A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Tuesday 26 August 2014

Waseela Ka Bayaan

Waseela ka Bayaan

Waseela Ka Bayaan

Waseela Ka Bayaan

Waseela Ka Bayaan

ALLAH ke muqarrab bande ya’ni Ambiya, Auliya, Shohda aur Saleheen ka waseela lena jaiz hai :
**********

5 Surah Maidah – Aayat 35 :
Aye iman walo, ALLAH se daro aur uski taraf waseela talash karo aur uski raah me jihad karo take tum kamyabi paao.
ALLAH ta’ala Quran me kamyabi keliye waseela talash karne ko keh raha hai.
Hadeese Nabawi :
Apni dua me Nabi aur Wali ka batore waseela zikr karna mustahab hai.
(Tirmizi, Jild -2, Hadees -198)
**********
(1) Hazrate Aadam alaihissalam nejab ALLAH ta’ala se ye dua ki to ALLAH ne un par raham farmaya aur unki bakhshis farmai.
‘Aye ALLAH, Tere naam ke saath Muhammad sallallahu alaihi wasallam ka barkat wala naam hai uske waseele se meri tauba qubool farma aur hamare gunaho ko muaf farma.’
(Fatawa Ibn Taymiyya, Jild-2, Safa-150)
(2) Ek andha shakhs Huzoore akram sallallahu alaihi wasallam ke paas aaya aur kaha: ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Meri binai ke liye dua kijiye.’
Aap ne farmaya ke ‘Agar chaho to dua karunga or agar manzoor ho to sabr karo, ye behtar hoga.’
Us shakhs ne kaha ‘Dua kijiye.’
Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke ‘Achhi tarah wuzu kar lo aur kaho,
Aye ALLAH, Main Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke waseele se binai chahta hu.
Us shakhs ne aisa hi kiya aur uski aankho ki roshni durust ho gai.
(Tirmizi, Jild-2, Safa-198,
Ibne Maajah, Safa-99)
(3) Hazrate Abu Jawza Awas ibne Abdullah radiallahu ta’ala anhu farmate hain ke
Ek baar Madina me shadeed qehat pad gaya pas Ahle Madina ne Hazrate Ayesha radiallah ta’ala anha se guzarish ki to aap ne farmaya ke Nabi e karim sallallahualaihi wasallam ki Roza e anwar kichhat me ek surakh bana do. Logo ne aisa hi kiya jis se qabre anwar aur aasman ke darmiyan parda na raha to Allah ta’ala ne un par barish barsa di yaha tak ki fasale (kheti) aa gai aur oont aur jaanwar mote ho gae.
(Mishkat shareef, Baabul Karamat, Hadees-545)
(4) Hazrat Umar radiallah ta’ala anhu ke zamane me ek martaba qehat pada to Hazrat Bilal bin Haaris Mazni radiallah ta’ala anhu Roza e anwar par hazair hue aur arz kiya ke
‘ Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam,
Aap ki ummat halaak ho rahi hai, baarish nahi hoti.’
Huzoor sallallahu alaihi wasallam unhe khwaab me mile aur farmaya ke
‘Aye Bilal, Hazrate Umar ke pass jaao. Use mera salam kaho aur kehdo ke baarish ho jaaegi.’
Umar se ye bhi kehna ke kuchh narmi ikhtiyar kare.’
(Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne ye is liye farmaya ke Hazrat Umar Farooq radiallah ta’ala anhu deen ke muamale me bade sakht the).
Hazrat Bilal bin Haaris Mazni radiallah ta’ala anhu Hazrate Umarradiallah ta’ala anhu ki khidmat me haazir hue aur Huzoor sallallahu alaihi wasallam ka salaam aur paigaam pahunchaya.
Hazrat Umar radiallah ta’ala anhu ye Salaam aur Paigame mehboob paakar rone lage aur phir bahut baarish hui.
(Shawahid ul Haq lil-Nabhani, Safa-67,
Al-bidayah wan nihayah, Jild -7 , Safa -98)
(5) Hazrat Usman bin Haneef farmate hain ke Hazoor sallallahu alaihi wasallam ne mujhe ye dua mangne ka hukm diya
‘Aye ALLAH! Main tere Nabi ke waseela jaleela se teri taraf tawajjoh karta hu.
Ya Rasoolallah, Main aap ke waseele se apne rabb ki taraf apni hajat ke bare me muwajjeh hu take wo puri ho jaae.
Ya ALLAH! Tu mere baare me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki shafa’at qubool farma.’
(Tirmizi shareef, Jild 1, Abwabuddawa, Safa-653, Hadees-1504)
(6) Sahabi ki dua :
Aye ALLAH, Main jujh se maangta hu aur teri taraf Muhammad sallallahu alaihi wasallam ka Waseela leta hu, jo Nabi e Rehmat hain.
(Tirmizi, Jild-2, Safa- 197)
(7) Hazrat Abdullah bin Umar radiallahu ta’ala anhu ka pair soonho gaya.
Ek shakhs ne aap se kaha ke ‘Tum ko logo me jo sab se zyada mehboob ho us ko yaad karo.’
Aap ne foran zor se kaha ‘Ya Mohammadah.’
Aur aap ka paanv theek ho gaya.
(Sahih Bukhari, Kitaabul Adab al mufarad, Safa -114)
(8) Hazrat Jaafar Khudri rehmatullahi alaihi farmate hain ke Main ek aise Kaafile Ke saath aafar kar raha tha jiske sab log asahaba ke khilaf the. Wo sab ke sab Hazrat Abu bakr Siddiq wa Hazrat Umar Farooq radiallah ta’ala anhuma ke muta’allik mujh se munaazra karte hue chal rahe the. Main jaha tak ho sake unke har aitraz ka jawab de raha tha.
Itne Me ek khatarnaak jangal aa gaya jis se ek darinda nikla. Ittefaaq se wo darinda sidha meri hi taraf aaya aur mujh par hamla karke mujhe uthakar chal diya. Ye dekhkar kaafile wale bade khush hue aur mujhe is khayaal se badi ranj hua ke Yeh kehte honge ke mohabbate shaikhain ka maza chakh liya isne.
Us darinde ne mujhe apne bhooke bacho ke aage lakar daal diya takebache kha jaae. Us waqt mere munh se be-saakhta nikla ‘Shaikhain ka waasta Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam meri madad farmaie.’
Jab us darinde ke bhooke bache mere qareeb aae to mujhe soonghkar sab ke sab pichhe hat gaye. Ye dekhkar wo darinda khaufnaak awaaz me bola jaise keh raha ho ke ‘ Khate kyun nahi? Pichhe kyun hat gae?’ Uske bacho ne ba-zubaane fasih jawab diya ke‘Tumne hame 3 din tak bhooka rakha aur aaj us shakhs ko lekar aae ho jo Nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam ke asahaba se mohabbat rakhta hai.’
Maine khud inka ye jawab suna to musarrat (khushi) me utha aur chal diya.
Khuda ki kasam, Mujhe unho ne kuchh bhi taklif na di.
(Jaami ul Moajizaat, Safa-12)
(9) Ek baar Hazrate Safina radiallahu ta’ala anhu naam ke ek sahabi ek kashti me sawar hokar jaa rahe the. Ittefaaq se kashti takrakar tut gai. Aap us ke ek takhte par behte chale gaye aur kuchh der baad kinare par pahunche. Waha utarkar Hazrat Safina ne dekha ke ek jangal me pahunch gae hain jis me darinde aur jaanwar hain.
Aap ko dekhkar ek sher aap par hamla karne ke liye dauda. Hazrat Safina ne us se kaha ke ‘Khabardar! Aye sher, Main Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ka gulam hu.’
Ye sunkar sher ne apna sar jhuka kar dum hilata hua Hazrat Safina ke paas aaya aur ishare se aap ko uske pichhe aane ke liye kaha. Aapuske pichhe chalne lage aur wo ek aise raste ke pass lekar aaya jis par chalkar Hazrat Safina sahi saalim ghar pahunch gaye.
(Mishkaat Shareef, Safa-537,
Hujjatullah-ala l-Aalamin, Safa-873)
(10) Jab bhi madine me qehat hotato Hazrat Umar Farooq radiallah ta’ala anhu Hamesha barish ke liyeHuzoor Ke chacha Hazrat Abbas radiallah ta’ala anhu ko waseela se ALLAH ta’ala se dua karte aur har baar baarish hoti.
(Sahih bukhri, Jild-2, Safa-137)
(11) Ek baar Hazrat Umar Farooq radiallah ta’ala anhu ke sahabzadeHazrate Husain radiallah ta’ala anhu ke saath khel rahe the. Dono bacho me kisi baat par bahes hui.
To ibne Umar ne kaha ke mere walid baadshah hain.
Hazrate Husain ne kaha ke Tum aur tumhare walid dono mere nana jaan ke gulam ho.
Ye sunkar ibne Umar bhagkar Hazrat Umar Farooq radiallah ta’ala anhu ke paas aae aur kaha ‘Aye mere walid, Hazrate Husain ne mujh se kaha ke Tum aur tumhare walid dono mere nana jaan ke gulam ho.’
Ye sunkar Hazrat Umar Farooq radiallah ta’ala anhu ne apne bete se kaha ke ‘Tum Hazrate Husain kepaas jaao aur un se kaho ke kya aap ye baat likhkar de sakte hain.’
Ibne Umar ne Hazrate Husain ke paas aakar ye sab kaha.
Hazrate Husain ne ek kagaz par likhkar diya ke ‘Hazrat Umar aur ibne Umar mere nana jaan ke gulam hain.’
Ibne Umar wo kagaz lekar Hazrat Umar Farooq ke paas aae to aap neadab se saath us kagaz ko liya aur kaha ke is kagaz ko hifazat se rakhna hai aur jab meri wafat ho meri mayyat ke saath kabr me ise rakh dena. Insha allah iske waseele se Allah ta’ala meri magfirat farmaega.
(12) Imam Shafa’ee rehmatullahi alaihi farmate hain ke
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki Aal mere liye zariya e nijaat hai
aur ALLAH ta’ala ki bargah me mere liye waseela hai.
(Sawaiq, Safa-180)
(13) Imam Shafa’ee rehmatullahi alaihi farmate hain ke
‘Jab mujhe koi hajat pesh aati hai, Main 2 Rak’at namaz padhkar ke Imame aazam ke mazare anwar par jaakar dua mangta hu aur Allah meri hajat puri kar deta Hai.’
(Khairat-ul-his an, pg.no. 230)
(14) Hazrate Baayazeed Bustami rehmatullahi alaihi mashhoor walie kamil hain.
Aap ne farmaya hai ke ‘Agar kisi ko sawari (safar) ki masnoon dua yaad na ho to wo awwal aakhir Durood sharif padhkar 3 baar mera naam le aur dua kare ke Aye Allah, is safar me meri hifazat farma.’
To insha allah Allah ta’ala us pure safar me uski hifazat farmaega.
(15) Ek baar Hazrate Gause aazam Abdul Qadir Jeelani radiallah ta’alaanhu ki baargah me ek sayyeda khatun aai aur kaha ke ‘Huzoor mere yaha bahut saal se aulad nahi hai. Aap dua kare ke ALLAH ta’ala mujhe aulad ata farmaye.’
Aap ne farmaya ke ‘Insha allah tumhare yaha aulad hogi. Main dua karta hu.’
9 mahine baad wo aurat aap ke yaha aai aur kaha ke ‘Huzoor aap ki dua se mere yaha ladki hui hai.’
Aap ne bache ko dekhkar farmaya ke ‘Maine to ladke ki dua ki hai. Yeladki nahi ho sakti, balke ladka hoga.’
Jab phir se dekha gaya to ‘Wo bacha ladka hi ho gaya tha.’
Aap ne uska naam ‘Shahabuddeen’rakha aur uske liye dua ki.
Wo ladka bada hokar wali e kamil hua aur Hazrat Shahabuddeen Suharwardi rehmatullahi alaihi ke naam se mashhoor hua, jin se ‘Suharwardi’ silsila jaari hai.
(16) Badshah Mehmood Gaznawi ne kai baar Somnath par chadhai (hamla) kiya, Lekin fateh na mili.
Aakhir me us ne apne peer Hazrat Khwaja Abul Hasan Khirkani rehmatullahi alaihi ka pehran (kurta) Mubarak mangaya aur ALLAH ta’ala se uske waseele musalmano ki fateh ki dua ki. To ALLAH ta’ala ne Somnath par use fateh ata farmai.
Uske baad jab aap apne peer se mile to Hazrat Khwaja Abul Hasan Khirkani rehmatullahi alaihi ne puchha ke ‘Mere kurte ka kya kiya?’
To aap ne bataya ke ‘Maine us ke waseele se dua mangi to ALLAH ta’ala ne musalmano ko Somnath par fateh ata farmai.’
To Hazrat ne farmaya ke ‘Tumne bahut kam maanga, Agar tum ye maangte ke us pure ilake me musalman hamesha kaamyab rahe to ye bhi ALLAH ta’ala qubool farmata.’
**********
Waseela ka ma’ana hai ‘ALLAH ta’ala ki qurbat ka zareeya’ .
Waseele ki 2 qisme hain :
(1) Apni Ibadaat aur nek aamal ko waseela banao.
(2) ALLAH ta’ala ke muqarrab bando ko waseela banao.
**********
ALLAH ta’ala ke muqarrab bando me Ambiya, Auliya, Shohda, Ahle bait aur Saleheen samil hain.
Huzoore akram sallallahu alaihi wasallam ke zamane me ashaba aap ke waseele se dua maangte aur apni murade hasil karte the.
Khulfa e raashideen ke zamane bhi aur Tabi’een aur Taba tabi’een ke zamane me bhi aur Har daur me mo’mino ne waseele ke saath ALLAH ta’ala se dua maangi hai aurALLAH ta’ala ne unki murado ko puri farmaya hai.
Har zamane me sab se bada waseela ALLAH ke Habeeb sallallahu alaihi wasallam ka hai.
Auliya Allah ALLAH ta’ala ke muqarrab bande hote hain.
In ki zahiri zindagi me bhi aur wisal ke baad bhi unke waseele seAllah ta’ala se dua karna jaiz hai.
Allah ta’ala ne apne Ambiya, Auliya aur Shohada ko wisal ke baad bhi Aalme baqa me hamesha ki zindagi ata farmai hai.

In ke waseele se dua karne se wo bargahe ilahi me jaldi qubool hoti hai.
Jis tarah lift (elevator) se jaane wala stair-case se jaane wale se pehle pahunchta hai. Ya speed post se bheje jaane wale khat simple post se bheje jaane wale khat se pehle pahunchte hain.
Iske 2 tareeqe hain :
(1) Tawassul – Auliya allah ke waseele se Allah se dua mangna.
(2) Istegasah – Auliya Allah se ilteja karna ke ALLAH ta’ala se hamari murad dila den.
Lekin ye yaad rakhe ke Sirf ALLAH ta’ala se hi dua mangni hai.
Wo hi sab ka Rabb aur Ma’abood hai aur wo hi sab ka Khaliqo Maalik hai, Wo hi Haafiz aur Naasirhai aur Razzaq hai aur har ne’amatdene wala hai.
Sirf apni dua me Nabi e paak sallallahu alaihi wasallam ka ya Auliya allah, Shohada, Ahle bait aur Saleheen ka waseela lena hai.
Jinko ye lagta hai ke apni Ibadaat aur nek aamal ALLAH subhan wa ta’aala ke qareeb hone ke liye aur use raazi karne ke liye mukammal(perfect) aur kaafi (sufficient) hai wo sirf apni nekiyo par yaqeen rakhkar use waseela bana sakta hai.
Aur Ahle sunnat wal jama’at ko lagta hai ke hamare nek aamal kitne bhi ziyada aur behtareen ho
ALLAH ta’ala ke qareeb hone ke liye apne nek aamal ke saath ALLAH ke Habeeb Pyare Aaqa sallallahu alaihi wasallam aur Ahlebait aur Auliya Allah, Shohada, Ahle bait aur Saaleheen ka waseela lena mustahab aur zaroori hai aur jaiz bhi hai.
**********
Allah ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me
Aur Auliya Allah, Shohada, Ahle bait aur Saaleheen ke waseele se
Sab ko hidayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko dunya aur aakhirat me bhalai ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.
Aameen.
(¯`v´¯)
`•.¸.•´`•.¸.¸¸. -•*¨¨*•.¸¸❤`•.¸ . -¸¸.•*❤

♥ ✿ •*¨`*•.♥  ♥.. •´*¨`*•✿ ♥ .
Ziyadah islami bhaiyo,behno tak pahunchakar
sawab paiye
»»»►►PLEASE SHARE KIJIYE ◄◄«««

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts