A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Thursday, 1 January 2015

Jumah Ki Fazilat Aur Masail

Jumah Ki Fazilat Aur Masail

Jumah K Fazilat Aur Masail

Jumah Ki Fazilat Aur Masail

Qur’an :
62 Surah Jum’ah, Aayat 9, 10 :

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا نُودِيَ لِلصَّلَاةِ مِنْ يَوْمِ الْجُمُعَةِ فَاسْعَوْا إِلَىٰ ذِكْرِ اللَّهِ وَذَرُوا الْبَيْعَ ۚ ذَٰلِكُمْ خَيْرٌ لَكُمْ إِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُونَ
فَإِذَا قُضِيَتِ الصَّلَاةُ فَانْتَشِرُوا فِي الْأَرْضِ وَابْتَغُوا مِنْ فَضْلِ اللَّهِ وَاذْكُرُوا اللَّهَ كَثِيرًا لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ

Aye eimaan walo Jab Jum’ah ke din azaan di jaaye to foran ALLAH ke zikar (Khutba aur Namaaz) ki taraf tezi se chal pado aur khareed wa farokht (kaarobar) chhod do, ye tumhare haq me behtar hai agar tum ilm rakhte ho.

Phir jab Namaaz ada ho chuke to Zameen me muntshar ho (Phail) jaao aur ALLAH ka fazl (rizq) talaash karne lago aur ALLAH ko kasrat se yaad kiya karo taake tum falah (kaamyabi) paao.

Hadeese Nabawi :

(1) Juma’a ka din sab dino ka sardar hai,
Aur ALLAH ta’ala ke nazdeek sab se bada hai,
Yaha tak ke Eid-ul-Azha aur Eid-ul-Fitr se bhi.

Is me 5 khaslaten hain :
1. ALLAH ta’ala ne isi me Hazrate Aadam alaihis salaam ko paida kiya.
2. Isi roz unhe zameen par utara.
3. Isi roz unhe wafat di.
4. Is me ek ghadi aisi hai ki banda jab sawal kare to use mil jaaye siwa e haram ke.
5. Isi din Qayamat qaaim hogi.

(Sunan Ibne Maajah, Jild –2, Safa 8, Hadees –1084)

(2) Aye musalmano ke giroh,
Beshak ye Jum’ah wo din hai jis ko ALLAH ne Eid banaya hai.
(Mishkat, Hadees –123,
Ibn Maajah)

(3) Jo shakhs Jum’ah ke din nahaaye aur jis Qadar (har tarah ki) paaki
haasil
ho sake kare (ya’ni naakhoon kaatna, Bagal ke aur zere naaf ke baal door
karna wagairah) , phir tail ya apne ghar se
khusbu lagaaye aur (Jum’ah ke liye) masjid ko jaaye, (waha) do aadmiyon ke beech raasta na banaaye (balki jahan jagah mile baith jaaye),

phir apne muqaddar ki namaz padhe, phir dauraan e khutba khaamosh rahe to uske pichhle Jum’ah se lekar is Jum’ah tak ke gunah muaaf kar diye jaate hain.
(Bukhari, Al-Jum’ah, Hadees– 883-910)

(4) Jum’ah ki namaaz Jum’ah se Jum’ah tak ke liye Kaffara hai, Shart hai ki Gunahe kabeera se bacha jaaye.
(Muslim shareef)

(5) Jum’ah me ek aisi ghadi hai ke agar koi musalman use paakar
ALLAH ta’ala se kuchh maange to ALLAH ta’ala use zaroor ata karega aur wo ghadi mukhtasar hai.
(Sahih Muslim, Jild –1, Safa –281)

(6) Jum’ah ke din jis saa’at ki khwahish ki jaaati hai use Asr ke baad se Guroobe Aaftab(Suraj dubne) tak talash karo.
(Tirmizi, Jild –2, Safa –30, Hadees –489)

(7) Jum’ah ke din ‘Surah Kahaf’ padhne wale ke pair se aasmaan tak Noor chamakta rahega aur dono Jum’ah ke darmiyan me jo gunaah ho chuke wo muaf honge.
(Nisaai, Ibne Maajah)

(8) Jo Jum’ah ki shab (Jumeraat aur Jum’ah ke darmiyan ki raat) ya din me 100 baar Durood padhe, Uski 100 haajate puri hongi, 70 aakhirat me aur 30 Dunyawi.
(Musnad Abu Dawood)

(9) Jum’ah ke din tum mujh par kasrat se Durood bhejo, Kyun ki tumhara durood mujh par paish kiya jaata hai.
Aur ALLAH ne zameen par haraam kar diya hai ke wo Ambiya ke jismo ko khaaye, so ALLAH ke Nabi (hamesha) zinda hain aur unhe rizq diya jaata hai.

(Ibn Maajah, Safa –119,
Sunan Abi Dawood, Hadees –1047,
Mishkaat Shareef, Jild –2, Safa –112,
Mustadark al-Hakeem, Kitaabul Ahwaal, Hadees –8859,
Jaame Sagheer, Jild –1, Safa –54)

(10) Hazrat Mohammad bin Noamaan radiAllahu ta’ala anhu se riwayat hai ki
Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne irshad farmaya ki
‘Jo apne maa-baap ki qabron ki ziyarat kare ya un me se kisi ek ki qabr ki har Jum’aa ke din ziyarat kare, to use bakhsh diya jaayega aur use neki karne wala likha jaayega.’
(Mishkaat, Safa –154)

(11) Jis ne (jaan buzkar) lagaatar 3 Jum’ah chhod diya us ne islaam ko peeth pichhe phenk diya, wo munafiq me se hai.

Jumah Ki Fazilat Aur Masail

(12) Jo susti ki wajah se 3 dafa lagataar jumma ki namaz chhod de, ALLAH us ke dil per mohar laga deta hai.
(Abu Dawood, Kitaab-us Salaat, Hadees –1040,
Ibne Maajah, Jild –1, Safa –75)

******************
▪▪►Jum’ah ko ‘Sayyedul Ayyam’ kaha jata hai Ya’ni Hafte ke sab dino ka sardar.

Jum’aa sab se afzal din hai aur is me mo’min ki dua ALLAH ta’ala jaldi qubool karta hai aur uski rehmato ki baarish khas aur ziyada hoti hai.

▪▪►Jum’ah ki kuchh khas fazeelaten hain :
(1) Jum’ah ki raat dozakh ke darwaze nahi khole jaate.
(2) Jum’ah ke din jahannam ki aag nahi jalai jaati.
(3) Jum’ah ke din marne wale khush-naseeb musalman ko qabr ke sawal-jawab aur sakhti se najaat milti hai.
(4) Jumma ke din ki gai ek neki ka sawab 70 nekiyon ke barabar hai.
(5) Jum’ah ke din agar Yaume Hajj ho to uska sawab 70 Hajj ke barabar ata kiya jaata hai.
(6) Jum’ah ke din Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam khud apne mubarak kaano se Durood shareef sunte hain.

******************
▪▪►Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ke elane nubuwwat se pehle jum’ah ko azmat wala mana jaata hai.

Lekin Islaam me namaaze jum’ah ki shuruat Madeena me hui.
Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ne hijrat ke baad Madeena me sab se pehli namaze jum’aa padhai.
1 Hijri me Bani Saalim ki aabadi me 100 ashaba ne pehli namaze Jum’ah Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ki imaamat me ada ki.
Ye maqam ‘Masjide Jum’aa’ ke naam se mashhoor hai.
Hajj aur Umrah ke mauqe par Madeena shareef jaane wale is mubarak masjid ki ziyarat karte hain.

******************
▪▪►Jum’ah ke din Gusl karna, Achha libas pehanna, Khusboo lagana, Surma lagana, Nakhoon katna, Miswaak karna, Musalmano ko khushi ke saath Jum’aa ki mubarak-baad dena, Saqda –khairat karna, Gareebo aur haajatmando ki imdad karna aur Sab ke liye dua e khair karna Sunnat hai.

Jum’ah ki raat ya din me Surah al-Kahaf, Surah al-Dukhan, Surah Yasin aur Surah al-Ikhlaas aur Aayat-ul kursi ki tilawat karen.
Namaaze Jum’ah se pehle 3 baar Surah al- Qadr padhen.
Kasrat se Durood shreef padhen.
Aur kasrat se Astagfar karen.

Shabe Jum’ah (Jum’eraat aur Jum’ah ke darmiyan ki raat ) ko is durood shareef ko zaroor padhen.

Duroode Deedar e Mustafa sallallahu alaihi wa sallam :
 
اللهم صل و سلم و بارك على سيدنا ن النبي الامي الحبيب العالى القدر العظيم الجاه و على اله و صحبه و سلم

ALLAHUMMA SALLI WA SALLIM WA BAARIK ALA SAYYIDINA WA MAULANA MUHAMMADININ NABBIYYIL UMMIYYIL HABEEBIL AALIL QADRIL AZEEMIL JAAHI WA ALA AALIHI WA SAHBIHI WA SALLIM.

**************
Aur ye duaen khas padhen :

Rabbana aatena fiddunya hasanataw wa filakhirati hasanataw wa kina azabnnar.
(Aye mere rab mujhe dunya me bhalai ata farma aur aakhirat me bhi bhalai aur (jahannam ki) aag se bacha.)

Allahumm inni asaluk eimaanan kamilan-w wa ilman nafe’an-w wa amalan salihan-w wa rizqan halaalan-w wasian-w wa shifa-am min kulli daeen-w wa shafa’atan Rasoolan.
(Aye ALLAH tujh se sawaal karta hu mukammal eimaan ka aur nafa bakhsh ilm ka aur nek amal ka aur halaal wasi’a (bharpur) rizq ka aur har beemari se shifa ka aur RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ki shafa’at ka.)

Qabrastan ki aur Auliya Allah ke mazaar ki ziyarat bhi karen.
Aur apne buzurgo aur marhoomeen ke liye dua e magfirat bhi karen aur unke liye isaale sawaab bhi karen.

******************
▪▪►Namaaz ke beshumar faaide hain.
Is me ek faida ye bhi hai ke
5 waqt ki namaaz apne muhalle me padhne ka hukam hai taake roz muhalle ke log aapas me ek dusre milen aur Salaam Dua karen aur ek dusre ka haal jaan saken.
Is tarah Jum’ah ki namaaz Jaame Masjid me ada karne ka hukm hai taake har hafte pure ilaake ke log aapas me ek dusre milen aur Salaam Dua karen aur ek dusre ka haal jaan saken.
Aur is tarah Ittehade millat (unity) ka muzaahira hota rahe.

******************
▪▪►Jum’ah ki farziyat zohar se ziyada moakkidah hai.

Jis ne namaaze jum’ah ada kar li use phir us din ki zohar padhne ki zaroorat nahi.

Agar bagair kisi sahi sharai uzr ke namaaze jum’ah chhod diya to gunahgar hoga.
Use zohar ki namaz bhi padhni hogi aur tauba bhi karni hogi.
Agar zohar ka waqt khatm ho gaya ho to zohar ki qaza padhni hogi.

Agar safar me hai aur Jama’at nahi mil sakti to 2 rak’at namaaze zohar ki kasr ada kare.
******************
▪▪►Kisi bhi Musalman par Jum’ah farz hone ke liye 11 sharait hain :

(1) Baaligh hona. (Na-baaligh par Jum’ah farz nahi.)
(2) Aaqil hona. (Pagal par farz nahi.)
(3) Mard hona. (Aurat par farz nahi.)
(4) Mukeem hona. (Musafir par farz nahi.)
(5) Sehat. (Mareez aur Shaikhe faani jo masjide jum’ah tak na ja sakte ho ya agar chala to jaayega lekin marz badh jaayega to us par farz nahi.)
(6) Ankhiyara hona. (Andhe pa farz nahi.)
(7) Chalne par qaadir hona. (Apaahij ya Faalij (Paralysis) wale par farz nahi.)
(8) Aazad hona. (Gulam par farz nahi. Khaadim/ Nokar ko uska maalik nahi rok sakta.)
(9) Qaid me na hona. (Qaidi par farz nahi.)
(10) Khauf na hona. (Agar hakim ka ya chor vagairah kisi zalim ka dar hai ya muflis karzdar ko qaid hone ka dar hai to us par farz nahi.)
(11) Sakht baarish ya aule ya sailaab ya aandhi ya sardi ka na hona. (Ye chize itni sakht hai ke in se nuqsan ka khauf ho to farz nahi.)

******************
▪▪►Jum’aa ki namaaz qaaim hone ke liye 6 sharait hain :
Is me se 1 shart bhi na pai jaae to Jum’aa hogi hi nahi.

(1) Misr wa fana e misr – Misr ya’ni shaher ho jisme kai gali- kooche aur bazaar ho aur wo zila ya tehsil ho ke uske mut’allik dehat gine jate ho aur waha uska koi hakim rehta ho.
Aur fana e misr ya’ni wo jagah jo misr ke aas-pas misr ki maslahato ke liye ho jaise Station, Qabrastan, Kachehri.

(2) Baadshah ya haakim – Sultane islam ya uska naib Jum’aa qaaim kar sakta hai.
Agar islami hukoomat na ho to sab se bada sunni sahihul aqeeda aalim qaaim kare.
Bagair iski ijazat ke jum’aa kaim nahi ho sakta.
Aur agar ye bhi na ho to aam log jis ko Imaam banaye wo qaaim kare.

(3) Waqt – Jum’ah ki namaz zohar ke waqt ke darmiyan hi padhi jaae.
Ya’ni Zawal ke baad se lekar Asr ke waqt se pehle.

(4) Khutba – Khutba namaz se theek pehle aur jama’at ke samne padha jaaye.
(5) Jama’at – Imaam ke ilawa kam se kam 3 mard saamil hone chahiye.
Sirf aurte aur bache ho to Jum’aa na hogi.

(6) Izne aam – Masjid ka darwaza khol diya jaae take jis musalman ko aana ho be-rok tok aaye.

▪▪► Jum’aa ki namaz Shehar (City) ya Kasba (Town) walo par farz hai,
Dehat (Village) walo par nahi.

Waha ke log Jum’ah ke din bhi Zohar ki puri namaaz ada karen.
Aur agar dehat ke log Jum’ah ki namaaz padhna chahe to unhe shehar ki masjid me aakar padhni hogi.

▪▪► Agar kisi wajah se shehar me jum’ah ke liye na ja sake ya masjid tak na pahunch sake ya masjid me pahunchane se pehle namaze jum’aa khatm ho chuki ho ya’ni Jama’at me saamil na ho saka ho aur Imaam ke salaam ferne ke baad pahuncha ho to use Zohar ki namaz puri padhni hogi. Wo tanha namaaze Jum’ah nahi padh sakta.

Jumah Ki Fazilat Aur Masail

******************
ALLAH ta’ala uske pyare Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur sab musalmano ko Jum’aa ki fazeelat samajhkar sahi tareeqe se zyada ibaadat aur dua karne ke taufiq ata farmae aur hamare nek aamal qubool farmae aur sab ki nek jaiz duaen qubool farmae.
Aameen.

Allah Ta'ala in saare
masail ko hamen samajhne yaad rakhne aur
usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye Aameen

Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

0 comments:

Followers

Popular Posts