Assalam o alaikum aaj hum aap ko btaaein gey k agar ap motapa ka shikaar hain ya apka pait latk gya hai tou Latka hua pait kam karne ke liye aap ko kya karna ho ga. bagair wakt zaiya kiye hum apne point par aatey hain ..
" 1 Tinda lein " uss ke Chilko'n sameet 4 piece karein ab itni hi " loki " lein aur " 5 Cup paani " mein pakaein. itna pakaein k 1 Cup paani reh jaye. issko aap Subha Nehaar munh ya Shaam mein jab aap ka pait khali ho pee lein. Pait khali hona lazmi hai. in'sha'ALLAH kuch din ke istemaal se hi aap ko faida nazar aye ga.
Agar Hath jal jaye
Assalam o alaikum Agar Hath jal jaye ya jisam ka koi hissa jal jaye for example paon, bazu etc. tou aap ko kya karna chahiye ya kya kya iqdamat karne chahiye ta k foran araam aa jaye.
Agar jism k koi hissa jal jaye tou foran wahan ( kaprey dhoney wala Neel ) aur Toothpaste mila kar laga lein aap ko foran araam aa jaye ga.
Aur agar aap k pas uss waqt Neel etc na hoon tou aap " Namak me thora sa paani daal k paste bnaa k uss paste ko bhi jaley hue hisse par laga lein. iss se aap ko foran jalan ruk jaye gi aur araam aa jaye ga. 10, 15 minute mee yoon lage ga jaise kuch hua hi nahi.
Nazar Ki Kamzori Ka ilaaj
Asslam o alaikum Nazar Ki Kamzori Ka ilaaj sirf or sirf hum yahan aap ki khawahish k mutabiq share karne ja rahe hain. Agar aap ki Nazar kamzor hai ya aap ko Aankhon mein bhenga pan hai ya ankhon mein kisi bhi kisam ka masla hai tou ap " Ghusal karne ya Nakhun katney k baad Paon ke Angutho'n par Zaitoon ya sarsoon ka tail lagaein. "
aap ki Nazar kabhi kamzor nahi ho gi.. chahey aap ki Umar 100 saal se zyada hi kiun na ho jaye..
Dosto'n se share karna na bhooliye ga . Shukriya
Sufaid Baal Kaley karne Ka Nuskha
Asslam o alaikum Sufaid Baal Kaley karne Ka Nuskha hum btaaein gey taa k aap apni iss mushkil se jald az jald chutkara paa sakein. Agar kisi ke baad waqt se pehle sufaid ho gaye ho tou " istakhdoos " ( yeh 1 jarri booti hai ) 6 gram lein aur 1 cup pani mein 5 minute tak paka kar subha Shaam piyein. in'sha'ALLAH iss ke istemaal se aahista aahista aap ke sarey baal kaley ho jayein gey.
Yeh Nuskha apne Dost ehbaab ko bhi zaroor btaaein Dukhi insaniyat ki khidmat karna sub se afzal kaam hai..