A single blog for all your needs Islamic wazaif, spiritual healing, and all about Islam

Showing posts with label marriage. Show all posts
Showing posts with label marriage. Show all posts

Sunday, 22 November 2015

Sohbat Karne Ka Islamic Tarika

Sohbat Karne Ka Islamic Tarika



Sohbat Karne Ka Islamic Tarika
Asslam o alaikum aap Ehbaab ki farmaeish par hum Sohbat Karne Ka Islamic Tarika bayan karne jaa Rahey hain. ALLAH pak hamari Galtiyo'n ko muaaf farmaye. 


Hazrat Ibne Abbas Radiallaho Anhu Se Riwayat He Ke
Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya,
Gawaho Ke Bagair Nikah Karnewali Aurate Zaaniya ( Zina Karnewali ) Hain. 
[ Tirmizi Sharif, Jild : 1, Safa :
563, Hadees No. 1095, Baab No. 751 ]

Gausey Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anhu Farmate Hai, Nikah Jumerat
( Thursday ) Ya Jumma ( Friday ) Ko Karna Must'hab He Aur Subah Ki Bajaye Sham Ke Waqt Nikah Behtar
Karna Hain.
[ Gunyatuttalebin, Baab No. 5, Safa : 115 ]

Jis Kisi ne Sohbat Ki Bate Logo Me Bayan Ki Uski Misal Aisi He Jaise Shaitan Aurat Shaitan Mard Se Mile Aur Logo Ke Samne Hi Khule Aam Sohbat Karne Lage.
[ Abu Dawood, Jild : 2, Hadees No. 407, Safa : 155,baab No. 127)

Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya, Allah Ki Laanat Bad Nigahi Karnewale Par Aur Jiski
Taraf Bad Nigahi Ki Jaye.
[ Bayhaqi Sharif, Mishkat Sharif, Jild : 2, Safa : 77 ]

Huzoor Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya...
"Tum me se jo koi apni Biwi ke pas jaye to Parda kar le aur Gadhe ki tarah na shuru ho jaye"
(Ibne Maja, Jild 1, Safa 538, Hadees no 1990, Bab no 616)

Ummulmomenin Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha se Riwayat he ki Huzoor Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya...
"Jo Mard apni biwi ka hath usko behlane ke liye pakadta he, Allah ta'ala uske liye 1 neki likh deta he,
Jab mard pyar se Aurat ke gale me hath dalta he uske haq me 10 nekiya likhi jati he,
Aur jab Aurat se Sohbat karta he to Duniya aur jo kuch usme he un subse behtar ho jata he"
(Gunyatuttalebin Safa 113)

Sohbat se pehle khud bechain na ho jaye apne aap par pura itminan rakhe jaldbaji na kare pehle biwi se Pyar Muhabbat ki batchit kare fir bos wa kinar (Kiss) wagaira se usko razi kare aur isi duran dil hi dil me ye dua padhe:

"Bismillahil Aliyul Azime Allaho Akbar Allaho Akbar"

Tarjuma: "Allah ke nam se Jo bujurg wa Bartar ajmatwala he. Allah bahut bada he. Allah bahut bada he.

iske bad jab mard,Aurat, Sohbat ka irada kar le to kapade jism se alag karne se pehle ek martaba "Surah ikhlas" Padhe

Surah Ikhlas:

"Kul huwallaho Ahad. Allahussamad. Lam-ya-lid. Walam yoolad walam ya kullahu kufuwan ahad."

Surah ikhlas padhne ke bad ye dua padhey.

Sohbat Karne Ki DUA

"Bismillahi Allahumma jannib nash shaitana wa janne bish shaitana ma rajak tana."

Tarjuma: "Allah ke nam se. Ae Allah door kar humse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hume ata karega"
(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 473)

Hazrat ibne Abbas Radiallahu Anhu se Riwayat he ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya...

"Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi he) to Allah us padhnewale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega"

(Bukhari sharif Jild 3,Safa 85, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 557)

Shaikh Abdul Qadir Jilani wa Hazrat Muhkkike islam shaikh Abdul haq mohoddas dahalwi aur Aala hazrat imam Ahmad Raza Khan irshad farmate he

"Agar koi shakhs sohbat ke waqt dua na padhe to us shaks ki sharmgah se shaitan lipat jata he aur us mard ke sath shaitan bhi us Aurat se sohbat karne lagta he. Aur jo aulad paida hoti he woh na farman,buri aadatwali,Begairat,Bad-deen hoti he. Shaitan ki is dakhl andaji ki wajahse Aulad me Tabahkari aa jati he"
(Gunyatuttalebin Safa 116, Fatwa-E-Razviya, Jild 9, Safa 48)


Inzal (Mani nikalte waqt) ki Dua :

Jis waqt inzal ho yani mard ki Mani uske Uzoo-E-Tanasul se nikal kar Aurat ki Sharmgah me dakhil hone lage us waqt dil hi dilme ye dua padhe:

"Allahumma-La-Taja'al Lish Shaitane Fi-M-Razkatni Nasi-ba"
Tarjuma: "Aye Allah shaitan ke liye hissa na bana usme Jo(Aulad) tu hume ata kare"

(Hisne Hasin Safa 165, Fatwa-E-Razviya Jild 9, Safa 161)

Iss Post ko apne tamam Dosto'n aur Nojawano'n ke sath share karein. ALLAH hamein islam ko samajhne aur iss par amal karne ki toufeeq aata farmaye. Aameen.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Monday, 6 April 2015

Nikah Ki Fazilat Aur Masail

NIKAH KI FAZILAT AUR MASAIL


NIKAH KI FAZILAT AUR MASAIL

AssalamuAlaikum Warahmatullahi Wabarakatuh..

***NIKAH KI FAZILAT***

Nikah ka lugwi maana hai aisa contract jiske nateeje me mard aur aurat ek dusre par halaal ho jaayen
“nikah karna sunnat hai iski haisiyat rakhne ke bawajood nikah na kare wah nabi(sallaho alaihi wassalam) ke tareeqe par nahi hai jo shakhs zina se bachne ke liye nikah karta hai Allah uski madad karta hai nikah na karne se zameen me fasaad paida hota hai nikah karne se jitni miyan biwi me muhabbat hoti hai aur kisi me nahi hoti, nikah aadha deen hai mardo ke liye aurton se badkar koi fitna nahi” (mishkaat 268)
“kunwari larki se nikah karna behtar hai maal wa khoobsoorti hasab nasab ka khyaal na kare balki deen daar aurat se nikah kare,musalman ke liye nek aurat se badhkar aur koi cheez nahi hai, jis nikah me kam kharch ho usme barkat zyada hoti hai,
jis aurat se nikah karna chahta hai use ek baar dekh le kyonki ek baar dekhne se muhabbat paida hogi, nikah ke waqt Aurat se izazat lena zaroori hai agar kunwari hai to uska chup rahna kaafi hai aur talaaq Shuda ko zabaan se kahna chahiye,bina sarparast ke nikah sahi nahi agar koi wali na ho to haakim wali hai ek aadmi ke paighaam ke hote dusre ko paighaam dena mana hai”
(mishkaat 262,266,269,268 )


JINSE NIKAH JAYEZ NAHI:

1- sauteli maa 2- sagi maa 3- beti 4-bahan 5- fufi 6- khala 7- bhateeji 8- bhaanji 9- dhoodh wali maa (daai) 10- saas 11- biwi ki beti jo pahle shauhar se ho 12- sage beton ki biwi se 13- do sagi bahno se ek saath
nikah me biwi aur uski fufi ko jama karna (yani ek sath inko nikah me rakhna haraam hai) aur isi tarah biwi wa uski khaala ka jama karna bhi haram hai,musalman mard ka nikah mushrika aurat se aur musalman aurat ka nikah mushrik mard se haraam hai,behtar hai ki mushrika ke mukaable me musalman laundi se nikaah kare isi tarah iman wali aurat ghulam se nikah kare magar mushrik mard se nikah na kare,
( mishkaat, bukhaari, surah nisa)


JAWAAN AULAAD KI SHAADI:

“Jawan ladke aur ladkiyon ka nikah kar dena chahiye, hadith me hai agar ladki 12 saal ki ho gayi ho aur uska nikah nahi huwa aur usse zina ho gaya to uska gunaah baap par hai, iski tarah jab ladka baaligh ho jaaye to fauran nikah kar dena chahiye warna agar zina kar baitha to uska gunah baap par hoga” (mishkaat 276)
“agar ek se zyada biwiyan ho to unke beech insaaf wa baari muqarrar karna wajib hai, khilaane pilaane wa raat guzaarne me insaaf karna wajib hai magar muhabbat me kami zyadati me koi pakad nahi (mishkaat 276)
agar pahli biwi ke hote huwe kunwari aurat se nikah kare to 7 raat kunwari ke paas rahe phir baari muqarrar kare, aur shadi shuda aurat ko kunwari par kare to 3 raat uske paas rahkar baari muqarrar kare, agar aurton ke saath insaaf Na karega to qayamat ke din is haalat me Allah ke saamme laaya jaayega ki uska aadha jism gira hoga
aur aurton ka mard par haq hai ki jo khaaye waisa hi khilaaye jaisa pahle waisa hi pahnaaye iske munh par na maare, bura na kahe, naraazgi ki surat me ghar se bahar na soye agar zarurat pesh aaye to maamuli se maar maare, zabaan daraaz hai to talaaq de de”
(tirmizi, mishkaat 279)
Allah Ta’ala in saare masail ko hamen samajhne yaad rakhne aur usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye Aameen

Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Followers

Popular Posts