas’ale ka hal is me na mile to Ijama e Ashaba wa Ulema se samjha ja sakta hai.
Agar kisi mas’ale ka hal is me bhi na mile to Imame islam apne Qiyas se uska hal batate hain, Kyun ke ALLAH ta’ala ne unhe khas ilm ata farmaya hai. Is liye unki baato (tareeqe) par bhi amal karna zaroori hai.
*********
Ye charo aaimma mujtahid hain jinho ne ALLAH ke fazl se apne mukammal ilm se Ahkame shariah ke masa’il samajhakar uski sahi adaygi ke liye Mazhab (School of Law) bataye.
Har koi ijtihad ke qaabil nahi hota ya’ni Deeni masa’il me sahi raah nikalne ke liye kisi mujtahid ki pairwi zaroori hai. Isi ko ‘Taqleed’ kehte hain.
Pehli sadi ke baad se musalmano ne in charo mazhab me se kisi ek par amal karna (taqleed) shuru kiya hai take sahi tareeqe se ahkame shariat ada kar sake aur gumrah na ho.
*********
ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me
Aur Aaimma e islam ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ko hidayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.
Aameen.

0 comments:
Post a Comment