Ye Kitab (Qur'an) Hidayat hai parhezgaaro ko, jo Ghayb par eiman late aur Namaz qaayem rakhte aur hamne jo diya usme se hamari rah me kharch karte hai.
[ Surat 2 (Baqarah), Ayat 3 ]
[ Surat 2 (Baqarah), Ayat 3 ]
• Qaza namaz padhne ka Tareeqa aur Ahkam •
Qaza namaz padhne ka Tareeqa aur Ahkam :
Behtar hai ke puri koshish kare ke masjid me jaakar ba-jama’at namaz padhte rahe. Aur agar jama’at chhut jaae to masjid me tanha namaz ada kar sakte hain. Agar koi jaiz uzr ho to ghar par namaz padh sakte hain.
Aurto ko bhi waqt par ghar me namaz padhna zaroori hai.
Agar waqt bahut kam ho to us waqt ki Farz namaz ki rak’at padh len. Aur Isha me Farz ke baad Witr wajib ki 3 rak’at padh len
.
Agar waqt ke dauran namaz na padhi to wo namaz kaza ho gai. Aur jab bhi us namaz padhe to kaza padhni hogi.
Aur jaanbuzkar namaz kaza karna gunahe kabirah hai.
Namaz na padhne wala Fasiq hai.
Aur Waqt par namaz na padhne wala ya hamesha kaza padhne wala Fajir hai.
Iske liye Allah ta’ala se sachi tauba bhi karni hogi. Aur aainda namaz kaza na ho uska pura khayal rakhna hoga. Aur wo sab namaze kaza ki niyyat se padhni hogi.
Ummid rakh sakte hain ke Allah ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me muaf farma de.
Kaza namaz jald hi padh lena zaroori hai. Sirf raat ko hi ya kisi khas waqt me hi kaza namaz padh sakte hain aisa nahi. Jab bhi mauka mile apni kaza namaz padhte rahe take bariuz zimma ho jaae.
Namaz ke liye jo makrooh awqat hain usme kaza namaz nahi padh sakte.
Baqi pure din aur raat me jab bhi waqt mile kaza namaz padhte rahe.
Awam me jo galat fehmi hai ke ba’az khas awqat par ya Mubarak raato me ya dino me kaza e umri ki niyyat se jitni namaz padh sakte hain utni padh le to kaam ho jaaega.
Wo bilkul sahi nahi hai. Har namaz ki kaza har ek ki niyyat ke saath alag alag aur puri padhni hogi.

Farz namaz Allah ta’ala ka ham par Karz hai aur bande ko use dena hi hai. Jo waqt par namaz ada kar lete hain wo to khuskismat hain ke Allah ta’ala ki Ibadat ke zariye uske qareeb hote hain.
Lekin agar kisi bhi wajah se Namaz waqt par ada nahi ki ho to jald hi use Kaza karke bhi padh len.
Mubarak raato me aur dino me ham Allah ta’ala ki raza ke liye Nafl namaz aur Ibadat karte hain ye achhi baat hai.
Lekin pehle apni kaza namaz padhte rahen. Phir kuchh nafl namaz bhi padhen.
Haan, Farz namaz ke ilawa jo Nafl namaz roz padhte hain (Ishraq, Chasht, Awwabin, Tahajjud) wo uske waqt par padh len.
Namaz ki kaza padhne ka tareeqa bhi waisa hi hai jaise waqt par namaz ada karte hain. Uske liye sare Sharait, Faraiz, Wajibat aur Sunnate wo hi hai. Ba-wuzu qibla roo khade hokar jo kaza namaz padhni ho uski niyyat kare.
Farz ki kaza me Farz ki niyyat kare, Wajib ki kaza me wajib ki niyyat kare aur Sunnat ki kaze me sunnat ki niyyat karen.
Agar yaad ho to jis waqt ki jo kaza namaz padh rahe ho uski niyyat kare.
Aur agar ziyada namaze kaza baqi ho to har baar jis waqt ki (Maslan : Fajr, Zohar, Asr, Maghrib, Isha) kaza namaz padhe uski niyyat me ye kahe ke
‘Is waqt ki jo kaza namaze baqi hain us me se sab se pehli wali namaz ki kaza padh raha hu.’
Musafir ke liye 4 rak’at wali farz namaz me sirf 2 rak’at farz padhne ka hukm hai.
Is liye Safar ke dauran jo namaze kaza hui ho wo padhte waqt namaze kasr kaza padhen.
Niyyat ke baad Takbire tehrima, Phir Sana, Ta’awwuz, Tasmiyah, Surah al-Fatiha aur Qir’at ke baad Rukoo aur Sujood karke pehli rak’at puri karen aur phir isi tarah sab raka’ate puri karke Qa’ada e aakhirah ke baad salaam ferkar namaz khatm karen.
Agar bahut ziyada kaza namaze padhni baqi ho to Rukoo me 3 baar ke badle 1 baar Tasbih padhe aur Sajde me bhi 1 baar Tasbih padhe aur Qa’ada e aakhirah me Duroode Ibrahimi ke badle ‘Allahumm salle ala Sayyedena mohammadin wa ala aali mohammadin’ padhe aur puri Dua e maashura ke badle ‘Allhumm gfirlee’ padh sakte hain.
Aur Witr me puri Dua e Qunoot padhne ke badle ‘Allahumm rabbana aatena fid dunya hasanatanw wa fil aakhirati hasanatanw wa kina azaban naar’ padhe sakte hain. Aur agar waqt ho to kaza namaz me har chiz puri padhen.
Aameen.

0 comments:
Post a Comment