A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Tuesday 29 July 2014

Widow in Islam

Widow in Islam

Women whose husbands have died out and she's going through someone's life. Human society is the most deserving of compassion and treatment. Periods in different human societies have always treated them with cruel. They are deprived of human rights with great humiliation. The protection of those rights and uprightly with ideas that gave them respects society.
Interpretation is. “O believers! Definitely not for you to Legacy widows forced you to make.” 
This means that when a woman's husband dies so the woman's husband's family does not become heir to his legacy as a compromise. Support a widow is treated with to find a nice guy that the marriage can be saved to.
 
DeeniRaah.blogspot.com

Bewah key Sath Husn-e-Saluk:

Jin auraton key shohar mar chuke hon aur wo be kasi ki zindagi guzar rahi hon insani muashrey mein yeh sab se ziadah raham–o-saluk ki mustahaq hain mukhtalif adwar mein hamesha insani muashron ne in key sath zalmana saluk kia hai aur inhain nehayat zillat key sath insani haquq se mahrum kia hai Quran ne in key haquq ki hifazat ki hai aur aadlana kheyalat key sath inhain society mein izzat bakhshi hai.

Irshad bari taala hai:
Aye momino! Tumhare liye har giz jayiz nahi keh tum zabardasti auraton ko miras bana lo. (Al-Nisa)

Matlab yeh hai keh jab kisi aurat ka shohar mar jaye to shohar key khandan wale aurat ko miras samajh kar is key wali waris na ban baithain jab is ka shohar mar gia to wo puri tarah aazad hai jahan chahe aur jis tarah chahe apna nikah kare kisi ko yeh haq nahi keh is par apna ikhteyar chalaye ya is key zer tajweez nakah mein rokawat dale.
Quran bewah ka maali tahaffuz bhi karta hai. Is silsile mein 

irshad bari taala hai:
Aur na tumhare liye yeh baat jayaz hai keh inhain tang kar key in ka wo maal hathyane ki koshish karo jo tum inhain de chuke ho. (Al-Nisa)

Matlab yeh hai keh shohar key marne key baad to yeh be kas aur ziadah raham-o-saluk ki mustahaq ho gayi hai. Na yeh keh shohar ne apni zindagi mein jo mahar aur maal is ko dia tha tum ulta isi ko hathyane ki zaleel harkat karne lago.
Bewah key tahffuz key liye is ka nikah kar dene ki hidayat Quran mein di gayi hai.
Irshad hota hai:

Aur tum mein jo auratain bewah hain in key nikah kar do.

Aik be sahara bewah key sath sab se bara saluk yeh hai keh is key liye saalah jora talash kar key is ko hesar nikah mein mahfooz kar dia jaye kiun keh aik aurat ka haqiqi nigran, mahafiz aur muawin aik salah shohar hi ho sakta hai.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts